Suna Hai Mere Baad Wo Hasta Hi Nahi..
Badal Gaya Hai Itna Ke Pehle Jaisa Nahi..
Sab Keh Rahe Hain Mujse Laut Aao Use Sambhalo..
Qki
Wo Kisi Aur Ki Sunta Hi Nahi..!
tod do kasam agar khayi hai, kabhi yaad kar lene mein kya burai hai, yaad unko kiye bina reh bhi to nahi pate, dil mein jagah jo unhone kuch aisi banai hai..........
Hasata Hai Mujhko Fir Rulaa Bhi Deta Hai..
Karke Wada Aksar Bhula Bhi Deta Hai..
Ajab Mizaaz Hai Uska Aur Pyar Ka Andaaz Bhi..
Kabi Palko Pe Bithata Hai Kabi Nazro Se Gira Bhi Deta Hai..!
ZiyaWorld:
Ajnabi Logon Se Dil Joda Nahi Jaata..
Pyar Ke Rishto Ko Tola Nahi Jaata..
Mohabbat To Har Koyi Kar Leta Hai..
Koyi Izhaar Karta Hai Aur Kisi Se Bola Nahi Jaata..!
Ishq Aisa Karo Ki Dhadkan Me Bas Jaaye,
Saans Bhi Lo To Khushbu Usi Ki Aaye,
Pyaar Ka Nasha Aankhon Pe Chaa Jaaye,
Baat Kuch Bhi Na Ho Par Naam UsiKa Aaye.
PA1
Bas Itni Mohabbat Kaafi Hai..
Tum Saath Raho Saanso Me Raho..
Tum Paas Raho Baahon Me Raho..
Dilme Raho Dharkan Ki Tarah..
Khwaab Me Raho Yaado Ki Tarah..
Tum Hass Ke Milo Apno Ki Tarah..!
Sanam Tum Mere Hi Rehna..
Tumse Naata Hai Wafao Ka..
Jaise Khusbu Se Hai Hawao Ka..
Jaise Honto Se Hai Duao Ka..
Jaise Rishta Hai Dhoop Chaon Ka..
Jaise Jismo Se Rooh Ka..
Suno
Bandhan Ye Hamesha Nibhana..
Muje Tanha Chhod Na Jaana..
Ab Tere Bin Muje Nahi Rehna..
Tum Mere Hi Rehna..!
:couple:साथ :walking:चलने के लिए साथी चाहिए :sob: आंसू रोकने के लिए :innocent:मुस्कान चाहिए :heart: जिंदा रहने के लिए जिंदगी चाहिए और जिंदगी जीने के लिए :point_right::princess:आप चाहिए !!
Na Tamannao Ki Baarish Hui Na Hasraato Ka Tufaan Utha..
Bas Khwaaisho Ki Maut Hui Aur Sapno Ka Kaafila Luta..
Jaha Chahat Ki Baat Hui Waha Mayoosi Ka Asra Juta..
Aur
Jaha Armaano Ki Baarat Saji Waha Chupke Se Mera Dil Toota..!