Is dasht k sehra ko samandar kar de
ya meri aankh k har ashk ko pathar kar de
Ay allah main or nahi kuch tujh se mangta
Meri chadar mere peron k brabar kar de
Mujhe gher na le ye aatish-e-dunya kahin
Mujh par apni rehmat ka saya kar de
Mujhe khaak na karde meri hasti ka ghuroor
Mujhe mere nafs se moutabar kar de
Ay Khuda meri duaon mein wo asar kar de
Maangon main tujh se qatra or tu samandar kar de
Jo kahin na miley wo khushi chahiye
Dard kesa bhi ho bandagi chahiye
Duniya ki koi khuwahish nahi
Aakhirat ki zindagi chahiye
Sirf tere hee aagay haath phelaon ay Allah
Essi mujhe bebasi chahiye
Tu ho jaye raazi sanwar jaon mein
Mere maalik teri raza ki aagahi chahiye
Main jhukoon aur bas jhuka hi rahoon
Ibadat mein bas essi aajizai chahiye
Main bhatak jaon gar mere Allah tu sahara dena mujhe ko
Essi mujhe teri rehbari chahiye
DUNIYA ki sab se taiz raftar Taiz treen cheez Kia hai?
GOLI?
Nahi
AWAZ?
Nahi
LIGHT?
Nahi
WAQT?
Nhi
To phir kia hai?
Answer:
*DUA*
Q k DIL se ZUBAN tak Ponchny se pehly hi...
Sathwen ASMAN par KHUDA tak ponch jati hai.