Khuda se kya mangu aapke vaste
Sada khushiyo se bhare ho aapke raste
Hansi Aapke chehre pe rahe is tarah
Khushbu phool ka sath nibhati hai jis tarah......
Bole wo dosti, chup rahe wo pyar;
milaye wo dosti, juda karaye wo pyar ;
hasaye Wo dosti, rulayeWo pyar;
phir Bhi log dosti chodkar kyo karte hai pyar;
"Ye chaand saa roshan chehara" ;*
"julfon kaa rang sunaharaa" ;P
"Ye zeel see neelee aankhe" o.o
"koee raaj hain in mein gaharaa"
"Taareef karu kyaa us kee, jis ne tumhe
banaayaa"
uska har zulm sitam mere sar aankho
par tha
mujhe bharosa uski baato par tha
wo to zakham ki vajah se lakeere mit
gyi
varna mera mukaddar to uske hatho
me tha
Utra hai mere dil mai koi chand nagar se,
Ab khauff nahi koi andheroan ke safar se,
Woh baat hai tuj mai ke koi tujsa nahi hai,
Ai kaash koi dekhe tujhe meri nazar se�.
Bahut Kuch Hai Is Dil Ki
Gehraai Me, Tadap Jata
Hai Dil Raat Ki Tanhai Me,
Yu To Kehne Ko Bahut Dost
Hain Magar, Fark Hota Hai
Saaya Aur Parchaai Me..!
Kas Aap Ne Hum Se Ek Baar Toh Kaha Hota,
Ki Hum Aap Ke Bina Rah Nahi Payege,
Ab Aap Humse Kahne Aai Ho,
Jab Hum Is Duniya Se Ja Chuke The ....
Love you
Dena hai meri Aankho ko to aisi Risayi de,
Main Aaina bhi dekhun to tu dikhai de,
Dariya mein to lakh katre hain magar,
Katra wahi jisme sara dariya dikhayi de,
Kya husn kya jamal hai tera,
tu bheed mein bhi jaye to tanha dikhai de.
Gham mein hasne walon ko kabhi rulaya nahi jata,
Lehron se pani ko hataya nahi jata,
Hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.
Saarey waadon ko bhula sakta hun,
lekin rehne do..!
Main tumhein chor k ja sakta hun,
lekin rehne do..!
Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz,
faisla mein bhi suna sakti hun,
lekin rehne do..!
Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali,
us per main muskura b sakta hun,
lekin rehne do..!
Sharam aaye gi tumhein
warna tumharey waaday,
main tumhein yaad dila sakta hun,
lekin rehne do.
Jab Koi Itna Khas Ban Jaye
Uske Bare Me Hi Sochna
Ehsas Ban Jaye, To Mang
Lena Khuda Se Use Zindegi
K Liye Isse Pehle Ki Wo
Kisi Aur Ki Saans Ban Jaye.