Os Ki Boonde Hain Ya Aankho Mein Nami Hai
Na Upar Aasmaan Hai Na Niche Zameen Hai
Jaane Ye Kaisa Mod Hai Zindagi Ka
Apki Zarurat Hai, Aur Apki Hi Kami Hai…
Meri Wafayein Hain Unki Wafaon Ke Saamne
Jaise Koi Chirag Ho Hawaon Ke Saamne
Kismat To Chahti Hai Tabaahi Meri
Lekin Majboor Hai Kisi Ki Duaon Ke Saamne…
Keh Kar Jab Koi Ankho Se Door Hota Hai
Ankhein Dekhti Rehti Hain
Lekin Dil Majbur Hota Hai
Koi Kahe Na Kahe Zubaan Se
Magar Dil Mein Dard Jarur Hota Hai…
zindagi me 2 cheeze humesha tutne k liye hi hoti hain
1- saans
2- saath
Saans tutne se to insaan ek hi baar marta hain
par kisi ka sath tutne se insaan pal-2 marta hain
Mujhe aasmano mein udne ka shok hain
Parindo ke beech khelne ka shok hain,
Agar mjhe Jaanna ho to jara dur se hi jaanna
Mai parwana hu mjhe aag me jalne ka shok h
Kab Dursro Ka Sath Nibhate Hain Log
Aansu Ki Tarah Bichad Jate Hain Log
Wo Zamaana Aur Tha
Gairon Ke Gham Mein Jab Rote The Log
Ab To Apno Ko Rulakar Muskurate Hain Log…
Zakham ki baat nahi hain,
Na jane dard kyu hota hain,
Dhokhe ki baat nahi hain,
Na jane vishwas kyu hota hai
Jante hai bewafai hi milegi,
Na jane fir bhi pyar kyu hota h
कौन :person_frowning_tone1:समझता है:cold_sweat: इस दिल:revolving_hearts: की तडप को, यहॉ तो खुद :person_with_pouting_face_tone1:का दिल:revolving_hearts: भी किसी ओर:information_desk_person_tone1::man_in_tuxedo: के लिये धडकता :heartbeat:है
Ye Na Socho Ke Faqat Naam Liya Karta Hai
Ek Deewana Teri Chahat Mein Jiya Karta Hai
Wo Jaanta Hai Ke Tu Us Ke Muqaddar Mein Nahi
Phir Bhi Har Roz Tujhe Yaad Kiya Karta Hai
Raat Soyi To Par Nind Meri Aankho Se Door Hi Rahi,
Palke Band Ki To Thi Par Unme Tumhara Hi Khawab Raha,
Na Chahte Huye Bhi Chhaya Raha Muj Par, Tumhari Baato Ka Ek Nasha,
Or Dhadkanome Tumhara Hi Nam Gunjata Raha,
Har Sans Ke Sath, Jitna Bhi Chaha Tumhari Socho Se Bhagna,
Utna Hi Tum Mere Karib Aate Gaye,
Tumhari Baato Me Khoti Huyi Ye Diwani,
Chupchap Se Piglati Rahi Shama Ke Mom Ki Tarah….
Har Naye Mod Par Sham Ho Jati Hai,
Zindgi Pyar Me Badnam Ho Jati Hai,
Kaise Dekhu Mai Kal Ke Sapne,
Meri To Har Khusi,
Poori Hone Se Pehle Nilam Ho Jati Hai.!
Umar Ki Raah Mein Raste Badal Jate Hai,
Waqt Ki Aandhi Me Insan Badal Jate Hai,
Sochte Hai Tumhe Itna Yaad Na Kare Lekin,
Ankh Band Karte Hi Irade Badal Jate Hai…