Tum haseen ho to hum bhi kuch kam nahi
Tum mehlo ki ho to hum bhi sadko ke nahi
Pyaar kar ke kehti ho ke shaadi shuda hoon
Kaan khol kar sun lo Kunware hum bhi nahi.
Khusiyaan Ho To Neendon Ka Silsila Rehta Hai..
Dilbar Bichaad Jaaye To Sooya Nahi Jaata..
Aye Sanam
Bichaad Kar Humse Fir Kisi Ke Bhi Na Ho Sakoge Tum..
Miloge Sabse Magar Hamari Hi Talaash Me..!
Woh kehke chale itni mulakat bahut hai
Maine kaha ruk jao abhi raat bahut hai
Aasoon mere tham jaye to phir shauk se jana
Aise me kahan jaoge barsaat bahut hai..
Sath Tumhara Dena hy aur sath tumhara pana
hay,
pathron k es shehar main ek kanch ka gher
banana hay,
asmano pe jo rishta bana usay duniya main
nibhana hay,
ek naam tumhara likhna hay ek naam hamain
ban jana hay,
kuch batain tum say kerni hain kuch dil ka haal
sunna hay,
chupkay say jo mangi hain un daion main tum
ko pana hay,
tum roth k mujh say mat jao mujhy sath
tumhara pana hay,
Tum lot k wapas aa jao mujhay ZINDGI tumhain
banana hay...
Jo Kiya Hai Aaj Wada Yuhi Umar Bhar Nibhaana..
Meri Zndgi Hai Tumse Kahi Tum Badal Na Jana..
Teri Pyar Ki Nishaani Mujhe Zndgi Se Hai Pyari..
Meri Zndgi Hai Tumse Kahi Tum Badal Na Jana..!
Ankhe ro padhi unka na paigam
aaya,
Chale gaye humein akela chhod ke ye
kesa mukam aaya,
Meri tanhai Hansi mujhpe
Aur boli Bata
Aakhir mere siva tere kon kaam
aaya…...
Hum Akele Chale To Koi Saath Na Tha
Teri Hasrat Kare Ruswa Mujhe
Raaz Aisa Hai Ke Chupta Bhi Nahin?
Itne Gham Sine Main Hum Ne Chupai Hai (Naam)
Ke Ab Aasoo Bhi Sukha Hai Jo Barasta Bhi Nahin?
Meri Aankhon ke Samandar
mein Jalan kaisi hai
Aaj phir dil ko Tarapne ki
Lagan kaisi hai...
Ab Is raah pe Chiraghon ki
Qatarein bhi nahi
Ab tere Shehar ki Galiyon
mein Ghutan kaisi hai…♥
Jamane se nahi tanhai se darta hu...
.
Pyar se nahi rusvai se darta hu...
.
Milne ki chah bahut hoti hai dil me,
.
Per milne ke baad judai se darta hu...
Yaad Kar Ke Bhulna Na Aaya
Hume, Kise Ke Dil Ko Satana
Hi Na Aaya Hume, Kise Ke
Liye Tadpna To Sikha Liya
Humne, Par Apne Liye Kise
Ko Tadpana Na Aaya Hume!!
Waada Karo Ke Hamein Apni Jaan Banaoge
Waada Karo Ke Hamesha Saath Nibhaoge
Ye Nahin Kehta Ke Rooz Yaad Karna
Bas Yaad Rakhna Jab Dua Ke Liye Haath Uthao Ge…
Ek Phool Aksar Bagh Saja Deta Hai
Ek Hi Sitara Sansaar Chamka Deta Hai
Jahan Duniya Bhar Ke Rishtey Bhi Kaam Nahi Aate
Wahin Ek Pyara Sa Dost Zindagi Bana Deta Hai.
प्रेम चाहिये तो समर्पण खर्च करना होगा।
विश्वास चाहिये तो निष्ठा खर्च करनी होगी।
साथ चाहिये तो समय खर्च करना होगा।
किसने कहा रिश्ते मुफ्त मिलते हैं ।
मुफ्त तो हवा भी नहीं मिलती ।
एक साँस भी तब आती है जब एक साँस छोड़ी जाती है ...
Rone se kisi ko kuch haasil nahi hota,
jo bichhad jaye wo sathi nahi hota,
dusro ki to hum mehfil sajate hain,
par humari tanhai mein koi shamil nahi hota.