Ye bata de mujhe zindagi
pyar ke reh ke hamasafar
kis tarah ban gaye ajanabi
ye bata de mujhe zindagi
phul q sare murjha gaye
kis liye bujh gai chandani
ye bata de mujhe zindagi
kal jo bahon mein thi
aur nigahon mein thi
ab wo garmi kahan kho gai
na wo andaz hai
na wo aavaz hai
ab wo narmi kahan kho gai
ye bata de mujhe zindagi
Teri Yaad Dil se Bhulaai Nahin Jati.
Tasveer Teri Aankho se Mitaai Nahin Jati.
Kitni Mohabbat hai Mujhko Tum se,
Dikhana Chaahta Hoon par Dikhaai Nahin Jati.
ote rahe tum bhi rote rahe ham bhi,
kehte rahe tum bhi aur kehte rahe ham bhi.
Na jaane is jamane ko hamare ishq se kya dushmani thi,
bas samjhate reh gaye tum bhi aur samjhate reh gaye ham bhi..
Kuch hain unki muskurahat main jise dekh kar main kush rehta hu,
kuch hain unki aada main jise dekh kr main jiya karta hu,
malum nahin wo kya bas ehsas kiya karta hu....
chaman ke baharon mai tha aashiyana
na jane kahan kho gaya wo zamana
tumhen bhulane ke main koshishkarunga
ye wada karo ke na tum yad aana
mujhe mere mitane ka gam hai to ye hai
tumhen bevafa kah raha hai zamana
khudara meri qabr pe tum na aana
tumhen dekh kar shaq karega zamana
Bin Aap Ke Zindagi Me Koi Khushi Nahi
Aap Nahi To Labo Pe Mere Hansi Nahi.
Na Samjhe Agar Aap To Hum Kya Kare,
IS Dil Me Aap Ke Bina Kisi Aur Ki Jagah Nahi.....
Udaas Dil Ki Veeraniyon Mein Bikhar Gaye Hain Ghulab Saare,
Yeh Meri Basti Se Kon Guzra Nikhar Gaye Hain Ghulab Saare,
Woh Door Ho To Haqeeqaton Par Saraab Ka Ek Gumaan Sa Ho,
Woh Pass Ho To Gumaan Ho Ke Haqeeqatein Hain Saraab Saare,
Na Jane Kitni Shikayatein Hain Na Jane Kitne Gile Hain Dil Se,
Jo Unko Dekha To Bhool Baithe Sawal Saare Jawab Saare,
Jo Tu Na Hota To Kis Tarah Meri Soch Ko Phir Haroof Milte,
Bas Ek Tumhi Ne De Diye Hain Kitaab Ko Meri Baab Saare.
Tufaan mein kashti ko kinare mil jate hain,
Jahan mein logon ko sahare mil jate hain,
Duniya mein sabse pyari hey zindagi,
Kuch log zindagi se bhi pyare mil jate hain……
Aye Mohabbat Tere Anjaam
Pe Rona Aaya, Jaane Kyun
Aaj Tere Naam Pe Rona
Aaya, Yun To Har Shaam
Umeedon Mein Guzar Jaati
Thi, Aaj Kuch Baat Hai,
Jo Shaam Pe Rona Aaya..!!
Zindgi Jab Bhi Apna Pata Deti Hai,
Isme Kitna Ghum Hai Bata Deti Hai,
BhooL Kar Bhi Kisi Apne Ko Nahi Khona,
Kyoki Yahi Wo Baat Hai Jo Aksar Rula Deti Hai.