palkon me aansu aur dil me dard soya hai
hasne walon ko kya pata rone wala kis kadar
roya hai ye to bas wahi jaan sakta hai meri
tanhaai ka aalam jisne zindagi me kisi ko paane
se pehle khoya hai
Aziz itna hi rakho ke jee sanbhal jaye
ab is qadar bhi na chaho ke dam nikal jaye
mile hain yun to bahut aao ab milen yun bhi
ke ruh garmi-e-anfas se pighal jaye
muhabbaton mein ajab hai dilon ko dhadaka sa
ke jane kon kahan rasta badal jaye
rahe wo dil jo tamanna-e-taza tar mein rahe
khusha wo umr jo khvabon hi mein bahal jaye
jab bhi aati hai teri yaad kabhi sham ke bad
aur bad jati hai afsurdadili sham ke bad
ab iradon pe bharosa hai na tauba pe yaqin
mujh ko le jaye kahan tashnalabi sham ke bad
yun to har lamha teri yaad ka bojhal guzra
dil ko mahasus hui teri kami sham ke bad
yun to kuch sham se pahale bhi udasi thi ‘adeeb’
ab to kuch aur badi dil ke lagi sham ke bad
Beet jate hain jo zamane nhi aaty, AAty b hain to woh log purane nhi aaty, Kuch is kadar bikhra hai AAshiyana
hamara! Jahan panchi b raat bitaane nhi aaty.
Muddton Ke Baad Aaj Fir Us Se
Sapne Mein Mulaqat Ho Gayi
Badi Der Se Aankhein Sookhi Thi
Aaj Fir Barsaat Ho Gayi
Kaise Mita Du Uski Yaadon Ko Is Dil Se
Poori Zindagi Se Lambi Aaj Ki Raat Ho Gayi.
Tum Haso To Khushi Mujhe
Hoti Hai, Tum Rutho To
Aankhein Meri Roti
Hain, Tum Door Jaao To
Bechaini Mujhe Hoti Hai,
Mehsoos Karke Dekh Lo
Mohabbat Aisi Hi Hoti Hai..
"Ae Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya,
Jaane Kyon Aaj Tere Naam Pe Rona Aaya,
Yoon Toh Har Shaam Ummeedon Mein Guzar Jaati Thi,
Aaj Kuchh Baat Hai Jo Shaam Se Rona Aaya,
Kabhi Taqdeer Ka Maatam,
Kabhi Duniya Ka Gila,
Manzil-e-Ishq Mein Har Gaam Pe Rona Aaya,
Jab Hua Zikr Zamaane Mein Mohabbat Ka,
Mujhko apne dile nakaam pe rona aya...
....sHaKiB kHaN....
kyon hijr ke shikave karta hai kyon dard ke rone rota hai
ab ishq kiya hai to sabr bhi kar is mein to yahi kuch hota hai
aagaz-e-musibat hota hai apne hi dil ke shararat se
aankhon mein phul khilata hai talavon mein kanten bota hai
ahabab ka shikwa kya kijiye khud zahir va batin ek nahi
lab upar upar hanste hain dil andar andar rota hai
mALLAHon ko ilzam na do tum sahil wale kya janon
ye tufan kon uthta hai ye kishti kon dubota hai
kya jane kya ye khoyega kya jane kya ye payega
mandir ka pujari jagata hai masjid ka namazi sota hai
Tujh se mil ke dil mein reh jati hai aramanon ke
baat
yaad rahati hai kise sahil pe tufanon ke baat
wo to kahiye aj bhi zanjir mein jhankar hai
warna kis ko yaad reh jati hai divanon ke baat
kya kabhi hogi kisi ke tu magar ae zindagi
jan de kar hum ne rakh li tere divanon ke baat
bazm-e-anjum ho ke bazm-e-khak-ta-bazm-e-
khayal
jis jagah jao sunai degi insanon ke baat
Pyari Dosti
"Zindagi" Hr Pal Khas Nhi Hoti
"Phulo" Ki Khushbo Hamesha Paas Nhi Hoti
Milna Hamari Takdir Me Likha Tha
Warna Itni PYari "Dosti" Itefaq Se Nhi Hoty.
Unki Mohabbat Ke Abhi Nishaan Baki Hai,
Naam Lab Par Hai Aur Jaan Baki Hai .
Kya Hua Agar Dekh Kar Muh Pher Lete Hai,
Tasalli Hai Ki Shakal Ki Pehchaan Baki Hai …
Hame Koi Kahe Bura To Bhi
Jee Lete Hai, Hum Duaa Dekar
Apne Hontho Ko See Lete Hai,
Hamare Dil Me Dard Ho Chahe
Kitna Bhi, Zehar Ka Ye Pyaala
Chupke Se Pee Lete Hai.
Mai Aadat Hu Uski Wo Zarurat
Hai Meri, Mai Farmaaish Hu
Uski Wo Ibaadat Hai Meri, Itni
Asaani Se Kaise Nikal Du
Use Dilse, Mai Khwaab Hu Uska
Wo Haqiqat Hai Meri..!
Sabhi ko sab kuchh nahin milta,
Nadi ki har lehar ko sahil nahin milta sweet
Yeh dil walon ki dunia hai dost,
Kisi se dil nahin milta to koi dil se nahin milta.
Mere janaze ke peeche sara jahan chal raha tha..
Saath tu hi na thi yahi gum kha raha tha
Akhir hoti bhi sath kaise tu
Mera janaza tere janaze ke peeche chal raha tha..ii
Aaj Dil Dukha Hai Tum Yaad
Aaye, Aaj Fir Maine Kuch Gunguna
Tum Yaad Aaye, Aaj Phir Hawa
Ke Jhooko Ne Chua Tum Yaad Aaye,
Jaagte Rhe Puri Raat Jab Chand
Dooba Tum Yaad Aaye, Aaj
Dil Dukha Hai Tum Yaad Aaye..!