Aaj jarurat hai jiski wo paas nhi hai.
Ab unke dil me wo ehsaas nhi hai.
Tadapte hai do pal baat karne ko,
Shayad ab waqt hamare liye unke paas nhi hai.
Dost woo hota hei jo kabi bulaya nahi ja sakta
Dosti woo rista hota he joki kabi bhi nahi tutta
.
.
.
Dosti woo pyar hota hei jo harwaqt aapke paas hota hei .
Teri dosti hame apni jaan se bhi pyari hai,
Jo kisi aur ke paas nahi wo yaari hamari hai,
Shukra hai us pal ka jab aaye tum hamari zindagi mein,
Tumhe kabhi jaane nahi denge, ye zidd ab hamari hai...
Dil me pyari si muskan banaye rekhna
kuch na ho to bhi yadon ko sajaye rakhna,
chahe na ho mulakaton k silsile,
to bhi ye khoobsurat dosti banaye rakhna.
Karne Mujhe Khuda Se Kuch
Fariyaad Baki Hai,
Hume Unse Kehne Kuch Baat Baki
Hai,
Maut Aayege To Keh Denge
Zara Ruk.. Abhi Mere Dost Se Mulakaat Baki Hai!!!
Is Dost Ki Har Khata Ko Maaf Kar Dena,
Har Gile Har ShikveKo Dil Se Saaf Kar Dena,
Akele Na Sehna Koi Bhi Takleef,
Dukh Ho Ya Sukh, Half-Half Kar Lena.
aj khoya hua ik dost bohat yaad hai
acha guzra hua waqt bohat yad aya
meri aankh k her ansu pe rone wala
aj jab aankh yeh roi to bohat yaad aya
jo mere dard ko seene mein chupa lera tha
aj jab dard hua mujhe to bohat yaad aya
jo meri aankh mein kajal ki tarah rehta tha
aj kajal jo lagaya to bohat yaad aya
jo mere dil tha qareeb faqat usko hi
aj jab dil ne bulaya to bohat yaad aya