Memories play very confusing role.
Make you laugh when you remember
the time you cried together.
But make you cry when you remember
the time you laughed together.
Aansu ko bahot samjhaya tanhai me aaya karo,
Mehfil me hamara mazak na udaya karo,
Ispar aansu tadap kar bola,
Bhari mehfil mein aapka dil akela na rahe,
Itna bus usse samjhaya karo.
Arz Kiya Hai...
"Ek Bewafa Ko Na Aye Hamari Wafa Ka Yaqeen"
"Ek Bewafa Ko Na Aye Hamari Wafa Ka Yaqeen"
Humne Kaha Hum Mar Jayengy,
Aur Uss Ne Kaha..
"Ameen"
कभी रो के मुस्कुराए , कभी मुस्कुरा के रोए,
जब भी तेरी याद आई तुझे भुला के रोए,
एक तेरा ही तो नाम था जिसे हज़ार बार लिखा,
जितना लिख के खुश हुए उस से ज़यादा मिटा के रोए
Geele kagaz ki tarah hai zindgi apni,
Koi likhta bhi nahi koi jalata bhi nahi.
Is kadar akele ho gaye hai hum ajkal,
Koi satata bhi nahi koi manata bhi nahi.
Har ek muskurahat muskaan nahi hoti,
Nafrat ho ya mohabbat asaan nahi hoti,
Ansoo gham ke aur khushi ke ek jaise hote hai,
Inki pehchan asaan nahi hoti…..
Yeh Kaisi Judai Hai
Jisne Hame Shayar Bana Diya,
Yeh Kaisa Gam Hai
Jisne Hame Bebas Bana Diya,
Socha Nahi Tha Juda Ho Jaoge Humse Kabhi,
Karte Bhi Kya Jab Aapne Hi Gair Bana Diya.