dil ke dariya me Dhadkan ki kasti hai.
khawabo ki duniya me yado ki basti hai.
mohabbat ke bazar me chahat ka sauda
wafa ki kimat se to Bewafai sasti hai.
Duniya me koi kisi ke liye kuch nahi karta,
Marne wale ke saath har koi nahi marta,
Are Marne ki baat to door rahi,
Yaha to zindgi hai phir b koi yaad nahi karta…
Teri Bewafai Ke Zakham Jab Jab Yaad Aaye
Bebas Ashq Meri Aankhon Se Chalak Aaye
Wafao Se Tola Hai Tune Wafao Ko
Kaas Koi Kisi Ko Is Tarah Na Aajmaye
Darta Hai Dil Ab To Apni Hi Tanhai Se
Kabhi Jaam E Wafa Chalak Na Jaye.
Har sapna khushi pane se pura nahi hota,
Koi kisi k bina adhora nahi hota.
Jo chand roshan karta hai rat bhar sab ko,
Har raat woh bhi to poora nahi hota
Sweet
Zindagi kitne mod deti hai,
Har mod pe ek sawal deti hai...!!
.
.
Dhundate rahate hai hum
jawab umar bhar...!!
.
.
Jab jawab mil jata hai
toh zindagi sawal hi badal deti hai...!!!
जाते हुए उसने सिफे इतना कहा था मुझसे ओ
पागल .........
............
..........
........
......
....
...
..
.
अपनी जिँदगी जी लेना.......
..........
.........
........
.......
......
.....
....
...
..
.
वैसे प्यार अच्छा करते हो.
Roti He Aakhe Unhe Kisi Or Ke Sath Dekh Ke.
Roti He Aakhe Unhe Kisi Or Ke Sath Dekh Ke.
Par Ham Kuch Kar Nhi Sakte.
Kyo Ki Wo Khush He Unke Sath Reh Ke.
Mohabbaton se jaane kyun yaqeen ab to uth sa chala hai
Wafa bhi khaye kasam jiski, mujhe us wafa ki talash hai !!!!
`
Dil Hi Dil Mein,Unhe Chahte Hai,
Dil Hi Dil Mein,Unhe Pyaar Karte Hai,
Mushkil Hai Unka Raah Se Guzarna,
Fir Bhi Har Mod Pe,Unka Intezaar Karte Hai
Abhi Kehti Thi Mujhe Ke Koi Duaa
Hoon Mai Aaj Wo Keh Gai Mujhko Ki
Bewafa Hoon Mai..
Wo Jee Na Paati Thi Lamha Kabhi
Bagair Mere Aaj Kehne Lagi Mujhko Ki
Ek Sazaa Hoon Mai..
Yahi Dastoor Hai Aur Aisa Hi Hota
Aaya Lagi Maashuq Ke Mehndi Aur
Aashiq Rota Aaya..
Magar Riwaaz Bhi Ye Ulta Kar Diya
Maine Bina Chaahat Kisi Ki Maang
Bhar Diya Maine..
Kiya Hai Jo Bhi Ispe Khud Se Hi Khafa
Hoon Main Aaj Wo Keh Gai Mujhko Ki
Bewafa Hoon Mai..
Vada To Kar Lete Hai Nibhana Bhul Jate Hain,
Laga k Aag Seene Me Bujhana Bhul Jate hain,
Bhulana To Aadat ho gayee hai logo ki,
Rulate hai phir manana bhul jate hain.
Zindagi wafa na karay is ka gham nahi
Tu mujh sey bichar gaya ye bhi to kam nahi
Meri maa kaha kerti thi tu bohat bahadur hai
Is liye aaj meri aankh pur-nam nahi
Mein ney koshish to bohat ki lekin
Tujhay bhol jana bhi kisi mojzey sey kam nahi
‘GUL’ is liye bhi udas rehra hai
Meray hisay ki khoshi’yan gam’on sey kam nahi
Tum na mujhay kabhi chor ker jana
Is dil-e-bemar ko zamana choney ka gham nahi
Dil me hai ek Baat zuban pe laun kaise,
Haal is Dil ka duniya ko bataun kaise,
Wo kehta hai Gum hai to tu rota kyu nahi?
Aansu sookh gye ankhon k ro ro kr,
ye baat use samjhaun kaise.?
Nikal Aaye Idhar Janab Kahan
Raat Ke Vaqt Aaftab Kahan
Meri Aakhein Kisi Ke Aansoo Hain
Varna In Pathron Mein Aab Kahan
Seb Khile Hain Kisi Ke Gaalon Per
Is Baras Bagh Mein Gulab Kahan
Mere Hothon Pe Teri Khushboo Hai
Chhoo Sakegi Inhe Sharab Kahan
Rone se kisi ko kuch haasil nahi hota
jo bichhad jaye wo sathi nahi hota...
dusro ki to hum mehfil sajate hain
par humari tanhai mein koi shamil nahi hota..:( :(
har muskurata chehra muskurhat nhi deta,
jaam agar sirf pyale mai ho toh wo nasha nhi deta. ..
bewafa wo hai ya ye waqt,
jo use mujhe yaad karne ka mauka nhi deta....
Chup chup rehna kuch na kehna
Ye bhi aik udasi hy,
Hans k saaray sadmay sehna
Ye bhi aik udasi hy,
Bethay bethay kho sa jana yun he door khayalon mein,
Chaltay chaltay hanstay rehna
Ye bhi aik udasi hy,
Dil ki batain sun kr hansna ye to sb ki aadat hy,
Ghum ki baat pe hanstay rehna
Ye bhi aik udasi hy,
Maar k kankar lehrain gin’na beth k jheel kinaray per,
Kuch logoun ka hy ye kehna
Ye bhi aik udasi hy…!!