Agar rukne lage sanse meri to,
mere paas aa jaana,
Apni god me rakhker sir mera mujhe sehlana,
Kuch pal hi sahi hm sari tanhai ki dastan bayan kr dege
Fir meri kahani sunker thoda gumsum ho jana
Rona mat warna humein bhi rona aa jayega
Bs ek baar muskura kar pyaar se hume sula jana…!!!
Jism se meri ruh nikal di usne
muje udas rahne ki adat si daldi usne
Kisi ne us se pucha muhabbat me barbad kese hote h phle to bhut hanse fir meri misal di usne
Hasane ke baad kyu rulati hai duniya,
Jaane ke baad kyu bhulati hai duniya,
Zindgi me kya koi kasar baaki thi,
Jo mar jaane ke baad bhi jalati hai duniya…
Bhar Aayi Meri Aankhen Jab
Uska Naam Aaya
Ishq Nakam Sahi Phir Bhi
Bohat Kaam Aaya…
Humne Mohabbat Me Aisi Bhi
Guzaari Raatein
Jab Tak Aansu Na Bahe Dil Ko
Na Aaraam Aaya..
Bechaini tadpaye jab unki yaad aye,
Humari khuli bahein unhe hi bulaye,
Hume pata hai ki who ek khwaab hai,
Khwaabon mein who hume yun hi tadpaye !!!
Khan
Koi ilzam Lga Kr To Saza Di Hoti
Phir Meri Lash Sare-Bazar Jala Di Hoti
Itni Nafrat Thi To Piyar Se Dekha Kioun Tha
Mjhe Pehle Hi Meri Okat Bata Di Hoti
Dekh Kar Zakham Mere Ankhain Chura Li Tu ne
Poch Kar Kuch To Zkhmon Ki Dawa Di Hoti
So Jata Main B Chain Se Jana
Tu Ne Agar Shoq Se Aanchal Ki Hawa Di Hoti
Zindagi Apni B Chain Se Guzar Jani Thi
K
Tu Ne Agar Pyar Se Dil Main Jaga Di Hoti.
‘ Hijr Mosam me Ye Baarish ka Barasna kesa,
‘ Ek Sehra Se Samandar ka Guzrna kesa?
‘ Ai Mere Dil na Preshan ho Tanha ho ker,
‘ Wo Tere sath Chala kab tha’ Bichhrna kesa?
‘ Log kehte han Gulshan ki Tabahi dekho,
‘ Mein to Veeran Sa Jungal tha Ujarna kesa?
‘ Dekhne me to koi Dard nhi’ Dukh bhi nhi,
‘ Phir Ye Aankhon me Yun Ashkon ka Ubharna kesa?
‘ Bewafa kehne ki Jurrat bhi na krna UsS ko,
‘ UsS ne Iqrar kiya kab tha’ Mukarna kesa??
jo gham seeno ma paltay hai
zakham jo dil pa lagtay hai
kisi ki bewafai sa
gharor-o-benyazi sa
to kiya wo daag dhuL jatay
wo saray gham b ghul jatay
agar ansoo na hotay to.
k jb ya zest b aik azmaish ho
or is dunya ma jeenay ki na khowakhish ho
to kya asbab mil jatay
k phr halat badal jatay
agar ansoo na hotay to
Tere Waade Pe Hum Ne Bharosa Kiya
Kuchh To Ulfat Ka Tum Bhi Haq Nibhaaya Karo
Hum Bhi Hamraaz Hain Tum Bhi Hamraaz Ho
Dil Ki Baat Humse Na Chhupaaya Karo..!!!
Jaane kya mujhse zamana chahta hai,
Mera dil tootkar mujhe hi hasana chahta hai,,
Jaane kya baat jhalkta hai mere chehre se,
Har shaks mujhe aajmana chahta hai ....