Rait par likh k mera naam mitaya na karo
Aankheen sach bolti hain pyar chupaya na karo
Loog har baat ka afsana bana lete hain
Sab ko hallat ki rodaad sunaya na karo
Yeh zarori naheen har shaks masiha hi ho
Pyar k zakhm amanat hain dekhaya na karo
Shehar_e_ehsaas main pathrao bohot hain mohsin
Dil ko shishe k jharokoon main sajaya na karo
Rait par likh k mera naam mitaya na karo
Aankheen sach bolti hain pyar chupaya na karo
Aj phir us se milne kaa dil chahta hai,
Pass baith k baat karny koo dill chahta hai,
Itna hasin tha us kaa mananay ka andaz,
Aaj phir roth jany koo dil chahataa hai.
Teri Duniya Se Bohot Dur Chale Jayenge,
Teri Hasti Aankhon Mein Aansu Chood Jayenge.
Aaj Tum Humse Tang Ho,
Par Ek Din Aap Humse Tang Hone Ko Taras Jayenge.
PaTThar Ki Hai Duniya JazbaaT Nahi SamajhTi
DiL Me Kya Hai BaaT, Wo BaaT Nahi SamajhTi
Tanha To Chand Bhi Hai Sitaron Ke Beech Magar
Chand Ka Dard Ye RaaT Nahi SamajhTi
Chup kar kahi kisi or se dosti nahi ki,
mene kiya tha pyar .. pyar ka karja chuka diya,
logo ne poochha jab udasi ka sabab……
to kore kagaj par toota hua dil bana diya…
Kuch ajeeb faslo ka janm ho raha hai
Naseeb mera jaagkar bhi soo raha hai
Kaise keh du tuta dil dhadakta nahi
Jabki aaj dil ka har tukda ro raha hai .
Sweet
koi apna aapna es tarha rulayega socha na tha.
aisey mod pe chhod hayega socha na tha.
biswas to tha bagwan pe mujhe ki utha lega es duniya se mujhe.
par o bhi dhokha de jayega socha na tha.
Laga k aag shehar ko ye Badshah ne kaha,
Utha hai dil mein Tamashay ka aaj shoq …bohat!
Jhuka k sir ko sabhi Shah-Parast Bol uthay,
Huzoor shoq salamat rahay shehar aur bohat..
Khuda Bola:
Use Yaar Banane Ki Galti Bhi Teri Thi,
Us Par Yakeen Karne Ka Khayal Bhi Tera Tha,
Use Kyun Gam Hoga Tere Jane Ka?
Sacha Pyaar Uska Nahi,
Sacha Pyaar To Sirf Tera Tha..!!