Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Tere Siwa
Kisi Ki Zaroorat Bhi Nahi Tere Siwa
Meri Nazar Ko Thi Talash Jiski
Kisi Ke Paas Vo Surat Nahi Tere Siwa
Aapse Rishta Bhi Mera Koi Hota
Shayad Uska Naam Dosti Hota
Chipk Kar Rehta Seene Se Humesha
Kash Main Aapki Mala Ka Koi Moti Hota
Teri Aakhon Me Aas Ho To Meri Ho
Tere Hothon Pe Pyass Ho To Meri Ho
Jab Tu Bole To Lab Tere Hile
Magar Unme Awaz Meri Ho
Jazbat-E-Ishq Sab Ko Bataya Nahi Jata
Lag Jata Hai Dil Lagaya Nahi Jata
Jannat Ki Baat Ho Ya Ho Gulistan Ke Rang
Dil Mein Lagi Aag Ko Bujhaya Nahi Jata..iii
Sitara Hoon Magar Yoon Hai Chamakna Bhool
Betha Hoon
Mein Khud Apne Taar’uf Ka Hawala Bhool Betha
Hoon
Jisse Mad-e-Nazar Rakh Kar Chala Tha Janib-E-
Manzil
Safar Ke Darmiyaan Mein Wo Sitara Bhool Betha
Hoon
Jab koyi itna khaas ban jaaye,
Uske bare me hi sochna ehsaas ban jaye
To mang lena khuda se use zindagi k liye,
Isse pahle k wo kisi aur ki saans ban jaaye.
By - Silent love.
Subah-dam yun hi fasurda ho gaya
ae dil-e-nazuk tujhe kya ho gaya
sina-e-baranat se shola sa utha
gam-zadon ke dil ka nagma ho gaya
shukriya ae gardish-e-jam-e-sharab
main bhari mahafil mein tanha ho gaya
raat dil ko tha sahar ka intazar
ab ye gham hai kyon savera ho gaya
bujh gai kuch is tarah shama-e-”salam”
jaise ik bimar acha ho gaya
hamesha khush rakhna mere khuda usko.
tere farishte bhi de sada dua usko.
zarurat se bhi zyada dena usko khushi.
kyun ki uski khushi se hai mohabbat mujhko
Qatil teri adaaon ne loota hain,
Mujhe teri jafaon ne loota hain,
Shouk nhi tha mujhe mar mitne ka
Saaki nashili nigahon ne loota hain,
Bikhri hain khushbu teri sanson ki,
Mujh ko to in hawaaon ne loota hai,
Chain se bhala kaise so sakta hoon,
Raaton ko tere khawabon ne luta hai
Bahut khoob hain tere husn ki adaa,
Chandni ko tune chanda se loota hai.
Dil Me Chupi Yado Se Sawaru Tujhe;
Tu Dikhe To Apni Ankho Me Utaru Tujhe;
Tere Naam Ko Mere Labon Pe Aise Sajaye Rakhun K;
So Bhi Jaun To Khwab Me Pukaru Tujhe!!!