चाहत तो :man: हम भी रखते हैं, किसी के :heart: दिल में हम भी :vibration_mode: धड़कते हैं, न जाने वो कब :cry: मिलेंगे :woman: जिन के लिए हम रोज़ :broken_heart: तड़पते हैं.
zindagi me 2 cheeze humesha tutne k liye hi hoti hain
1- saans
2- saath
Saans tutne se to insaan ek hi baar marta hain
par kisi ka sath tutne se insaan pal-2 marta hain
Wo Mujh Tak Aane Ki Raah Chahta Hai
Lekin Meri Mohabbaton Ka Gawah Chahta Hai
Khud Aate Jaate Mousamo Ki Tarah Hai
Aur Mujh Se Mohabbat Ki Intiha Chahta Hai
Raat Soyi To Par Nind Meri Aankho Se Door Hi Rahi,
Palke Band Ki To Thi Par Unme Tumhara Hi Khawab Raha,
Na Chahte Huye Bhi Chhaya Raha Muj Par, Tumhari Baato Ka Ek Nasha,
Or Dhadkanome Tumhara Hi Nam Gunjata Raha,
Har Sans Ke Sath, Jitna Bhi Chaha Tumhari Socho Se Bhagna,
Utna Hi Tum Mere Karib Aate Gaye,
Tumhari Baato Me Khoti Huyi Ye Diwani,
Chupchap Se Piglati Rahi Shama Ke Mom Ki Tarah….
Wo Kafan Tha Jo Daaman-E-Yaar Bana Firta Tha,
Mera Beham Mere Andar Aeitbaar Bana Firta Tha,
Kuchh Dikha Nahi Zamane Mein Siwaye Nafrat Ke,
Ek Main Hi Tha Jo Dilo Mein Pyar Bana Firta Tha…
Dard E Dil Ne Dekho Kitne Gham Jhele Hain
Mere Masoom Dil Mein Zakhmo Ke Kitne Mele Hain
Mehfilon Ki Khwahish Thi Mujhe
Dekho Zindagi Mein Aaj Hum Kitne Akele Hain…
Aansu Aa Jaate Hain,
Rone Se Pahle,
Khwab Toot Jaate Hain,
Sone Se Pahle,
Log Kahte Hain,
Mohabbat Gunaah Hai,
Kash Koi Rok Leta,
Yeh Gunaah Karne Se Pahle…
Dil:heart: Ka Dard Chhupana Kitna Mushkil Hai, Toot Kar Fir Muskurana:blush: Kitna Mushkil Hai, Door Tak Jab Chalo Kisi Ke Sath:couple: Mein Fir Tanha Laut Ke Aana:walking: Kitna Mushkil Hai.
Umar Ki Raah Mein Raste Badal Jate Hai,
Waqt Ki Aandhi Me Insan Badal Jate Hai,
Sochte Hai Tumhe Itna Yaad Na Kare Lekin,
Ankh Band Karte Hi Irade Badal Jate Hai…