Ghar jab bana liya hai tere dar par kahe bagair
janega ab bhi tu na mera ghar kahe bagair
kahate hain, jab rahi na mujhe taqat-e-sukhan
janun kisi ke dil ki main kyunkar kahe bagair
kam us se aa pada hai ki jisaka jahan mein
leve na koi naam sitamagar kahe bagair
jee mein hi kuch nahi hai hamare vagarna hum
sar jaye ya rahe na rahen par kahe bagair
chodunga main na us but-e-kafir ka pujana
chode na khalq go mujhe kafir kahe bagair
Aise Toh Thes Nahi Lagti Thi, Jab Apne Rootha
Karte The,
Itna Dard Toh Na Hotha Tha, Jab Sapne Toota
Karte The,
Apka Shayad Dil Bhi Toote, Jhoothe Pyar Karneh
Walo Ka,
Es Kadar Pyar Koi Karta Nahi, Ke Merne Wale Ke
Saath Koi Marta Nahi..ii
Zindagi Dene Vale Marta Chod Gaye
Apnapan Jatane Vale Tanha Chod Gaye
Jab Padi Jarurat Hume Apne Humsafar Ki
Vo Jo Saath Chalne Vale Apna Rasta Mod Gaye...
Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad
Ek diya jalta raha baarish ke baad
Mere behte hue Aansuon ko dekh kar
Ro parri thandi hawa baarish ke baad
Meri tanhaayi ka daaman thaam kar
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad
Yaad teri odh kar mein so gayi
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad
Chand dekh kar baadlo ki qaid mein
Ek sitaara ro diya baarish ke baad
Apne ghar ki har kachi deewaar par
Naam tera likh diya baarish ke baad....!
Bohat dil ko kushada kar liya us ne,
Zamany bhar se wada kar liya us ne,
Bohat masroof hota ja raha hy wo,
Shayad mujse Bicharny ka irada kar liya us ne,
Dukh Dard Ki Saugat Hai Duniya Teri Kya Hai
Ashkon Se Bhari Rat Hai Duniya Teri Kya Hai
Kuch Log Yahan Nur-E-Sahar Dhundh Rahe Hain
Tarik Si Ik Rat Hai Duniya Teri Kya Hai
Paband-E-Mashiyat Hai Tanaffus Bhi Nazar Bhi
Ik Jaziya-E-Lamhat Hai Duniya Teri Kya Hai
Taqadir Ke Chehare Ki Shikan Dekh Raha Hun
Aina-E-Halat Hai Duniya Teri Kya Hai..ii
Kya Khata Ho Gayi Thi Humse,
Jo Na Mana Tumne Salaam Humara,
Aaj Us Se Hi Kyu Fer Li Najren,
Jo Kal Tak Tha Tumhara Pyara,
Akele Aaye Hain Is Jahan Mein,
Aur Akele Hi Yahan Se Jaayenge,
Jo Bhi Gham Dega Humko Jamana,
Woh Sab Hanskar Sah Jayenge…
Khud Ko Jahaan Mein Badnaam Kar Liya,
Apna Daaman Kanto Se Chaak Kar Liya,
Ab Toh Hata Do Rukh Se Parda Jaalim,
Tere Pyar Mein Khud Ko Barbaad Kar Diya…