Sapno ko haqiqat banakar jeene lage the
isliye shayad hum peene lage the
sapno ke wo mahal pal bhar mein Barbaad ho gaye
Jin sapno ko sajaane mein mahinee lage the.
Sooni Rahon Mein Soone Patte Pade The
Shayad Kisi Ke Kadmon Ka Intezaar Tha Unko,
Band Darwazon Kuch Ehsaas Dafan The
Shayad Kisi Sitamgar Ka Intezaar Tha Unko,
Woh Aaye Kuch Is Tarah Se Meri Kabr Pe ,
Jaise Mere Marne Ka Intezaar Tha Unko…
DIL ki aawaaz ko izhaar kehte hain, jhuki nigahon ko ikraar kehte hain, sirf jataane ka naam ishq nahi, kisi ki yaado me jeene ko bhi pyar kehte hain.@
Dard Ka Rista Kaise Banaye Yaroo
Apna Dard Kisi Aur Ko Q Dekhaye Yaroo
Kuch Keh Ke Bhi Nahi Bataya Kabhi
Aus Baat Ko Kaise Kahein Bataoo Yaroo
Zakham Apna Payara Hai Mujhe Logo
Q Marham Hum Lagayein Bataoo Yaroo
Jis Ka Muntazir Thha Woh Na Aaya Kabhi
Aus Ka Deed Kaise Kare Batoo Yaroo
Jin Ke Intizar Mein Pathra Gayi Ankhein Meri
Kaise Ashkh In Ankhoo Mein Aaye Batoo Yaroo..ii
Raat Bhar Jaag Kar Yaad Unhe Karte Hain
Saath Nahi Hain Voh Pyar Jinhe Hum Karte Hain
Jeete Nahi Hain Unke Bina
Lagta Hai Jeekar Bhi Hum Gunah Karte Hain
Mere Saath Tum Bhi Dua Karo Yun
Kisi Ke Hak Mein Bura Na Ho
Kahin Aur Ho Na Yeh Haadsa
Koi Raaste Mein Khuda Na Ho
Share Sham Thahri Huyi Jamee
Jahaa Aasmaa Hai Jhuka Hua
Abhi Sooraj Nahi Dooba Zara Si Shaam Hone Do
Mein Khud Hi Laut Jaon Ga Mujhe Nakaam Hone Do
Mujhe Badnaam Karne Ke Bahane Dhoondte Ho Kion
Mein Khud Ho Jaon Ga Badnaam Pehle Naam Hone Do
Mujhe Dard-E-Ishq Ka Mazaa Maloom Hai,
Dard-E-Dil Ki Inteha Maloom Hai,
Zindagi Bhar Muskuraane Ki Dua Naa Dena,
Mujhe Pal Bhar Muskuraane Ki Sazaa Maloom Hai
Bichad Jaana Tu Us Ke Liye Maayane Nahin Rakhta,
Jafaon Ka Apni Hisaab Woh Zubaani Nahin Rakhta,
Rotaa Nahin Yaa Use Ronaa Nahin Aata,
Sungdil Hai Yaa Phir Aankhon Mein Paani Nahin Rakhta…
Ansu na hote to ankhe itni khubsurt na hoti,
.
dard na hota to khushi ki keemat na hoti,
.
agar mil jata koi chahne se
.
to dunia mein upparwale ki jarurt na hoti.
Pyar Aankho Se Jataya To Bura Maan Gaye,
Haal-E-Dil Humne Sunaya To Bura Maan Gaye,
Woh To Har Roz Rulaya Karte They,
Ek Roz Humne Rulaya To Bura Maan Gaye,