Tum in honto ke muskraht ko yuhe rehne dena,
duneya jo b kehti hai usy kehne dena,
hai guzarish tum se a meri jana,
kudaya in ankho se kabi anso na behne dena…..
Aaj Tanha Sahi Lekin Kal Manjar Nazar Aayega;
Har Juban Pe Naam Har Nazar Mein Chehra Nazar Aayega;
Mumkin Hai Mujhko Bhi Bhool Jayegi Duniya Lekin;
Dil Mein Tamam Umar Chehra Nazar Aayega!
Hosh valon ko khabar kya bekhudi kya cheez hai
ishq kije phir samajhiye zindagi kya cheez hai
un se nazaren kya mili raushan fizayen ho gain
aj jana pyar ke jadugari kya cheez hai
khulati zulfon ne sikhai mausamon ko shayari
jhukati aankhon ne bataya maikashi kya cheez hai
hum labon se kah na paye un se hal-e-dil kabhi
aur wo samajhe nahi ye khamoshi kya cheez hai
Kyu Na Socha Tumne K Kya Hoga Is Dil Ka
Kyu Kho Gae Tum Jese Koi Jhonka Hawa Ka
Zindagi Meri Badal Kyu Chale Gae Tum
Puchungi Jab Milungi Tumse Khwabo Mein
Har nakamiyabi ka matlab haar nahi hota,
Har nah ka matlab innkar nahi hota,
Aree kya hua hum usse pa na sake yaaro,
Sirf pane ka matlab pyar nahi hota………ii
Khushion se naraz hai meri zindagi,
Pyar ki mohtaz hai meri zindagi,
Has leta hoon logon ko dikhane ke liye,
Varna dard ki kitaab hai meri zindagi.....By The Hunter
Zindagi k safar ko lafzo me piroya hai ,
Apni har ghazal ko dard me piroya hai ,
Aaj wah-wah na kehna mere yaaro ,
Kyunki aaj fir ye dil kisi ki yaad me roya hai.
Koi sikwa na kuchh gila rakhna,
milne julne ka silsila rakhna.
dur jaoge tab yah janoge kitna muskil hai fasla rakhna.
waqt ki aandhio se mat darna
phool dil ka yau he khila rakhna.
hoga yahsas kyon judai ka,jaan se jaan,
dil se dil mila rakhna. zindagi lakh dard de lekin,
jinda rahne ka hausla rakhna.
Khawaish thi meri apna rutha yar manane ki,
Us k AANCHAL mai toot kar bikhar jane ki,
Jab pahunche uske aangan mai to dekha,
Wo dua kar rahe the kisi or ko pane ki...
Aap badle is kadar hum hairan rah gaye,
Aap khush hai hum pareshan rah gaye,
Jane kab ye jaan nikal jaye mere jism se,
Hum apne hi jism me mehman rah gaye.
Hum To Hain Musafir, Na Ghar Na Thikana,
Na Manzil Na Aashiyana, Na Koi Apna Na Begana,
Thaam Ke Tanhaion Ka Haath,
Kar Ke Akelepan Se Baat,
Chalta Hun Gumnaam,
Main Shayar Badnaam,
Main Shayar Badnaam…
Raat ke baad roz ek nayi subah Aayegi
umar ka kaam guzarna hai guzar jaayegi.
Meri yaadon ko mohbbat ka abhi naam na de,
waqt badala to teri raay badal jaygi….