Mujhe Dard-E-Ishq Ka Maza Maloom Hai;
Dard-De-Dil Ki Inteha Maloom Hai;
Zindagi Me Kabhi Muskurane Ki Dua Na Dena;
Mujhe Pal Bhar Muskurane Ki Saza Maloom Hai! Hushain2
Dil ke Dard ko Lafzon mai dhala na gaya
Ghum ke Ansuon ko Aankho se nikala na gaya
Usne Mujhe Dard is liye diya
Kyun ke
Usse Mera Pyar Sambhala na gaya..ii
Teri Judayi Ka Gham Umar Bhar Raha Lekin,
Ek Is Gham Ne Mujhe Zindagi Bhi Bakhsi Hai,
Hai Ajab Tarah Ki Dahsat Tere Diwane Mein,
Jee Na Aabadi Mein Lagta Hai Na Veerane Mein,
Yun Haath Ki Khamosh Lakeeron Main Aa Gaya
Lafzon Ki Rahguzar Se Woh Dil Main Sama Gaya
Jo Nukta Sochta Raha Main Tamam Omar
Lamhon Main Sara Falsafa Mujh Ko Bata Gaya
Yun Chahatein Samait Lein Daaman-E-Yaar Ne
Bakhshi Qabooliat Dil-E-Be-Ikhteyaar Ne
Sunli Duaein Bhi Meri Parwardeegar Ne
Zindagi Khubsurat Hai Par
Mujhe Jeena Nahi Aata,
Har Cheej Me Nasa Hai Par
Mujhe Pina Nahi Aata,
Sab Mere Bina Jee Sakte Hai,
Sirf Mujhe Hi Kisi Ke
Bina Jina Nahi Aata..
Dard Uthta Hai Magar Aah
Nahi Karty Kon Kehta Hai
Ke Hum Wafa Nahi Karty
Akhir Kyu Nahi Badalti
Taqdeer Meri Kya Mere Dost
Mere Haq Mein Dua Nahi Karte.
Dard ki mehfil me ek sher humbhi aarz kiya karte hai..
Na kisi se marham Na duaon ki Ummed kiya karte hai..
kayi chehre lekar log yaha jiya karte hai…….
hum in aasunao ko ek chehre ke liye peeya karte hai….
~ajnabi
Baat Kya Hai Ke Mashoor Logon Ke Ghar
Mout Ka Sogh Hota Hai Tyohar Sa,
Jina Jina Utarta Hua Aaina
Uska Lahja Anokha Khanak Dar Sa,
Woh Aligad Ki Shamein Kahan Kho Gayi
Ab Woh Shayar Kahan Hai Tahardaar Sa,
Apna Range Gajal Uske Rukhsar Sa
Dil Chamkane Lagta Hai Rukhe Yaar Sa…
Nikalta chand sabko pasand aata hai
Doobta suraj kaun dekhna chahtahai
Toot’ta hua taara sabki dua isliye poori karta hai
Kyuki use tootne ka dard maalum hota hai..