Lete thee mere pyar ki duhaye jo,
Wo aaj pata nahi kis gali se gujrte hai.
Jinki aankhe her pal meri rah dekhti thi,
Unki aankho me basa aaj koi aur hai.
Roo Roo Kr Gujarti Hai Mere Raate,
Yaad Aati Hain Teri Har Mulakat Wo Haseen Baate,
Meri Raate…Jane Se Pehle Ek Baar Bata To Diya Hota Ayesha,
Hm B Tere Sath Ye Duniya Chod Jate…
Woh Badle Is Qadar Ki Hum Hairan
Reh Gaye, Woh Toh Bohut Khush
Hain Or Hum Pareshan Reh
Gaye, Jane Kis Modh Par Ab Meri
Jaan Nikal Jaye, Ab Toh Apne Hi
Jism Mein Hum Mehmaan Reh Gaye.
Jab Bhi Pyas Lagti Hai Hamein,
Toh Apne Aansu Hi Pi Lete Hain,
Mar Jaate Hum Toh Jane Kab Se,
Teri Yaadon Ke Sahare Ji Lete Hain,
Teri Yaadon Ne Jab Jab Mujhko Sataya Hai,
Sitam Maine Apne Hi Jism Pe Dhaya Hai,
Hakikat Yeh Thi Bana Woh Hi Mout Ka Karan,
Jise Samjha Khuda Ne Mere Liye Banaya Hai…
Tadap kar dekh kissi ki chah main,
Tabhi ptta chalega ke pyaar kya hota hai,
Agar aaise hi mil jaye koi raahoan main,
Toa kaise ptta chale intezaar kya hota hai…iii
yaad teri hume itni aayi,
ke teri yaado ke saaye me jine laga,
dost to dost meri halat ko dekh,
khud khuda bhi rone lagaaaa,
plze come back in my life swee2
Wo Muskura Rahe Hai Hume Tanha Chod Kar,
Kiye Huye Saare Waado Ko Tod Kar.
Unke Siva Kahi Dil Lagta Bhi Nahi,
Ab Kya Karenge Hum Apne Toote Huye Dil Ko Jod
Karrr
Bohat udaas hai koi shakhs tere jaane se
Ho sake to laut aa kisi bahaane se
Tu laakh khafa sahi magr ik baar to dekh
Koi toot gaya hai tere door jaane se!!!
Yun To Gham Sab ki Zindagi Mein Hai
Zabt Lekin Kisi Kisi Mein Hai
Us Ne Sun Kar Ghazal Kahan Meri
Kitna Dukh Teri Shayari Mein Hai…
--------------------------------------
mousumi
jahan main jaun hawa ka yahi ishara ho
koi nahi jo yahan muntazir tumhara ho
meri bujhati hui aankhon ko roshni bakhshe
wo phul jo tere chehare ka ista’ara ho
chala hun apni hi aavaz-e-bazgasht pe yun
kisi ne dur se jaise mujhe pukara ho
ganva chuke kai umren ummidvar tere
kahan tak aur teri berukhi gavara ho
tu pas aate huye mujh se dur ho jaye
ajab nahi ki yahi hadasa dobara ho
nazar farebi-e-rang-e-chaman se bach ‘makhmoor’
jise tu phul samajh le kaheen sharara ho
Yeh Maana Ke Fursat Nahi Hai Aapko Magar,
Hamare Liye Do Pal Toh Nikaal Sakte The Tum,
Yeh Mana Ke Khusiyan Bantana Nahi Chahte The,
Magar Apne Ghamon Mein Toh Pukaar Sakte The Tum…