Kyun Tune Dil Toda
Kyun tune yun chhoda
Kyun tera ab bhi rahe dil ko Intezaar
Kyun Chali Aati hai
Kyun Tadpati hai
Kyun Hoon abb bhi mein yun bekaakaar..
Jinke Dil Par Chhot Lagti
Hai Wo Ankho Se Nahi Roote,
Jo Apno Ke Nahi Hue Wo
Kisi Ke Nahi Hote, Waqt Ne
Hume Ye Sikhaaya Hai Ki,
Sapne Toot Jaate
Hain Par Poore Nahi Hote..
Na jane ye nazar kyu udas rehti he. Kyu unhe kisi ki talash rehti hai. Ye jankar bhi ki aap nahi aaoge milne. Fir bhi ankhon ko apki intezaar rehti hai.
Ek Gujarish Hai Mere Dost Tujhse,
Taumra Is Dosti Ko Nibhana,
Ho Kuch Dil Mein To Usse Kabhi Na Chupana,
Dukh Ho Ya Sukh Hamesha Mere Sath Chalna,
Bhatak Jaau Agar Mein Kabhi To Sahi Raah Dikhana…
Mere mahiya ne mera dil tod diya,
Akele sunsaan raahon mein Tanha chhod diya,
Kehte rahe ki pyar itna krte hain aapse,
Shayad isliye khoon lga khanjar meri kabr per chhod gye,
Juda Hokar Bhi Woh Sataane Se,
Baaj Nahin Aate,
Door Rahkar Bhi Who Dil Jalane,
Se Baaj Nahin Aate,
Hum Toh Bhulna Chahte Hain,
Unka Vaajud Bhi Khuda,
Magar Who Khawabo Mein Aane Se,
Baaj Nahin Aate…
Gam-e-duniya se gar pai bhi fursat sar uthane ke
falak ka dekhana taqarib tere yaad aane ke
khulega kis tarah mazamun mere maktub ka yarab
qasam khai hai us kafir ne kagaz ke jalne ke
lipatana paraniyan mein shola-e-atish ka aasan
hai
wale mushkil hai hikamat dil mein soz-e-gam
chupane ke
unhen manzur apne zakhmiyon ka dekh aana tha
uthe the sair-e-gul ko dekhana shokhi bahane ke
hamari sadagi thi iltafat-e-naz par marana
tera aana na tha zalim magar tamahid jane keee
Apni bebasi par aaj fir muje rona sa aaya,
Dusro ko nahi mene toh apno ko ajmaya
Maine har ek dost ki tanhayi door ki,
Fir b khud ko har mode par tanha hi paya
Koi chahta hai kisi ko apnane k liye,
koi chahta hai kisi ko tanhai se bachanye k liye...
mujhe bhi kisi ne chaha tha,
magr sirf apna dil behlane k liye..
Doulat Se Hi Hote Hain Agar Haasil Sabhi Riste,
To Kyu Na Sagar Tu Bhi Ise Pa Ke Dikha De,
Agar Tujh Mein Nahi Himaat Aisa Karne Ki Toh Sun,
Kam Se Kam Yeh Toh Kar Apni Yeh Zindagi Gavan De…
Bekhudi se kabhi kisi ka haq ada nahi hota,
Woh juda ho jaate hai magar gum juda nahi hota.
Chhor diya hai bich manzil kisi patthar ke sahare,
Kaise unhe batayein ki har patthar mein khuda nahi hota.