Unki Mohabbat Ke Nishan Abhi Baki Hain
Naam Lab Per Hai Aur Jaan Abhi Baki Hai
Kya Hua Agar Dekh Kar Munh Fer Lete Hain
Tasalli Hai Ke Shakl Ki Pehchan Abhi Baki Hai…
Umar Ki Raah Mein Raste Badal Jate Hai,
Waqt Ki Aandhi Me Insan Badal Jate Hai,
Sochte Hai Tumhe Itna Yaad Na Kare Lekin,
Ankh Band Karte Hi Irade Badal Jate Hai…
Wo Aansu Jo Palko Ki Zeenat Nahi Bante
Wo Chupke Se Dil Mein Utar Jaya Karte Hain
Kuch Log Apne Dukho Ki Numaish Nahi Karte
Bas Khamoshi Se Hi Bikhar Jaya Karte Hain…
Badi Mushkil Se Bane Hu Toot Jane Ke Baad, Mai Aaj Bhi ro Deti Hu Muskurane Ke Baad, Tujhse Mohabbat Thi mujhe Beintiha, Lekin Aksar Ye Mehsus Hua Tere Jane ke Baad, Ab Tak Dhundh Rahe Hu Apne Andar Ke Us Shaks Ko, Jo Nazar Se Kho Gaya Hai Nazar Aane Ke Baad….!!!
Os Ki Boonde Hain Ya Aankho Mein Nami Hai
Na Upar Aasmaan Hai Na Niche Zameen Hai
Jaane Ye Kaisa Mod Hai Zindagi Ka
Apki Zarurat Hai, Aur Apki Hi Kami Hai…
Kitni Raahat Hai Dil Toot Jane Ke Baad
Apne Aap Se Mila Sab Kho Jane Ke Baad
Magar Hairat Hai Ab Tak Zinda Hu
Maut Roz Aati Hai, Uski Yaad Aane Ke Baad…
Jab Jab Main Leta Hu Saans,
Tu Yaad Aati Hai,
Meri Har Ek Saans Mein,
Teri Khusbu Bas Jaati Hai,
Kaise Kahun Tere Bina,
Main Jinda Hun,
Kyonki Har Saans Se Pahle,
Teri Khusbu Aati Hai…
Wo Kafan Tha Jo Daaman-E-Yaar Bana Firta Tha,
Mera Beham Mere Andar Aeitbaar Bana Firta Tha,
Kuchh Dikha Nahi Zamane Mein Siwaye Nafrat Ke,
Ek Main Hi Tha Jo Dilo Mein Pyar Bana Firta Tha…
Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Wafa Dete
Har Ik Ne Dokha Diya Kis Kis Ko Saza Dete
Ye Hamara Zarf Tha Ke Khamosh Rahe Warna
Daastan Sunatey To Mehfil Ko Rula Dete..ii
Bina Bataye Usne Na Jaane Q Ye Duri Kar Di,
Bichad K Usne Mohabbat Hi Adhuri Kar Di,
Mere Mukaddar Me Gum Aye To Kya Hua,
Khuda Ne Uski Khwaish To Puri Kar Di…