Mohabbat aankho se nikle ashko ko moti bana deti h
Mohabbat gehre zakhmo par b marham laga deti hai,
Jab jeene ki koi bhi vajah hi naa bachi ho,
Tab Mohabbat maut ko bhi zindagi bana deti hain
Abhi Khawab Se Jaga Hi Tha K Teri Yaad Aa Gai,
Tere Hi Tasavaur Se Rangeen Meri Zindgi Ho Gai,
Tanhai Me Guzar Jayegi Ye Zindgi Hamari,
Ek Hosla Mila Hi Tha K Teri Yaad Aa Gai,
Shayad Maut Bhi Khafa Hai Mere Is Naseeb Se,
Dum Nikal Hi Rha Tha K Teri Yaad Aa Gai,
Tujhko Bhul Jayenge Na Lenge Tera Naam,
Ye Faisla Kiya Hi Tha K Teri Yaad Aa Gai….
Door Ja Kar Bhi Aapse Door Ja Nahi Sakte
Kitna Roye Kisi Ko Bata Nahi Sakte
Gam Ye Nahi Ki Aap Mil Nahi Sakte
Ab Gham To Ye Hai Ke Hum Aapko Bhula Nahi Sakte
Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko
Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko
Chalega Mehfil Mein Jab Zikr Hamara Koi
To Tum Bhi Tanhai Dhundoge Aansu Bahane Ko
Ashqon Ke Rang To Mere Aaj Bhi Feekey Hain,
Tanhai Mein Bhi Jiney Key Kuch Tareekey Hain,
Eik Waqt Aisa Nahi Hota Ke Bhool Jaayen Tujhe,
Bas Muskaraney Ke Bahane Maine Bhi Seekhey Hain,
Hamney To Andheron Me Jalney Ki Kasam Khayi Hai,
Aur Harwaqt Teri Yaadon Ke Ujalon Me Bhi Bheegey Hain,
Ek Tum Hi To Kahin Nahi Jaatey Merey Dil Se Nikal Kar,
Pehle Tum Aatey Ho Dil Mein, Aur Dhadkane Peeche Hain…
Ye Jhuth Hai Ki Mujhe Pyar Kiya Hai Tune
Per Zindgi Ko Meri Barbaad Kiya Hai Tune
Main Bada Chaahne Wala Tha Tera
Dhokha Jise Sare Bazaar Diya Hai Tune…
Kabhi bhi “Kamyaabi” ko dimaag aur,
‘Naakami’ ko dil me jagah nahi deni chahiye
Kyuki “Kamyaabi” dimaag me ghamand aur
“Nakami” dil me mayoosi peda karti hain