Truth Of Life in Hindi -
Truth no 1 – Maa ke siwa koyi wafadaar nahi
Truth no 2 – Gareeb ka koyi dost nahi
Truth no 3 – Log achi seerat ko nahi achi surat ko tarjeeh dete hain
Truth no 4 – Izzat sirf paise ki hain insaan ki nahi
Truth no 5 – Insaan jis shakhs k liye dil se mukhlis ho wahi shakhs dukh dard deta hain
Bheeg Gayi Aankhe Jiski Yaad Mein Barsat Ki Tarah
Wo Badal Gaye Mere Halaat Ki Tarah
Jeete Jee Kabhi Haal Koi Puchha Hi Nahi
Fir Maut Pe Kyu Aaye Wo Barat Ki Tarah
Bina Bataye Usne Na Jaane Q Ye Duri Kar Di,
Bichad K Usne Mohabbat Hi Adhuri Kar Di,
Mere Mukaddar Me Gum Aye To Kya Hua,
Khuda Ne Uski Khwaish To Puri Kar Di…
Rab Ki Mehar Hai Ki Wo Bahoot Khubsurat Hai,
Uski Aankhe Jese Rab Ki Murat Hai,
Anjaan Se Dil Ne Humesha Bus Uska Hi Intzaar Kiya Hai,
Usko Hi Dekh Kar Har Lamha Iss Jeet Ne Jiya Hai…
Hasaata Hai Mujhko Aur Fir Rula Bhi Deta Hai
Kar Ke Wo Mujh Se Wade Aksar Bhula Deta Hai
Ajab Mizaj Hai Uska
Mohabbat Bhi Karta Hai Phir Nazron Se Gira Bhi Deta Hai
Kore Kagaj Ki Tarah,
Meri Zindagi Veeran Hai,
Gham Ki Duniya Mein Yaaro,
Gham Hi Meri Pahchan Hai,
Khud Gham Sada Hoke Bhi,
Karta Hai, Khush Logon Ko,
Sach Toh Yeh Hai Sanam,
Ki Dard Hi Jaan Hai….
Halaton Ne Unhe Itna Majboor Kar Diya, Ke Lachar Hoke Wo Gamo Me Doob Jane Lage,
Jinhe Thi Har Kadam Mere Sath Ki Aadat, Meri Duniya Se Aaj Wahi Door Jate Rahe,
Zamane Ki Janjeeron Se The Hum Jakde Is Kadar, Samne Hi Mere Gair Unki Maang Sajate Rahe,
Meri Zindagi Ab Kisi Aur Ki Amanat Bani, Ek Hum Hi The Jo Ispe Bhi Mahfil Me Taali Bajate Rahe…
Hme To Apno Ne Loota Gairo Mein Kahan Dam Tha,
Meri Kisti Waha Dubi Jaha Pani Bhut Kam Tha,
Hum Chahte To Tod Kar Rakh Dete Har Ek Rishta,
Magar Uski Masoon Sa Dikhne Wala Chehra Nam Tha,
Maine Toh Use Bahut Chaha, Par Uska Pyar Toh Bahut Kam Tha…
Kitna Chaahata Hun Tujhe Yeh Mujhko Pata Nahi,
Magar Tumhare Siwa Koi Aur Dil Mein Basa Nahi,
Zamana Dusman Ho Gaya Chaahat Ka Hamari,
Juda Ho Gaye Phir Se Ham Yeh Meri Khata Nahi….
Kab Dursro Ka Sath Nibhate Hain Log
Aansu Ki Tarah Bichad Jate Hain Log
Wo Zamaana Aur Tha
Gairon Ke Gham Mein Jab Rote The Log
Ab To Apno Ko Rulakar Muskurate Hain Log…
Door Ja Kar Bhi Aapse Door Ja Nahi Sakte
Kitna Roye Kisi Ko Bata Nahi Sakte
Gam Ye Nahi Ki Aap Mil Nahi Sakte
Ab Gham To Ye Hai Ke Hum Aapko Bhula Nahi Sakte