Jo Maine Hai Likha Usey Bhi Dikhana,
Pata Chale Usey Ek Tha Uska Bhi Deewana,
Uski Hassi Ne, Nazar Ne, Mujhe Kiya Tha Deewana,
Ab Muskil Hai Ussey Bhula Pana…
Hum Rooth Jayenge To Manaane Ka Wada Kiya Tha
Hum Door Jayenge To Bulaane Ka Wada Kiya Tha
Aaj Palkon Pe Aansu Bhar Diye Jisne
Zindagi Bhar Hasaane Ka Wada Kiya Tha…
Gam na kar teri zindagi se hum chale jayenge...
Kabhi miloge to najre nahi milayenge,
jis din tuje teri galti ka ehsas hoga,
us din hum kisi or ke ho jayenge
Baar Baar Dil Par Jakham Kab Tak Sahun Main,
Sah Sahkar Yeh Sitam Kab Tak Chup Rahu Main,
Jaante Hain Zamane Waale Mere Halat Sabhi,
Chahiye Jakhmon Ki Dawa Yeh Kis Se Kahun Main….
Char Dino Ki Chahat Mein Umar Bhar Ka Intezar Hai,
Mohabbat Ek Aisi Majburi Hai Jisme Sab Lachar Hain,
Juda Nahi Kar Sakti Ab Maut Bhi Mujhe Teri Yaadon Se,
Aur Ek Zindagi Hai Jo Har Pal Tere Liye Beqarar Hai…
Kore Kagaj Ki Tarah,
Meri Zindagi Veeran Hai,
Gham Ki Duniya Mein Yaaro,
Gham Hi Meri Pahchan Hai,
Khud Gham Sada Hoke Bhi,
Karta Hai, Khush Logon Ko,
Sach Toh Yeh Hai Sanam,
Ki Dard Hi Jaan Hai….
Kitna Chaahata Hun Tujhe Yeh Mujhko Pata Nahi,
Magar Tumhare Siwa Koi Aur Dil Mein Basa Nahi,
Zamana Dusman Ho Gaya Chaahat Ka Hamari,
Juda Ho Gaye Phir Se Ham Yeh Meri Khata Nahi….
Duniya me koi bhi cheez apne aapke ke liye nahi bani hain
Jaise Dariya – khud apna pani nahi peeta
Ped – khud apna fal nahi khate
Suraj – apne liye har raat nahi deta
Phool – apni khusboo apne liye nahi bhikherte
Maloom hai kyun ?
Maine Zindgi Se Pucha Sabko Itna Dard Kyu Deti Hai
Zindgi Ne Hans Ke Kaha,
Ki Hum To Sab Ko Khushi Dete Hain
Per Kisi Ki Khushi Kisi Aur Ka Dard Ban Jati Hai
Truth Of Life in Hindi -
Truth no 1 – Maa ke siwa koyi wafadaar nahi
Truth no 2 – Gareeb ka koyi dost nahi
Truth no 3 – Log achi seerat ko nahi achi surat ko tarjeeh dete hain
Truth no 4 – Izzat sirf paise ki hain insaan ki nahi
Truth no 5 – Insaan jis shakhs k liye dil se mukhlis ho wahi shakhs dukh dard deta hain
Rab Ki Mehar Hai Ki Wo Bahoot Khubsurat Hai,
Uski Aankhe Jese Rab Ki Murat Hai,
Anjaan Se Dil Ne Humesha Bus Uska Hi Intzaar Kiya Hai,
Usko Hi Dekh Kar Har Lamha Iss Jeet Ne Jiya Hai…
Raat Soyi To Par Nind Meri Aankho Se Door Hi Rahi,
Palke Band Ki To Thi Par Unme Tumhara Hi Khawab Raha,
Na Chahte Huye Bhi Chhaya Raha Muj Par, Tumhari Baato Ka Ek Nasha,
Or Dhadkanome Tumhara Hi Nam Gunjata Raha,
Har Sans Ke Sath, Jitna Bhi Chaha Tumhari Socho Se Bhagna,
Utna Hi Tum Mere Karib Aate Gaye,
Tumhari Baato Me Khoti Huyi Ye Diwani,
Chupchap Se Piglati Rahi Shama Ke Mom Ki Tarah….
Bina Bataye Usne Na Jaane Q Ye Duri Kar Di,
Bichad K Usne Mohabbat Hi Adhuri Kar Di,
Mere Mukaddar Me Gum Aye To Kya Hua,
Khuda Ne Uski Khwaish To Puri Kar Di…
Ashqon Ke Rang To Mere Aaj Bhi Feekey Hain,
Tanhai Mein Bhi Jiney Key Kuch Tareekey Hain,
Eik Waqt Aisa Nahi Hota Ke Bhool Jaayen Tujhe,
Bas Muskaraney Ke Bahane Maine Bhi Seekhey Hain,
Hamney To Andheron Me Jalney Ki Kasam Khayi Hai,
Aur Harwaqt Teri Yaadon Ke Ujalon Me Bhi Bheegey Hain,
Ek Tum Hi To Kahin Nahi Jaatey Merey Dil Se Nikal Kar,
Pehle Tum Aatey Ho Dil Mein, Aur Dhadkane Peeche Hain…
Wo Meri Tamaam Wafaon Ka Sila Kuch Is Tarah Se Deta Hai
Baat Karke Kuch Aisi Mujhe Meri Nazron Se Gira Deta Hai
Khyal Rakhta Hai Wo Mera Kuch Is Tarah Se
Ke Zubaan Ke Nashtar Se Mujhe Maar Deta Hai
Wo Teri Baat Phaans Ban Kar Atak Jati Hai Mere Dil Mein
Wo Kabhi Kabhi Bin Maut Mujhe Maar Deta Hai
Banti Hai Phir Meri Zaat Hi Shikwe Shikayaton Ka Mehwar
Yoon Lagta Hai Mujhe Wo Mere Hone Ki Saza Deta Hai
Na Jaane Kaise Sehta Hai Wo Mere Wajood Ko
Mujhe Apne Upar Bojh Qaraar Deta
Bhool Jati Hoon Main Bahut Jald In Jiyation Ko
Wo Jab Aik Bar Mujhe Dekh Kar Muskura Deta Hai… Chandni
zindagi me 2 cheeze humesha tutne k liye hi hoti hain
1- saans
2- saath
Saans tutne se to insaan ek hi baar marta hain
par kisi ka sath tutne se insaan pal-2 marta hain