Abhi Khawab Se Jaga Hi Tha K Teri Yaad Aa Gai,
Tere Hi Tasavaur Se Rangeen Meri Zindgi Ho Gai,
Tanhai Me Guzar Jayegi Ye Zindgi Hamari,
Ek Hosla Mila Hi Tha K Teri Yaad Aa Gai,
Shayad Maut Bhi Khafa Hai Mere Is Naseeb Se,
Dum Nikal Hi Rha Tha K Teri Yaad Aa Gai,
Tujhko Bhul Jayenge Na Lenge Tera Naam,
Ye Faisla Kiya Hi Tha K Teri Yaad Aa Gai….
Maa Teri Yaad Satati Hai, Mere Paas Aa Jaao,
Thak Gaya Hoon, Mujhe Apne Aanchal Mein Sulao,
Ungliyaan Apni Pher Kar Baalon Mein Mere,
Ek Baar Phir Se Bachpan Ki Loriyaan Sunaao…
Baar Baar Dil Par Jakham Kab Tak Sahun Main,
Sah Sahkar Yeh Sitam Kab Tak Chup Rahu Main,
Jaante Hain Zamane Waale Mere Halat Sabhi,
Chahiye Jakhmon Ki Dawa Yeh Kis Se Kahun Main….
Kabhi Mohabbat Karo Toh Hum Se Karna,
Dil Ki Baat Juba Par Aaye Toh Hum Se Kahna,
Na Kah Sako Toh Aankhein Jhuka Lena,
Hum Samajh Jaayenge Hamein Kuchh Na Kahna…
Ashqon Ke Rang To Mere Aaj Bhi Feekey Hain,
Tanhai Mein Bhi Jiney Key Kuch Tareekey Hain,
Eik Waqt Aisa Nahi Hota Ke Bhool Jaayen Tujhe,
Bas Muskaraney Ke Bahane Maine Bhi Seekhey Hain,
Hamney To Andheron Me Jalney Ki Kasam Khayi Hai,
Aur Harwaqt Teri Yaadon Ke Ujalon Me Bhi Bheegey Hain,
Ek Tum Hi To Kahin Nahi Jaatey Merey Dil Se Nikal Kar,
Pehle Tum Aatey Ho Dil Mein, Aur Dhadkane Peeche Hain…
:heart_eyes: बड़ी मुश्किलों से सीखा हैं :relaxed: जीना, दूर :raising_hand: तुझसे होकर तेरे बिना, :woman: लौटकर फिर न आना, :sparkling_heart: वरना जीकर भी :skull: मर जाऊंगा तेरे बिना.
Jane Kyun Aansuo Se Aankh Bhar Aayi
Dil Ko Shayad Tumhari Yaad Bahut Aayi
Chahat Thi Itni Tum Se Milne Ki
Lekin Ye Baat Uperwale Ko Kabhi Raas Na Aayi…