Ek harf tasalli ka,ek lafz mohabbat ka
khud apne liye usne likha to bahut roya
pehle bhi shikaston pe khai thi shikast usne
lekin wo tere haathon haara to bahut roya.
Naya dard ek dil mein jaga kar chala gaya,
Kal phir woh mere shehar mein aa kar chala gaya.
Jise dhoondhti rahi main logon ki bheed mein,
Mujh se woh apne aap ko chhupa kar chala gaya.
Main uski khamoshi ka sabab poochhti rahi,
Woh kisse idhar udhar ke suna kar chala gaya.
Yeh sochti hoon kaise bhulaaoongi ab use,
Ek shakhs woh jo mujh ko bhula kar chala gaya.
Majboor Mohabbat Jata Na
Sake.. Zaakhm Khate Rahe
Kisi Ko Bata Na Sake..
Chahato Ki Hadd Tak Chaaha
Use.. Sirf Apna Dil Nikaal
Kar Use Dikha Na Sake..!
Dil Ka Har Dard Kho Gaya Jaise,
Main Toh Pathar Ka Ho Gaya Jaise,
Daag Baki Nahi Ke Nishan Kahun,
Koi Deevar Dho Gaya Jaise,
Jagta Jahan Gham Ki Dhoop Mein Tha,
Chhav Paate Hi So Gaya Jaise,
Kisti ka sahara chhodh khud , tair jana sikh lo, kyonki bewfa mahboob , aur samudra ka koi pta nahi hota ki ve kab bich me kab chod dege yaro. by :: LAKI
Ek Jurm Hua Hai Hum Se Ek Yaar Bana Baithe Hain;
Kuch Apna Sa Us Ko Samajh Kar Sab Raaz Bata Baithe Hain;
Phir Us Ke Pyaar Kee Raah Mein Dil-o-Jaan Gawa Baithe Hain;
Woh Yaad Bahut Aate Hain Jo Hum Ko Bhula Baithe Hain!
Tum meri aankh ke tever na bhula pao gey,
Unkehi baat ko samjho gey to yaad aaonga…
Hum ne khushiyon ki tarhan dukh bhi ikathe dekhe,
Safha-e-zeest ko palto gey to yaad aaonga…
Is judai mein tum andar se bikhar jao gey,
Kisi mazoor ko dekho gey to yaad aaonga…
Isi andaz mein hote the mukhatib mujh sey,
Khat kisi aur ko likho gey to yaad aaonga…
Meri khusbhu tumhain kholey gi gulabon ki tarhan,
Tum ager khud sey na bolo gey to yaad aaonga…
Sard raaton ke mehaktey hue sanatoon mein,
Jab kisi phool ko chumo gey to yaad aaonga…
Aaj to mehfil-e-yaraan pe ho maghroor bohat,
Jab kabhi toot ke bikhro ge to yaad aaonga
Ab to ye ashk main honton sey chura laita hun,
Haath sey khud inhein poncho gey to yaad aaonga…
Shaal pehnaey ga ab kon december mein tumhain,
Barishon mein kabhi bheego gey to yaad aaonga…
Hadsey aainge jeeven mein to tum ho ke nidhaal,
Kisi deewaar ko thamoo gey to yaad aaonga…
Is mein shamil hai mere bakht ki tareeqi bhi
tum sayaah rang jo pehno gey to yaad aaonga