Ansun Nikal Aae Hain Rone SePahale
Har Khwab Toot Jaatein Hain Sone Se Pahele,
Ishq Hain Gunaah Ye To Samaz Main Aagaya
Kaash Koi Rok Letha Ye HoneSe Pahele!!
Sukoon Milta Hai Sirf Aapki Baahon Me..
Sama Lo Mujhko Aap Apni Panaaho Me..
Khwaab Nahi To Mujhe Ashk Hi Bana Lo..
Kuch Pal Ke Liye Hi Thairungi Aapki Nigaaho Me..!
Kafi hai husn dil ko behlaneke liye, mohabbat karlo dil ko dukhane ke liye, chahe bhale paray ghum se vasta, ek hum jaisa dost rakhna sab ghamon ko bhulanay k liye
Mujko Rula Kar Dil Uska Bi Roya To Hoga,
Uski Ankho Par Bi Aansu Aaya To Hoga,
Agar Na Kiya Kuch Haasil Hamne Pyar me,
Kuch na Kuch Usne Bi Khoya To Hoga..
Gar Mile Na Hote Hum Pichle Janam Me..
Shayed Na Pehchaan Paate Tujhe Is Janam Me..
Fir Mile Hain Ab Is Janam Me..
Bhula Na Sakenge Tujhe Kisi Janam Me..
Once A Guy Who Recently Had A Breakoff Wid Her Girl Friend Was Asked ....Hav U Left Ur Girl Friend Or She Left U???
He Smiled And Answered..
Love Left Us!!!
Pal-pal Tarse Us Pal Ke Liye,
Pal Aaya Bhi To Kuchh Pal Ke Liye.
Socha Tha Use Zindagi Ka Sabse Hansi Pal Bana Lege,
Par Wo Pal Bhi Ruka To Bas Ek Pal Ke Liye
Basaaya Tha Dilme Unhe Ye Chahat Ki Baat Thi..
Wo Bewaffa Nikla Uski Fitrat Ki Baat Thi..
Waado Pe Unke Aaj Bhi Ji Rahe Hain Hum..
Hume Tha Unka Intezaar Ye Meri Aadat Ki Baat Thi..
Ruswaa Wo Kar Gaye Hume Poori Dunia Ke Saamne..
Hum Kuch Bhi Na Kar Sake Ye Meri Sharafat Ki Baat Thi..
Chaaha Humne Paaya Kisi Aur Ne Unhe..
Wo Mile Na Hume Ye Meri Kismat Ki Baat Thi..
Hamari Dastaan Sunn Ke Sara Jahan Rooya..
Sirf Hum Na Rooye Ye Meri Himmat Ki Baat Thi..!
Zindagi Ek Saza Si Lagane Lagi,
Gum Ki Aandhiyo Mein Is Kadar Ulajhne Lagi,
Galti Hamari Bhi Thi Ki Hamne PyarKa Izhar Nahi Kiya,
Aur Wo Kisi Aur Se Pyar Karne Lagi...
Pathar Ki Hai Dunya Jazbaat Nahi Samajhti.
Dil Mai Kya Hai Wo Baat Nahi Samajhti.
Tanha To Chand Bhi Hai Sitaron Mai.
Par Chand Ka Dard Bewaffa Raat Nahi Samajhti
Dard ki mehfil me ek sher hum bhi aarz kiya karte hai.
Na kisi se marham Na duaon ki Ummed kiya karte hai.
kahi chehre lekar log yaha jiya karte hai.
hum in aasunao ko ek chehre ke liye peeya karte hai.