hansi ki rah me gum mile to kya kare,
wafa ki rah me bewafa mile to kya kare,
kaise bachaye ye jindgi dokhebajo se
koi muskurakar dhokha de jaye to kya kare.
Zindagi Ek Saza Si Lagane Lagi,
Gum Ki Aandhiyo Mein Is Kadar Ulajhne Lagi,
Galti Hamari Bhi Thi Ki Hamne PyarKa Izhar Nahi Kiya,
Aur Wo Kisi Aur Se Pyar Karne Lagi...
Kabhi ro ke muskuraye , kabhi muskura ke roye,
Jab bhi teri yaad aayi tujhe bhula ke roye,
ek tera hi to naam tha jise hazar bar likha,
Jitna likh ke khush hue us se jayada mita ke roye.
Hmne Unki Khatir Apni Zindagi Luta Di
Unhone To Apne Dil Se Meri Yaad Hi Mita Di
fir Bhi Aaj Tk Puch Na Sake Hum Unse..
Ki Unhone Hame Kis Baat Ki Saza Di.
Ek khushi k liye hr khushi se dur huye hum,
Kuch keh bhi na sake itne majbur huye hum,
Na aayi unhe nibhane wafa
aur be-wafa k naam se mashhur huye hum.
Kyu chupke se wo log utar jate hai dil me
Jinse kabhi kismat ke sitare nahi milte
Pyar ke bhawar me ye keh ke chho diya
Ki kabhi nadiyo ke dono kinare nahi milte.
Mere aane ki aahat par shayad shama jalaee hogi
Kabhi judai ke gham se aankh bhar aayi hogi
Fikar na kar mere hamdum
Rab ne milne ki koi shaam zarur banayi hogi
khawaishon k pichhe bhag-2 k kya mila h mujhe,
Aisa to main kabhi na tha kya huaa mujhe,
Rasto pe chalte-2 kyun mai bikhar gya,
Shaks jo mere sath tha kyu wo bichar gya.