Sadiyon Se Is Jamin Ka Vaaris Tha Aadmi,
Kadmo Mein Kaynat Par Dil Ke Vajood Mein Kami,
Chand Aur Sitaron Ka Mel Tha Aasman Mein,
Us Vakt Se Hi Jaati Nahin Aankho Ki Nami,
Sabke The Nagar Apne Senayen Apni Apni,
Barud Ki Ghatayen Thi Din Rat Maatmi,
Hai Fool Bhi Khusbu Bhi Badal Bhi Hai Hawa Bhi,
Insaniyat Ka Jajba Hai Taksal Damdami,
Hansati Huyi Tamanna Gate Huye Musafir,
Hain Aadmi Ke Jalwe Kis Baat Ki Gami…
Kabhi Kabhi Yun Hi Humne,
Apni Dil Ko Bahlaya Hai,
Jin Baaton Ko Khud Nahin Samjha,
Auron Ko Samjhaya Hai,
Mir O Galib Ke Sheron Ne Kiska Sath Nibhaya Hai,
Saste Geeto Ko Likh Likh Kar Hane Ghar Banwaya Hai,
Hamse Pucho Ijjat Walon Ki Ijjat Ka Haal Kabhi,
Hamne Bhi Is Sahar Mein Rahkar Thoda Naam Kamaya Hai,
Koi Mila Toh Hath Milaya Kahin Gaye Toh Baatein Ki,
Ghar Se Bahar Jab Bhi Nikale Dinbhar Bojh Utaya Hai….
Dekh Sunkar Asliyat Dil Fat Gaya,
Paake Uska Likha Khat Dil Phat Gaya,
Bhesh Sadu Ka Banakar Chal Diye,
Aisi Unki Mohabbat Dil Fat Gaya,
Ek Nanhi Jaan Aur Sitam Hazaron,
Karte Karte Ibadat Dil Phat Gaya,
Khun Ke Riste Bhi Bemani Huye Ab,
Samjhate Hi Yeh Sifat Dil Phat Gaya,
Adab Pahle Yahan Ki Pahchan Si Thi,
Beadab Ab Siyasat Dil Fat Gaya…
Zindagi Ki Aandhi Mein Jahan Ka Ped Tanha,
Tumse Kuchh Sahar Tha Aaj Hu Magar Tanha,
Tum Fijul Baaton Ka Dil Par Bojh Mat Lena,
Hum Toh Khair Kar Lenge Zindagi Basar Tanha,
Ek Khilona Jogi Se Kho Gaya Tha Bachpan Mein,
Dhundhata Fir Ausko Woh Nagar Nagar Tanha,
Jhutpute Ka Aalam Hai Jaane Koun Aadam Hai,
Ik Kabr Par Rota Hai Muh Ko Dhanpkar Tanha,
Jakham Ghayal Lamhon Ko Niti Sambhale Hai,
Anginat Marijon Mein Ek Doctor Tanha…
Ahsas Dard Wale Dil Ko Nichodate Hain,
Jajbat Se Kisi Ke Bhi Aise Na Kheliye,
Insaniyat Ke Dushman Paate Nahi Mohabbat,
Iljaam Unke Hamne Apne Sar Pe Le Liye,
Aise Hi Nahin Khusiyan Mil Jaati Chahne Se,
Kuchh Dariya Toh Bahaiye Parbat Useliye,
Mushkil Toh Nahin Hai Kuch Jab Dil Mein Than Lein,
Mumkin Hain Khwabon Ke Mahal Insano Ke Liye,
Auro Ke Liye Jite Huye Dekha Jamane Ne,
Jadu Chalega Ek Din Kuchh Aur Jheliye…
Safar Mein Dhoop Toh Hogi Jo Chal Sako Toh Chalo,
Sabhi Hain Bheed Mein Tum Nikal Sako Toh Chalo,
Yahan Kisi Ko Koi Rasta Nahin Deta,
Mujhe Gira Ke Tum Sambhal Sako Toh Chalo,
Har Ek Safar Ko Hai Mahfooj Raasto Ki Talash,
Hifajato Ki Ravayaj Badal Sako Toh Chalo,
Yahi Hai Zindagi Kuchh Khwab Chand Ummiden,
Inhi Khilono Se Tum Bhi Bahal Sako Toh Chalo,
Kisi Ke Waste Rahein Kahan Badlati Hain,
Tum Apne Aapko Khud Hi Badal Sako Toh Chalo…
Ab Kise Chahein Kise Dhunda Karein
Woh Bhi Aakhir Mil Gaya Ab Kya Karein,
Halki Halki Baaris Hoti Rahe
Hum Bhi Phoolon Ki Tarah Bhiga Karein,
Aankhein Munde Is Gulabi Dhoop Mein
Der Tak Baithe Use Socha Karein,
Dil, Mohabbat, Deen Duniya, Shayari
Har Dariche Se Tujhe Dekha Karein,
Ghar Naya Bartan Naye Kapde Naye
In Purane Kagjon Ka Kya Karein…
Kabhi Palat Kar Dekho Duniya,
Kya Lamba Choda Afsana,
Najron Mein Aa Jaye Mohabbat,
Chal Nikalega Gham Begana,
Dil Ke Hathon Dard Uthakar,
Bhatak Raha Ab Tak Diwana,
Vaise Toh Anmol Zindagi,
Kyu Kodi Ke Bhav Lutana,
Desh Ki Mitti Chandan Jaisi,
Are Doodh Ki Laaj Nibhana…
Maa Se Pyara To Koi Bol Ho Nahi Sakta,
Maa Ki Mamta Ka Koi Mol Ho Nahi Sakta,
Khud Nahi Khati Hai Bachcho Ko Khila Deti Hai,
Waqt Pe Thapkiya De De Sula Deti Hai,
Sach To Ye Hai K Wo Shhaqs Hai Sabse Gareeb,
Maa Ka Saaya Hota Nahi Jise Duniya Me Nasseeb,
Zakhm Jab Bacche Ko Lagta Hai To Maa Roti Hai,
Aisi Nisbat Kisi Aur Rishte Me Kahan Hoti Hai…
Most hardest, funniest, unforgetable moments in life
~In exam, when ur pen finishes, and still u want to write blunders
~wen ur task is almost finished on computer, n lite goes out
~In a long que, when ur turn comes, respondent says “Times over, sorry”
~Wen u wake up v.late and u have v.short time to go at school/office. N u just wear that shirt, pant n dress that is in washing machine
~Wen ur friend says b4 test, “yara mujhe kuch nai ata” n he got more marks than u
~Wen u have just few coins in ur pocket, and ur friend says, “kyun jigr! phir aj kia khila raha hai?”
~Wen ur friend says, b4 exam time, jigger ye chapter 1 ghantay se kyun parh raha hai, ye tu sir ne churwa dia tha…..
A Little Girl and Her Father were Crossing a Bridge.
The Father was Kind of Scared So He Asked His Little Daughter “Sweetheart, please Hold my Hand So that You Don’t Fall into the River.”
The Little Girl Said, “No, Dad. You Hold my Hand.”
“What’s the Difference? Asked the puzzled Father.
“There’s a Big Difference” replied the Little Girl.
“If i Hold Ur Hand and Something Happens to me, Chances r dat i may Let Ur Hand Go. But if U Hold my Hand, i Know For
Bazaron Ki Chahal Pahal Se Roshan Hai
In Aankhon Mein Mandir Jaisi Sham Kahan,
Main Usko Pahchan Nahi Paya Toh Kya
Yaad Use Bhi Aaya Mera Naam Kahan,
Din Bhar Suraj Kiska Pichha Karta Hai
Roj Pahadi Par Jati Hai Sham Kahan,
Logo Ko Suraj Ka Dhoka Hota Hai
Aansu Bankar Chamka Mera Naam Kahan,
Dalano Ki Dhoop Chhaton Ki Sham Kahan
Ghar Ke Bahar Ghar Jaisa Aaram Kahan…
Sirf Aankho Se Hi Duniya Nahin Dekhi Jaati,
Dil Ki Dhadkan Ko Bhi Aankh Bana Ke Dekho,
Pathron Mein Bhi Jubaa Hoti Hai Dil Hote Hain,
Apne Ghar Ke Dar O Deewar Saja Kar Dekho,
Faasla Najron Ka Dokha Bhi Ho Sakta Hai,
Chand Jab Chamke Jara Haath Badhakar Dekho,
Woh Sitara Hai Chamkane Do Yun Hi Raaton Mein,
Kya Jaruri Hai Use Jism Banakar Dekho…
Sahte Sahte Gham Se Yaari Hi Gayi,
Saari Duniya Hi Hamari Ho Gayi,
Jab Se Dil Toota Samajh Paaye Yahi,
Zindagi Ki Sah Sawari Ho Gayi,
Mithi Baaton Ke Jamane Lad Gaye,
Jubaane Saari Dudhari Ho Gayi,
Ein Bachpan Se Shuru Hokar Abhi Tak,
Har Fajihat Baari Baari Ho Gayi,
Duniyadari Bhanvar Kaisa Bhayanak,
Umar Bhar Ki Giraftari Ho Gayi…
Afsos Tumne Mujhko Acchhe Se Nahi Jana,
Barbad Mohabbat Ka Yeh Barbaad Jamana,
Upar Se Kon Padhta Andar Ki Ibadat Ko,
Honi Ko Yeh Likhavat Doshman Se Kya Padhana,
Kuchhh Samay Theek Na Tha Kuchh Log The Paraye,
Us Or Thi Nigahen Is Or Tha Nishana,
Kuchh Jakham Aur Hote Kuchh Dard Aur Hota,
Ujda Hi Raha Aata Dil Ka Garib Khana,
Auron Ki Aur Jaane Hum Apni Jaante Hain,
Ghayak Udas Yeh Dil Jal Marne Ko Parwana…
Biwi Nahin Saath Mein,
Toh Pardesh Kya Hoga,
Dil Nahin Saath Mein,
Toh Sandesh Kya Hoga,
Shadi Ka Maja Suhag Raat Mein,
Pyar Ka Maja Mulakat Mein,
Husn Ka Garm Bajar Ho Toh,
Baai Ka Maja Baarat Mein….
Na Jaane Kyun Aaj-Kal Wo Sharmati Nahi,
Palkein Jhukaake Apni, Muskurati Nahi,
Apne Gulaabi Labon Se Kuch Haseen Bol Ke,
Is Dil Ko Kyun Phir Se Dhadkati Nahi.
Na Jaane Kyun Aaj-Kal Wo Paas Aati Nahi,
Nazron Ke Ishaare Kuch Keh Jaati Nahi,
Sapne Satrangi Se Aankhon Mei Mujhe Dikhake,
Kyun Phir Se Meri Neendein Churati Nahi.
Na Jaane Kyun Aaj-Kal Wo Khaylon Mei Aati Nahi,
Seene Se Mujhe Lagake Koi Geet Sunati Nahi,
Lamhe Kuch Khoobsurat Se Mere Saath Bitaake,
Kyun Phir Se Mujhme Kho Jaati Nahi…
Tha Main Neend Mein Aur Mujhe Itna Sajaya Jaa Raha Tha,
Badhe Hi Pyaar Se Mujhe Nehlaya Jaa Raha Tha,
Najaane Tha Woh Kaunsa Ajeeb Khel Mere Ghar Mein,
Bachon Ki Tarha Mujhe Kandhe Pe Uthaya Jaa Raha Tha,
Tha Paas Mere Mera Har Apna Uss Waqt,
Phir Bhi Mai Har Kisi K Mooh Se Bulaya Jaa Raha Tha.
Jo Kabhi Dekhte Bhi Na The Mohabbat Ki Nigahon Se,
Un Ke Dil Se Bhi Pyaar Mujh Pe Lutaya Ja Raha Tha,
Maloom Nahi Hairaan Tha Har Koi Mujhe Sote Hue Dekh Kar,
Zor Zor Se Ro Kar Mujhe Hasaya Ja Raha Tha,
Kaanp Uthi Meri Rooh Mera Wo Makaan Dekh Kar,
Pata Chala Mujhe Dafnaya Ja Raha Tha,
Ro Pada Phir Mai Bhi Mera Wo Manzar Dekh Kar ,
Jahan Mujhe Hamesha Ke Liye Sulaya Jaa Raha Tha,
Tha Main Neend Mein Aur Mujhe Itna Sajaya Jaa Raha Tha,
Badhe Hi Pyaar Se Mujhe Nehlaya Jaa Raha Tha…
Badi Muskil Se Bana Hu,
Toot Jaane Ke Baad,
Main Aaj Bhi Ro Deta Hu,
Muskurane Ke Baad,
Tujh Se Mohabbat Thi,
Mujhe Beinteha Magar,
Aksar Yeh Ahsaas Huva,
Tere Jaane Ke Baad,
Ab Tak Doond Raha Hun Main,
Apne Andar Ke Us Sakhs Ko,
Jo Najar Se Kho Gaya,
Hai Najar Aane Ke Baad…