Tanhaiyan Khamoshiyan Gham Salonsal,
Ab Nahin Uthta Hai Koi Bhi Khyal,
Dard Ko Ab Kuchh Dusra Naam De Do,
Khatm Hi Hota Nahin Iska Kamal,
Haay Bachpan Ki Kahani Narm Najuk,
Laplapata Zindagi Ka Har Sawal,
Nahi Lajjat Ab Tumahare Khwab Mein Bhi,
Sikayat Kaisi Bhala Kaisa Malal,
Door Tak Hai Apni Masti Ka Surur,
Jankar Bhi Kya Karoge Mere Haal…
Ye Pyari Si Baate Teri,
Ye Pyari Si Aawaz Teri,
Ye Pyari Si Muskan Teri,
Mujhe Pagal He Bana Gayi,
Ye Pyara Sa Ehesas Tera,
Mujko Mujhi Se Chura Le Gaya,
Mera Dil, Churakar Le Jana Tera,
Isi Tarah Has-Has Kar Baate Krna Tera,
Chhoti Chhoti Bato Pe Pareshan Ho Jana Tera,
Or Mujhe Dekhte Hi Khushi Se Muskurana Tera,
Mujse Gale Milkar Mujme Hi Kho Jana Tera,
Meri God Me Sar Rakhkar So Jana Tera,
Pyar Or Dosti Ko Sath Me Tumne Bakhubi Se Nibhaya Hai,
Isi Dilkash Baato Se To Mujhe Pagal Tumne Banaya Hai…
Dekh Sunkar Asliyat Dil Fat Gaya,
Paake Uska Likha Khat Dil Phat Gaya,
Bhesh Sadu Ka Banakar Chal Diye,
Aisi Unki Mohabbat Dil Fat Gaya,
Ek Nanhi Jaan Aur Sitam Hazaron,
Karte Karte Ibadat Dil Phat Gaya,
Khun Ke Riste Bhi Bemani Huye Ab,
Samjhate Hi Yeh Sifat Dil Phat Gaya,
Adab Pahle Yahan Ki Pahchan Si Thi,
Beadab Ab Siyasat Dil Fat Gaya…
Apni Udas Dhoop Toh Ghar Ghar Chali Gayi
Yeh Roshni Toh Lakir Ke Bahar Chali Gayi,
Nila Safed Coat Jamee Par Bichha Diya
Fir Mujhko Aasman Par Lekar Chali Gayi,
Kab Taj Jhulsati Ret Par Chalti Tumhare Sath
Dariya Ki Mouj Dariya Ke Andar Chali Gayi,
Hum Log Unche Pul Ke Neeche Khade Rahe
Ulta The Balb Roshni Upar Chali Gayi,
Lahron Ne Gher Rakha Tha Sare Makan Ko
Machhli Kidhar Se Kamre Ke Andar Chali Gayi…
Pani Bars Raha Hai, Chidiya Naha Rahi Hai
Barish Ki Dopeher Voh Phir Yaad Aa Rahi Hai
Dekho To Zindagi Bhi Kaisa Fareb Karti Hai
Perchhayian Dikha Kar Jannat Hata Rahi Hai
Sadiyon Se Beh Rahi Hai Budhi Nahi Akeli
Tanhayion Ke Kisse Kisko Suna Rahi Hai
Rehta Hai Dil Me Koi Har Vaqat Saath Apne
Doori Usi Ki Dekho Tanha Rula Rahi Hai
Mitti Ke Gharondo Me Jazbaat Thar-Thraate
Is Door Ke Shehar Tak Awaz Aa Rahi Hai
Ye Zindagi Ke Mele Hardum Laka Karenge
Apno Ko Juda Karne Me Kaisi Khusi Isko
Dekho To, Vo Gaadi Le Usko Ja Rahi Hai
Soye Kahan The Aankho Ne Takiye Bhigoye The,
Hum Bhi Kabhi Kisi Ke Liye Khoob Roye The,
Aangan Mein Khade Huye Beri Ke Ped Se,
Woh Log Chalte Vakt Gale Milkar Roye The,
Us Haadse Se Mera Talluk Nahin Koi,
Mele Mein Ek Saath Kayi Bachhe Khoye The,
Aankho Ki Kastiyon Mein Safar Kar Rahe The Woh,
Jin Doston Ne Dil Ke Naav Doooboye The,
Kal Raat Main Tha Mere Ilava Koi Na Tha,
Saitan Mar Gaya Tha Fariste Bhi Soye The…
Bazaron Ki Chahal Pahal Se Roshan Hai
In Aankhon Mein Mandir Jaisi Sham Kahan,
Main Usko Pahchan Nahi Paya Toh Kya
Yaad Use Bhi Aaya Mera Naam Kahan,
Din Bhar Suraj Kiska Pichha Karta Hai
Roj Pahadi Par Jati Hai Sham Kahan,
Logo Ko Suraj Ka Dhoka Hota Hai
Aansu Bankar Chamka Mera Naam Kahan,
Dalano Ki Dhoop Chhaton Ki Sham Kahan
Ghar Ke Bahar Ghar Jaisa Aaram Kahan…
Aakhon Ka Kajal Sayahi Bana,
Dil Ka Bana Hai Kagaj,
Jo Juba Se Na Kaha,
Use Patr Mein Likha Samajhakar,
Khat Aaya Hai Unka,
Ji Chahta Hai Laga Lu Sine Se,
Dar Lagta Hai,
Kahin Bhig Na Jaaye Pasine Se,
Jab Tumhe Bhulna Chaahen,
Tera Khayal Aa Jata Hai,
Tera Patr Padhte Hi,
Hamein Tum Pe Payar Aa Jata Hai…
Dil Mein Ek Tasveer Chhupi Thi Aan Basi Hai Aankhon Mein,
Shayad Humne Aaj Gajal Jaisi Baat Likhi Hai Aankhon Mein,
Is Rumal Ko Kaam Mein Laao Apni Aankhe Saaf Karo,
Maila Maila Chand Nahin Hai Dhool Jami Hai Aankho Mein,
Padhta Ja Yeh Manjar Nama Jard Vishal Pahadon Ka,
Dhoop Khili Palkon Ke Upar Barf Jami Hai Aankhon Mein,
Maine Ek Naavil Likha Hai Aane Wali Subahke Naam,
Kitani Raaton Ka Jaga Hun Neend Bhari Hai Aankhon Mein…
It’s A Joke; As Long As You Laugh On It
It’s A Hope, As Long As You Count On It.
It’s Nothing But A Simple Illusion
As Long As You Do Not Step On It.
It Would Take Him A Moment
To Make You Believe The Lie- That He Loves You
But Believe Me, Your Entire Lifetime Will Be Less
To Live The Lie Through.
Cause, Whenever You Will See With Your Eyes
Your Eyes Will See What You Want
You Can Easily Leave Everything For Him, But Actually, He Can’t!
Woh Keh Ke Chal Diye Ki Itni Mulaqaat Bahut Hai,
Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bahut Hai,
Aansu Mere Tham Jayein To Phir Shoq Se Jana,
Aise Main Kaun Mujhe Sambhalega Barsaat Bahut Hai,
Wo Kehne Lage Jana Mera Bahut Zaroori Hai,
Nahi Chahta Dil Todun Tera Par Majboori Hai,
Gar Huyi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena,
Maine Kaha Ho Jao Chup Itni Kahi Baat Bahut Hai,
Samajh Gaya Hun Sab Aur Kuch Kehna Zaroori Nahi,
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jaun,
Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai,
Phir Kabhi Na Aaunga Tumhari Zindagi Mein,
Lout Ke,
Saari Zindagi Ki Tanhai Ke Liye, Aaj Ki Raat
Bahut Hai…
Main Unhe Kaise Yakin Dilaau,
Unse Main Kitna Pyar Karta Hu,
Agar Ji Nahin Sakta Saath Unke,
Aaj Akela Toh Mar Saktahu,
Waise Toh Har Insaan Ki Yahan Par,
Apni Hi Ek Alag Pahchan Hoti Hai,
Kisi Ki Duniya Paise Ki Khatir,
Kisi Ki Mohabbat Mein Tabah Hoti Hai…
Kabhi Mom Ban Ke Pighal Gaya,
Kabhi Girte Girte Sambhal Gaya,
Use Rokta Bhi To Kis Tarah, Ke Woh Shakhs Kitna Ajeeb Tha,
Kabhi Tadap Gaya Meri Aah Se,
Kabhi Aansu Se Bhi Na Pighal Saka,
Jo Mila Woh Kbhi Sar E Raah, Woh To Najar Chura Ke Gujar Gaya,
Woh Utar Gaya Meri Aankh Se,
Meri Rooh Se Kyu Na Utar Saka,
Woh Sambhal Gaya Mujhe Chodkar,
Main Bikhar Ke Phir Na Sambhal Saka,
Use Rokta Bhi Toh Kis Tarah Ke Woh Shaks Kitna Ajeeb Tha…
Barbaad Ho Gaye The Hum Duniya Ne Yun Humko Sataya Tha
Har Ek Mod Pe Hum Girte The Kisi Ne Bhi Na Humko Uthaya Tha
Tab Tune Hi Sanam Ek Umeed Ka Diya Jalaya Tha
Apne Har Ek Gam Ko Chupakar Mujhe Jeena Sikhaya Tha…
Main Kab Se Kitna Hu Tanha Mujhe Pata Bhi Nahi,
Tera Toh Koi Khuda Hai Mera Khuda Bhi Nahi,
Kabhi Yeh Lagta Hai Ab Khatm Ho Gaya Hai Sab Kuchh,
Kabhi Yeh Lagta Hai Ab Tak Toh Kuchh Hua Bhi Nahi,
Kabhi Toh Baat Ki Usne Kabhi Raha Khamosh,
Kabhi Toh Hanske Mila Aur Kabhi Mila Bhi Nahi,
Kabhi Jo Kadwi Baat Thi Woh Bhi Khatm Huyi,
Kabhi Gila Tha Hamein Unse Ab Gila Bhi Nahi,
Woh Cheekh Ubhri, Badi Der Gunji, Doob Gayi,
Har Ek Sunta Tha Lekin Koi Hila Bhi Nahi….
Shaam Hoti Hai Toh, Palkon Pe Sajaata Hai Mujhe,
Wo Chiragon Ki Tarah Roz, Jalaata Hai Mujhe,
Main Hoon Yeh Kam Toh Nahi Hai, Tere Hone Ki Daleel,
Mera Hona Tera Ehsaas Dilaata Hai Mujhe,
Ab Kisi Shakhs Mein, Sach Sunne Ki Himmat Hai Kahaan,
Mushkilon Se Hi Koi, Paas Bitthata Hai Mujhe,
Kaise Mehfooz Rakhun Khud Ko Ajaayab Ghar Main,
Jo Bhi Aata Hai Yahaa Haath Lagata Hai Mujhe,
Jaane Kya Ban Na Hai Tujhko, Meri Gili Mitti,
Kuzaagar Roz, Banata Hai, Mitaata Hai, Mujhe,
Aab O Daana Kisi Bigde Huve Bachche Ki Tarah,
Main Jahaan Shaakh Par Baitthun, Udaata Hai Mujhe
Dekhne Se Hi Aa Jata Hai Nasha,
Toh Pine Ki Kya Jarurat Hai,
Hoton Se Mat Laga Sanam,
Baasi Bhi Ho Sakti Hai Jhuti Bhi,
Nashe Se Bhari Botal,
Khud Nahin Naachati Sanam ,
Use Kamar Mein Haath Dalne,
Wale Ka Intezaar Jo Rahta Hai,
Sirf Chhuna Hai Agar Tujhko,
Toh Tasveer Se Chhu Lu,
Chhune Ke Baad Ki Tamannao Ka Kya Hoga,
Aapki Adalat Mein,
Meri Kitab Ki Pesi Hai,
Faisla Aap Ke Haath Mein Hai,
Meri Takdeer Kaisi Hai….
Once In A While
You Are In My Mind
I Think About The Days That We
Had
And I Dream That These Would All
Come Back To Me
If Only You Knew Every Moment In
Time
Nothing Goes On In My Heart
Just Like Your Memories
How I Want Here To Be With You
Once More
You Are Always Gonna Be The One
And You Should Know
How I Wish I Could Have Never Let
You Go
Come Into My Life Again
Oh, Don’t Say No
You Are Always Gonna Be The One
In My Life
So True, I Believe I Can Never Find
Somebody Like You
My First Love…
Khushiyon Se Naraz Hai Meri Zindagi
Pyar Ki Mohtaj Hai Meri Zindagi
Has Leta Hoon Logo Ko Dikhane Ke Liye
Varna Dard Ki Kitab Hai Meri Zindagi
Har Koi Kisi Ki Majboori Nahi Samajhta
Dil Se Dil Ki Doori Nahi Samajhta
Koi To Kisi Ke Bina Mar Mar Ke Jeeta Hai
Aur Koi Kisi Ko Yaad Karna Bhi Jaroori Nahi Samajhta
Na Jaane Kyon Abhi Ek Aansoo Aankh Se Chhalka
Dil Ko Shayad Uski Yaad Aayi
Chaahat Hai Itni Hume Us Se Milne Ki
Hanste Huye Bhi Aankhe Bhar Aayi
Vo Apne Ghar Chala Gaya Afsos Mat Karo
Itna Hi Uska Sath Tha Afsos Mat Karo
Insan Apne Aap Mein Mazboor Hai Bahut
Koi Nahi Hai Bewafa Afsos Mat Karo
Is Bar Tumko Aane Mein Kuch Der Ho Gayi
Thak Haar Ke Vo So Gaya Afsos Mat Karo
Duniya Mein Aur Chahne Wale Bhi Hain Bahut
Jo Hona Tha Vo Ho Gaya Afsos Mat Karo
Is Zindagi Ke Mujh Per Kai Karz Hain Magar
Main Jald Laut Aayunga Afsos Mat Karo
Ye Dekho Fir Se Aa Gai Phoolon Pe Titliyan
Ik Roz Voh Bhi Aayega Afsos Mat Karo
Vo Tumse Aaj Dur Hai Kal Paas Ayega
Fir Se Khuda Milayega Afsos Mat Karo
Bekar Ji Pe Bojh Liye Fir Rahe Ho Tum
Dil Hai Tumhara Phool Sa Afsos Mat Karo