Hume Tumse Pyar Kitna
Yeh Batayenge Kisi Roz
Simat Jaye Dooriyan Jo Hain
Humare Darmiyan
Phir Kamaal Ki Koi Gazal
Sunayenge Kisi Roz
Meri Itni Si Hasrat Hai
Ke Tum Aao Mere Kareeb
Phir Dastan-E-Dil Tumhein
Sunayenge Kisi Roz
Dooriyon Ko Kya Kahein
Dard Ko Batayein Kya
Dil Ki Thodi Si Khala
Sunayenge Kisi Roz
Hai Kuch Bhi Nahi Namumkin Yaara
Gar Tumne Hume Pukara
Jo Mar Bhi Gaye
To Laut Kar Ayenge Kisi Roz
Most hardest, funniest, unforgetable moments in life
~In exam, when ur pen finishes, and still u want to write blunders
~wen ur task is almost finished on computer, n lite goes out
~In a long que, when ur turn comes, respondent says “Times over, sorry”
~Wen u wake up v.late and u have v.short time to go at school/office. N u just wear that shirt, pant n dress that is in washing machine
~Wen ur friend says b4 test, “yara mujhe kuch nai ata” n he got more marks than u
~Wen u have just few coins in ur pocket, and ur friend says, “kyun jigr! phir aj kia khila raha hai?”
~Wen ur friend says, b4 exam time, jigger ye chapter 1 ghantay se kyun parh raha hai, ye tu sir ne churwa dia tha…..
Sayad Tab Ehsas Karogi
Mere Pyar Ki Chaanv Tale,
Jab Gujre Din Yaad Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Aaj Tumhare Man Mein Sansay
Beej Kisi Ne Bhar Dala Hai Ya Mere Hi Kuch Labjo Ne
Dil Ko Gayal Kar Dala Hai
Jis Din Tum Apna Samjhogi
Tab Milne Ki Chah Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Yun To Jeewan Ki Raaho Mein
Kitne Sathi Mile Bichude Hain
Aur Chahe Bhale Hi Kitne
Tere Mere Beech Khade Hain
Antarman Se Main Hu Tera
Ek Din Ye Aabhaas Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Man Ki Baat Nahi Samjhogi
Mrigtrasna Ban Kar Bhatkogi
Mai Baadal Bankar Barsunga
To Bhi Tum Pyasi Tadpogi
Mere Dil Mein Base Prem Ka Jis Din Vishwas Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Har Sada Paigam Deti Fir Rahi Dar Dar,
Chupiyon Se Bhi Bada Hai Chupiyon Ka Dar,
Roj Mosham Ki Sararat Jhelta Kab Tak,
Maine Khud Mein Rach Liye Kuchh Khusnuma Manjar,
Vakt Ne Mujhse Kaha Kuchh Chahiye Toh Kah,
Main Bola Sukriya Mujhko Maaf Kar,
Main Bhi Us Mushkil Se Gujra Hu Jo Tujh Par Hai,
Raah Nikalegi Koi Tu Samna Toh Kar…
A Little Girl and Her Father were Crossing a Bridge.
The Father was Kind of Scared So He Asked His Little Daughter “Sweetheart, please Hold my Hand So that You Don’t Fall into the River.”
The Little Girl Said, “No, Dad. You Hold my Hand.”
“What’s the Difference? Asked the puzzled Father.
“There’s a Big Difference” replied the Little Girl.
“If i Hold Ur Hand and Something Happens to me, Chances r dat i may Let Ur Hand Go. But if U Hold my Hand, i Know For
Mere Is Dil Ka Karar Wo The,
Meri Hasrat, Mohabbat Aur Pyar Wo The,
Hum Maut Pa Chuke Hain Is Pyaar Mein,
Par Na Galti Hamari Thi Na Gunehgar Wo The….
Friends Pls Tell Me Will I Got My Love Back?
Bazaron Ki Chahal Pahal Se Roshan Hai
In Aankhon Mein Mandir Jaisi Sham Kahan,
Main Usko Pahchan Nahi Paya Toh Kya
Yaad Use Bhi Aaya Mera Naam Kahan,
Din Bhar Suraj Kiska Pichha Karta Hai
Roj Pahadi Par Jati Hai Sham Kahan,
Logo Ko Suraj Ka Dhoka Hota Hai
Aansu Bankar Chamka Mera Naam Kahan,
Dalano Ki Dhoop Chhaton Ki Sham Kahan
Ghar Ke Bahar Ghar Jaisa Aaram Kahan…
Main Khud Bhi Kab Yeh Kahta Hu Ki Sabab Nahi,
Tu Sach Hai Mujhko Chhod Bhi De Toh Ajab Nahi,
Vapas Jo Chaho Jana Toh Ja Sakte Ho Magar,
Ab Itni Door Aa Gaye Hum Dekho Ab Nahi,
Dhan Ka Jaruraton Ka Jamane Ka Dosto,
Karte Toh Hum Bhi Hain Magar Itna Adab Nahi,
Mera Pyar Hai Toh Hamesha Ke Vaste,
Tera Karam Nahi Hai Ki Ab Hai Aur Ab Nahi,
Duniya Se Kya Shikayaten Logon Se Kya Gila,
Humko Hi Zindagi Se Nibhane Ka Dhang Nahi…
Chahe Jitne Sitsamgar Tum Sitam Kar Ke Dekh Lo,
Pyar Se Ek Baar Toh Mujhko Nazabhar Dekh Lo,
Raste Mein Isqbbazi Ke Gujar Kar Dekh Lo,
Anjaameulfat Ko Jammane Mein Najar Bhar Dekh Lo,
Paas Mein Aao Na Toh Bachkar Nikal Ke Dekh Lo,
Pyar Se Nafrat Hai Agar Mahaboob Jalkar Dekh Lo,
Jo Hasan Hota Hai Jamaane Mein Aasik Ka,
Aur Ko Samjha Rahe Kya Khud Samajh Kar Dekh Lo…
Jite Jite Bhar Gaya Dil Koi Kis Liye Jiye,
Wohi Dil Ki Tang Galiyan Aur Wahi Bahrupiye,
Sisila Yeh Andhero Ka Purana Hai Aur Ghana Bhi,
Jalenge Kab Tak Tumhare Yeh Timtimate Diye,
Jimke Kadmon Pe Jamana Jinke Hathon Faisale,
Unki Khatir Mohabbat Ke Khat Girate Dakiye,
Udasi Ka Ek Aur Mousam Gujra Is Gali,
Kaid Hokar Andheron Mein Honth Hamne See Liye,
Garibi Ki Fati Chadar Aur Chapal Ghis Chuki,
Fati Sa Naseeb Uski Khuda Kab Tak Siye…
Apni Yaadon Ki Talash Mein Bechara Saheed Ho Gaya,
Darasal Woh Sirfira Yun Baba Farid Ho Gaya,
Tarakki Ki Roshni Mein Dam Ghuta Kuchh Is Tarah,
Ki Cham Chamati Mout Ka Woh Chasmdeed Ho Gaya,
Rotiyon Ki Jang Mein Jo Jujhte Hain Raat Din,
Uninde Majlumon Ki Woh Mithi Si Neend So Gaya,
Saath Waalon Ke Liye Kaisa Bhi Ho Uska Chalan,
Is Jamane Ka Chalan Toh Uska Murid Ho Gaya..
Na Jaane Kyun Aaj-Kal Wo Sharmati Nahi,
Palkein Jhukaake Apni, Muskurati Nahi,
Apne Gulaabi Labon Se Kuch Haseen Bol Ke,
Is Dil Ko Kyun Phir Se Dhadkati Nahi.
Na Jaane Kyun Aaj-Kal Wo Paas Aati Nahi,
Nazron Ke Ishaare Kuch Keh Jaati Nahi,
Sapne Satrangi Se Aankhon Mei Mujhe Dikhake,
Kyun Phir Se Meri Neendein Churati Nahi.
Na Jaane Kyun Aaj-Kal Wo Khaylon Mei Aati Nahi,
Seene Se Mujhe Lagake Koi Geet Sunati Nahi,
Lamhe Kuch Khoobsurat Se Mere Saath Bitaake,
Kyun Phir Se Mujhme Kho Jaati Nahi…
Duniya Daari Ke Khatanak Makadjaale Hain,
Zindagi Haadson Halato Ke Hawale Hai,
Sabhi Saharon Ki Ek Jaisi Hai Karastani,
Safedposh Hain Din Mein Raat Mein Kaale Hain,
Padhe Likhe Ameer Logo Ke Kaanuno Par,
Garib Bastiyon Ne Apne Bachhe Pale Hain,
Neknaami Ke Liye Kya Nahin Kiya Karte,
Rotiyan Bantati Apni Khabar Uchhale Hain…
Chodhavi Raat Hai Toh Khidki Ke Gira Do Parde,
Koun Jane Ki Woh Naraj Hi Raat Se Ho Jaaye,
Ek Khusboo Ki Tarah Fialate Hain Mahfil Mein,
Aise Alfaj Ada Jo Tere Lab Se Ho Jaayein,
Na Koi Ishq Hai Baaki Na Koi Parcham Hai,
Log Deewane Bhala Kis Ke Sabab Se Ho Jaayen,
Baat Toh Chhed Mere Dil Koi Kissa Toh Suna,
Kya Ajab Unke Bhi Jajbat Ajab Se Ho Jaayen…
Barison Ka Intezaar Tha Dil Milne Ko Bekrar Tha,
Ek Taraf Judai Ek Taraf Unka Pyar Tha,
Kuchh Ankahi Ansuni Baatein Thi Zuban Par,
Dil Mein Kuchh Sarart Bhara Khumar Tha,
Sochha Tha Jab Milenge Khub Saari Baatein Hongi,
Par Baton Ka Kya Dil Toh Pyar Ka Beemar Tha,
Woh Pyar Deta To Shayad Gham Door Ho Jaate,
Dil Chah Kar Bhi Naa Mil Paaya Unse,
Darta Tha Fir Judaa Ho Jayega,
Pal Bhar Ka Jo Deedar Tha…
Akela Betha Soch Rha Hu Main,
Dil Ke Armaan Tatol Rha Hu Main,
Jo Fariyaad Ki Thi Rab Se Maine
Us Fariyaad Ke Panne Chhod Rha Hu Main,
Vo Dard Mila Hai, Tha Jo Na Mera Kabhi,
Us Dard Ki Davai Khoj Rha Hu Main,
Akela Betha Soch Rha Hu Main,
Dil Ke Armaan Tatol Rha Hu Main,
Ye Faili Tanhai, Jo Khane Ko Aaye,
Koi Halki C Aahat Bhi Dil Ko Chu Jaye,
Kamre Me Betha Khud Ko Tassli De Rha Hu Main,
Akela Betha Soch Rha Hu Main,
Dil Ke Armaan Tatol Rha Hu Main,
Ab Bethe Bethe Khyal Uska Aana,
Un Khyalo Ke Bajaar Mein Uska Chehra Kho Jana,
Kuch Pal Bad Usko Pa Lena,
Per Tanhai Mein Ye Bhi Bhul Rha Hu Main,
Akela Betha Soch Rha Hu Main,
Dil Ke Armaan Tatol Rha Hu Main,
Kuch Bayan Karu Ya Na Karu,
Akhir Dil To Akela Hai Or Tanhai Ka Savera Hai,
Tabhi To Sham Ko Gopal Ke Paas Dil Ke Raj Khol Rha Hu Mein,
Akela Betha Soch Rha Hu Main,
Dil Ke Armaan Tatol Rha Hu Main…
Badi Muskil Se Bana Hu,
Toot Jaane Ke Baad,
Main Aaj Bhi Ro Deta Hu,
Muskurane Ke Baad,
Tujh Se Mohabbat Thi,
Mujhe Beinteha Magar,
Aksar Yeh Ahsaas Huva,
Tere Jaane Ke Baad,
Ab Tak Doond Raha Hun Main,
Apne Andar Ke Us Sakhs Ko,
Jo Najar Se Kho Gaya,
Hai Najar Aane Ke Baad…
Ek Khamosh Halchal Bani Zindagi,
Gahra Thahra Hua Jal Bani Zindagi,
Tum Bina Jaise Mahlon Mein Beeta Hua,
Urmila Ka Koi Pal Bani Zindagi,
Najar Aakash Mein Aas Ka Ek Diya,
Tum Bujhati Rahi Main Jalata Raha,
Tum Gajal Ban Gayi, Geet Mein Dhal Gayi,
Manch Se Main Tumhe Gungunata Raha….
Tum Chali Toh Gayi Man Akela Hua
Saari Yadon Ka Purjor Mela Hua
Jab Bhi Loti Nayi Khusbuon Mein Saji
Man Bhi Bela Hua Tan Mhi Bela Hua
Khud Ke Aaghat Par Vayarth Ki Baat Par
Ruthati Tum Rahi Main Manata Raha
Tum Gajal Ban Gayi Geet Mein Dhal Gayi,
Manch Se Main Tumhe Gungunata Raha…..
Main Tumhe Dhundhne Savarg Ke Dawar Tak,
Roj Jata Raha Roj Aata Raha….
Afsos Tumne Mujhko Acchhe Se Nahi Jana,
Barbad Mohabbat Ka Yeh Barbaad Jamana,
Upar Se Kon Padhta Andar Ki Ibadat Ko,
Honi Ko Yeh Likhavat Doshman Se Kya Padhana,
Kuchhh Samay Theek Na Tha Kuchh Log The Paraye,
Us Or Thi Nigahen Is Or Tha Nishana,
Kuchh Jakham Aur Hote Kuchh Dard Aur Hota,
Ujda Hi Raha Aata Dil Ka Garib Khana,
Auron Ki Aur Jaane Hum Apni Jaante Hain,
Ghayak Udas Yeh Dil Jal Marne Ko Parwana…