Barish Ka Ye Mousam Koch Yaad Dilata Hai.
Kisi Kay Saath Honay Ka Ehsaas Dilata Hai.
Fiza Bhi Sard Hai Yaadain Bhi Taaza Hai.
Ye Mousam Kisi Ka Pyaar Dil May Jagata Hai.
Kal Halki Halki Barish Thi
Kal Sard Hawa Ka Raqs Bhi Tha
Kal Phool Bhi Nikhray Nikhray Thay
Kal Un Pe Aap Ka Aks Bhi Tha
Kal Badal Kalay Gehray Thay
Kal Chand Pay Lakhon Pahray Thay
Kuch Tukray Aap Ki Yaad Kay
Bari Dair Say Dil Main Thehray Thay
Kal Yaadain Uljhi Uljhi Thin
Aur Kal Tak Yeh Na Suljhi Thin
Kal Yaad Bohut Tum Aye Thay
KAL YAAD BOHUT TUM AYE THAY
barsat mein ham pani ban k baras jainge..
.
patjhar mein ham phol ban k jhar jainge..
.
kia hua jo aaj aap ko tang karte hain..
.
ek din aap ko bin bataye hi chalay jainge.
Yun To Kai Baar Bhigoya Sawan Ne,
Magar Khayalo Ka Aangan Suukha Hi Raha,
Jab Zehan Ki Deewarein Geeli Huyi Us k Tasawwur Se,
Tab Hii Jana Hum Ne Baarish Kya Hoti Hai.
Aaj subah bhagwan ne
‘Dabang’ dekhi aur mood me aa ke kaha
.
.
.
.
Aaj aisa Mousam Banayenge ki confuse ho jaoge ki sweater pehne ya raincoat…!!
Hud hud dabang dabang dabang..
ik raat hoi barsaat bohat
main royaa saari raat bohat
har ghum tha zamaanay ka lekin
main tanha tha us raat bohat
phiraankh say ik saawan barsa
jab seher hoi to khayaal aaya
woh baadal kitna tanha tha
jo barsa saari raat bohat