Tu Hi Dil Hai Aur Tu Hi Jaan Hai Meri,
Tujhse Hi Jahaan Me Pehchan Hai Meri,
Tujhe Apna Banalu Tujhe Tujhse Churalu,
Bas Jiyun Sang Tere Tammana Hai Meri,
Tere Liye Tode Maine Sare Rishte,
Gham Bhi Hai Jhela Maine Haste Haste,
Duniya Bhulayi Maine Tere Waaste,
Sang Tu Chale Jo Bhi Ho Raaste,
Tere Bina Duniya Viraan Hai Meri…
Meri chaahatein tumse alag kab hain,
Dil ki baatein tum se chhupi kab hain,
Tum saath raho dil me dhadkan ki jagah,
Phir zindagi ko saanso ki zarurat kab hai.
hichkiyan dilakar uljhan badha rahe ho-
aankhein band hai phir bhi nazar aa rahe ho-
itna bata do hamein yaad kar rahe ho-
ya srif apni yaad dila rahe ho
Yaad aaye toh aankhe bandh na karna,
Hum chale bhi jaye toh ghum na karna,
Zaruri toh nai har rishte ka koi naam ho,
Par dosti ka ehsaas dil se kabhi kam na karna.
Aapke Aane Se Zindagi Kitni Khubsoorat Hai,
Dil Me Basayi Hai Jo Woh Aapki Hi Surat Hai,
Dur Jaana Nahi Humse Kabhi Bhulkar Bhi,
Hume Har Kadam Par Sirf Aapki Hi Zarurat Hai.
Hum To Behaak Jaate Hain Unki Ek Nazar Se..
Aye Khuda Mai Hosh Me Aana Kaise Seekhu..
Lafz Tumne Diye Hain Firbi Diye Hain Kam..
Mai Uski Madhosh Ankho Ko Lafzo Me Kaise Likhu..!
Apni Zindagi Ki Har Sham Tere
Naam Kar Du, Apni Ankho Ka
Jaam Tere Naam Kar Du, Ho
Jiska Zikar Mohabbat Ki Har
Kahaani Me, Ek Aisa Pyar
Ka Paigaam Tere Naam Kardu!
DiL Ki Chokhat Pe Ek Deep Jala Rakha Hai,
Tere Aane Ka Spna Saja Rakha Hai,
Jane Wale Ne Kaha Tha Ke Laut Aaunga,
Ek Esi Aash Pe Darwaza Khula Rakha Hai.