Hasrat hain sirf tumhe paane ki,
Aur koi khawahish nahi is deewane ki,
Shikwa mujhe tumse nahi khuda se hai,
Kya zarurat thi tumhe itna khubsurat banaane ki.
Tadpe To Bahot Par Woh Maan Nhi Paye
Ise Dil Ki Mahobbat Woh Jaan Nhi Paye
Ek Din Chale Jayenge Ise Duniya Se
Tab Woh Kahenge
Laut Aao Hum Tumhe Pehchan Na Paye.......
तुम्हारे साथ जो गुजरे वो लम्हे हम नहीं भूले,
मिलन की वो ख़ुशी और फिर विरह के गम नहीं भूले,
ये बरसों बाद जाना है मोहब्बत का सबब मैंने,
हमें भी तुम नहीं भूले, तुम्हें भी हम नहीं भूले.
Talash Uski Karo Jo Kisi Ke Paas Na
Ho, Bhula Do Use Jis Par Bharosa
Na Ho, Hum To Apne Gamo
Par Bhi Hass Padte Hain, Wo
Isliye Ki Samne Waala Udaas Na Ho ..
Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata,
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata,
Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rahti Hai Nigahe,
Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata,
Woh Ek Hi Chahera To, Nahi Sare Jahan Mein,
Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata,
Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha,
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata,
Woh Naam Jo Barso Se, Na Chehra Na Badan Hai,
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata
Apne Karam Se Wo Mera Mukaddar Bana
Gya, Ek Katre Ko Pal Bhar Me
Samundar Bana Gya, Phulo Se B Jyada
Naram Tha Kabi Dil Ye Mera, Jise Itna
Tadpaya Ke Ab Patthar Dil Bana Gaya.
*__Ab apke Liye Ajnabi Hum Ho Gye Hen__*
*__Baton K Silsile B Kam Ho Gye Hen__*
*__Khushiyo Se Zyada Gham Ho Gye He__*
*__Kya Pta Ye WAQT Bura Hai Ya Bure Hum Ho Gye Hen
Tumse kitni mohabbat hai ye main bata nahi sakti,
Apni zindagi mein tumhari ehmiyat jata nahi sakti ..!
Meri zindagi ka har lamha tumhi se shuru hota hai,
Tumse door reh ke ek pal bhi akele bita nahi sakti …!
Mumkin hai main khud ko bhool jaaun,
Par tumhe bhoolne ki khata main kar nahi sakti ..!
Tum mere dil me hi nahi mere rom-rom me base ho,
Tumse bichhad ke main ye zindagi jee nahi sakti ……!