Chupke Se Chand Ki Roshni Aap Ki Ho Jaye,
Dheere Se Hawa Aap Ko Kuch Kahe Jaye,
Dil Me Jo Hai Use Mang Lo Rab Se,
Hum Dua Karenge Ki Aap Ki Her Chahat Puri Ho Jaye.
Rishte pe naaz karo,
kal jitna Bharosa tha utna Aaj karo.
Rishta wo nahi jo sirf Gum or Khushi m sath de.
Rishta to wo h jo Harpal Apnepan ka Ehsas de...
#love
Shayad Main Ab Mohabbat Na Kar
Paunga, Chaahu Bhi Toh Kisi Or Ka
Na Ho Paunga, Malum Na Tha Ki Ye
Dillagi Dil Ko Yu Le Jayegi, Ki Jinda
Ho Kar Bhi Main Saans Na Le Pauga!
Wo koi aur na tha chand khushk patte the
shajar se toot ke jo fasl-e-gul pe roye the
abhi abhi tumhen socha to kuch na yaad aaya
abhi abhi to hum ek-dusare se bichde the
tumhare bad chaman par jab ik nazar dali
kali kali mein khizan ke chirag jalate the
tamam umr wafa ke gunahgar rahe
ye aur baat ki hum aadmi to ache the
shab-e-khamosh ko tanhai ne zaban de di
pahad gunjate the dasht sansanate the
Ro Chuka Hu Me Itna Mujhe Kya Rulaega Koi,
Sun Chuka Hu Me Sab Kuch Mujhe Kya Bataega Koi,
Azmana Chahte Ho To Azmake Dekh Lo Mujhe,
Main Ek Bujhi Hui Shama Hu Mujhe Kya Bujhaega Koi.
ऑटो ड्रायवर की सीट के पीछे
बहुत ही मस्त लाइन लिखी थी|
कपल्स के लिए –
.
.
भारत की संस्कृति में सब कुछ बिकता है,
इज्जत से बैठिए आईने में सब कुछ दिखता है|
Vo Chandni Ka Badan, Khushbuon Ka Saya Hai
Bahut Azeez Hume Hain, Magar Praya Hai
Utar Aao Kabhi Aasman Ke Zeeno Se
Tumhe Khuda Ne Humare Liye Banaya Hai
Use Kisi Ki Mohabbat Ka Aitbar Nahi
Use Zamane Ne Shayad Bahut Staya Hai
Mehak Rahi Hai Zameen Chandni Ke Phoolon Se
Khuda Kisi Ki Mohabbat Pe Muskuraya Hai
Kahan Se Aayi Ye Khushboo, Ye Ghar Ki Khushboo
Hai
Is Ajnabi Ke Andhere Mein Kaun Aaya Hai
us jaisa moti poore samundar main nahi hai
wo cheez mang raha hon jo muqaddar main nahi hai
kismat ka likha to mil jaye ga mere khuda
wo cheez ata kar jo muqaddar main nahi hai
Tum Chupa Naa Sakogi Main Woh
Raaz Hun, Tum Bhula Naa Sakogi
Main Woh Andaaz Hun Gunjta Hun
Jo Dil Main Main Wohi Saaz Hun
Jo Tumari Dhadkano Se Nikalti
Hai Wohi Tumare Dil Ki Awaaz Hun.
Shaam suraj ko dhalna sikhaati hai.
Shama parwaane ko jalna sikhaati hai.
Girne waale ko takleef to hoti hai magar.
Thokar hi insaan ko chalna sikhaati hai.
Ghazal Lovers K Liye ♡
Jalte honton pe tabassum jo
machalta hai kabhi,
Zakhm dhul jaate hain sawan jo
barasta hai kabhi, ♡
Main ne sochon mein taraashe
hain khad-o-khaal tere,
Mere baare mein bata tu ne bhi
socha hai kabhi..?? ♡
Chardte suraj se kabhi tu ne
milayi hai nazar,
Tu ne kirno ki taraf gaur se
dekha hai kabhi..?? ♡
Log kahte hain ke patthar mein
khilte hain ummidon ke Gulab,
Yun bhi mumkin hai bata aisa bhi
hota hai kabhi..?? ♡
Tu ne samjha tha ke wo laut ke
ajaaye ga
Aankh se bichrda hua ashk bhi lauta
hai kabhi...?? ♡
na jeene ki khushi na marne ka gam,
Gam hai to unse na milne ka gam,
Jeete hai is aas par kabhi wo humare ho jyenge,
Marte nahi isliye ki wo akele reh jayenge.