Un Lamho Me Basti Hai Zindgi Meri,
Jin Lamho Me Tum Saath Mere Hoti Ho.
Hasrate Java Hoti Hai Gulshan Me Mere,
Jin Lamho Me Tum Saath Mere Hoti Ho.
Khushbue Bhar Si Jati Hai Fiza Me,
Aur Rang Bhar Jate Hai Gulistaa Me.
Khushiya Bhar Jati Damaan Me Mere,
Jin Lamho Me Tum Saath Mere Hoti Ho.
Kabhi Sochta Hu Ye Waqt Yu Hi Tham Jaye,
Pyar Ki Fuhaar Me Hum Dono Bheeg Jaye.
Zindgi Esi Hi Khoobsoorat Ho Jati Meri,
Jin Lamho Me Tum Saath Mere Hoti Ho…
Faasle milta kar aapas mei pyar rakhna,
Dosti ka rishta yun hi barkar rakhna,
Malum hai dost bahut hai aapke,
Par unke beech apni iss parchayee ka khayal rakhna…
खुदा की रहमत में अर्जियाँ नहीं चलतीं
दिलों के खेल में खुदगर्जियाँ नहीं चलतीं
चल ही पड़े हैं तो ये जान लीजिए हुजुर,
इश्क़ की राह में मनमर्जियाँ नहीं चलतीं !
Teri Chahat Tere Sapno Ki Hifazat Ki Hai,
Tere Hi Waste Apno Se Bagawat Ki Hai,
Tere Masoom Nigaho Ki Kasam,
Dil To Dil Meri Ruh Ne Bhi Tumse Mohbbat Ki Hai.
Bhul se kabhi hame bhi yaad kiya karo,
Pyar nahi to Shikayat hi kiya karo,
Itna bhi gair na samjho ki baat hi na kiya karo,
Phone nahi to SMS hi kiya karo.
Missing You!!!!!!
Mom ki tarah pighalti ja rahi h zindagi,
Kyu es tarah hath se fisal rahi h zindagi
Hum tumhe pana chahte hain
Apne dil mein chupana chahte hain,
Per kyu unchahe sadmo se gujar rahi h zindagi,
Har pal dekhna chahti hai ye nigahe tumhe,
Taras rahi h ujalo me machalne ko zindagi,
Na jane kyu beet rahi h andhero me ye zindagi
Bina Bataye Usne Na Jane Kyu Ye Duri Kardi,
Bhichhad Ke Usne Mohabbat Hi Adhuri Kardi,
Mere Mukaddar Me Gham Aye To Kya Hua,
Khuda Ne Uski Khwaish To Puri Kardi..
Tum ne dil ke baat kah di aj ye acha hua
hum tumhen apna samajhate the bada dhokha hua
jab bhi hum ne kuch kaha us ka asar ulata hua
aap shayad bhulate hain barha aisa hua
aap ke aankhon mein ye aansu kahan se aa gaye
hum to divane hain lekin aap ko ye kya hua
ab kisi se kya kahen ‘iqbal’ apni dastan
bas khuda ka shukr hai jo bhi hua acha hua
Kya maangu khuda se tumhe paane ke baad,
Kiska karu intzaar tere aane ke baad,
kyo kisi ke liye jaan luta dete hai log,
Mujhe maloom hua tumhe paane ke baad…
कौन कहता है हम उसके बिना मर जायेंगे
हम तो दरिया है समंदर में उतर जायेंगे
वो तरस जायेंगे प्यार की एक बून्द के लिए
हम तो बादल है प्यार के किसी और पर बरस जायेंगे
Nateeja phir wohi hoga suna hai chaal badle ga,
Parinde bhi wohi hon ge, shikari jaal badle ga,
Badalne hain to dil badlo badalte ho to hindsey* hi,
Mahiney phir wohi hon ge bechaara saal badle ga,
Agar hum maan lein Aabi mahina saath* salon ka,
Batao kitne saalon mein hamara haal badle ga..