Saath chalne main jo maza hota
Woh humain bhi kabhi mila hota
Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
Saath apne koi chala hota
Hum bhatakte rahe the raahon mein
Koi rasta pata chala hota
Thaam leta humain bhi barh ke koi
Haath hum ko koi mila hota
Hum ulajhte nahi zamane se
Ek jo Humsafar mera hota
Hum na thakte safar mein gar
Saath apne koi chala hota
Wo Muhabbat Say Khafa Hai Mujhey Maloom Na Tha
Ishq Us Say Na-Rawa Hai Mujhey Maloom Na Tha
Wo Bicharne Laga Mujh Say Tou Anaa Toot Gai
Rooth Jana Hi Adaa Hay Mujhey Maloom Na Tha
Subha Honey Pe Bhi Aankhon Say Andhera Na Gaya
Raat Sooraj Say Khafa Hay Mujhey Maloom Na Tha
Rooth Janey Pe Manana Usay Aata Hi Nahi
Ye Bhi Meri Hi Khata Hay Mujhey Maloom Na Tha
Zindagi Jurm-e-Anasar Hai Zamanay Mein
Saans Lena Bhi Saza Hay Mujhey Maloom Na Tha
"SOCH LENA" Soch samajh lena qadam uthanay se pehle
Kahin gir na jao manzil aanay se pehle
Ye aandhian bari berehm huwa karti hain
Ye soch lena koi diya jalanay se pehle
Apne aangan ko pholoon se sajaye rakhna
Phool sarey chun lena khizan aanay se pehle
Tumhare seeny mein bhi ik dil dharakta hai
Ye soch lena kisi ka dil dukhanay se pehle
Umar bhar kon kisi k liye rota hai Saqi
Log aansou bahatay hain dafnanay se pehle
Ek shakhs jo bana meri zindagi ka sawal tha
Main kis se poochta her shakhs us k husn mein nidhaal tha
Main kis ko sunata uski bewafai k qissay
Her kisi par usne painkha jo muhbbat ka jhaal tha
Main kis k darwaze pe deta dastak
Her shakhs hi ghar se farar-e-haal tha
Main bhi shaamil tha aawargi mein sub k saath
Shayad wo saal awargi ka saal tha
Main wohi hon jisay tum dost kaha karte thay
Din mein so baar mera naam liya karte thay
Aaj kiya baat hay kyun mujh se khafa bethay ho?
Kiya kisi aur ko tum dost bana bethay ho?
Faaslay itne to pehle na huwa karte thay
Main wohi jisay tum dost kaha karte thay
Tum agar bhool gaye ho to koi baat nahi
Zakham to pehle bhi is dil pe laga karte thay
Main wohi hon jisay tum D-O-S-T kaha karte thay.
Gham-e-jana gham-e-doran say juda rakhtay thay
Hum mohabbat k fasano pay hansa kartay thay
Khudsari itni k khud ko hi samajhtay thay sab kuch
Bay-hissi aisi k dil torr diya kartay thay
Hum jo ruktay thay tu ruk jatay thay manzar saray
Hum jo chaltay thay tu mausam bhi chala kartay thay
Jab say dekha hai tujhay thaam k dil baithay hein
Ban gaye mom kabhi shola huwa kartay thay
Pathar bana diya mujhe rone nahi diya
Daman bhi gham ne tere bhigone nahi diya
Tanhaiyaan tumhara pata poochti hein
Shab bhar teri yaad ne soney nahi diya
Aankhon mein aa k baith gai ashkon ki lehar
Palkon pe koi khuwaab parone nahi diya
Dil ko tumhare naam k aansu aziz thay
Dunya ko koi dard samone nahi diya
Youn us ki yaad chali haath thaam k
Mele mein is jahan ke khone nahi diya
Kuch is tarha se main apni zindagi tamam kardon,
Waqt-e-sehar tum ko dikhaon aur shaam kardon
Khuwab mein bhi koi tere siwa dikhai na de,
Umer bhar k liye aankhon ko tera ghulam kardon
Tere pyaar ki khushbu se mehken meri saasen,
Aur jitni hein meri saansen sub tere naam kardon
Main ajeeb zmane ki wafa dekhta raha
Umar bhar apna ghar tanha dekhta raha
Kahin na kahin to badal hi jate hain silsile
Magar main jahan gaya sehra dekhta raha
Jane q katrate hain log mujhe milne se
Kal shab dair talak aainna dekhta raha
Pani mangte mangte mere hont pathar ho gay
Wo shakhs mashkiza liye khara dekhta raha
Be-gunah tha phir b sar jhukay hue
Sitamgar k sitam ki inteha dekhta raha
Umar bhar mohabbat ka kuch yun silsila raha
Main use or wo duniya dekhta raha
Kahun ga khuda se yom-hisaab ko MoHsiN
K zamana meri barbadi ka tmasha dekhta raha
Zakham muskurate hain ab bhi teri ahatt par
Dard bhool jate hain ab bhi teri ahatt par
Shabnami sitaron par phool khilne lagte hain
Chaand musturate hain ab bhi teri ahatt par
Umar kaat di lekin bachpana nahi jata
Hum diya jalate hain ab bhi teri ahatt par
Teri yaad aye tou neend jati rehti hai
Hum khushi manate hain ab bhi teri ahatt par
Ab bhi teri ahatt par chaand muskurata hai
Khuwaab khushi manate hain ab bhi teri ahatt par
Teri hijr mein hum par ek azab tari hai
Chonk chonk jate hain ab bhi teri ahatt par
Ab bhi teri ahatt par laut ati hai
Ashq hum bhaate hain ab bhi teri ahatt par
Reza kanch ki surat mein bikhar jata hun
Main teri yaad mein jab had sy guzar jata hun
Ab gurezan hai wo milnay se jo kehta tha kabhi
Tum se miltay hi main kuch or nikhar jata hun
Roz khata hun tujay yaad na karnay ki qasam
Roz wadon sy main apnay hi mukar jata hun
Muh ko tamasha bana dia hai mohabbat ne teri
Log kastay hain awazien main jidhar jata hun
Har gham pe khaya hai mohabbat ka dhoka
Ab koi pyar se bulata hai to dar jata hun