Yaadein hain kuch aisi us k naam se wabasta,
Har subha hai jese har shaam se wabasta
Bas us k tasawur se fursat hi nahi milti
Rehti hain us ki yaadein har saans se wabasta
Laakhon hain tamanain par ye dua hai
Bas naam rahe mera us k naam se wabasta
Juda hone ka andesha, Juda hone se pehle tha
Wo mujh intehai khush, Khafa hone se pehle tha
Junoon ka daur guzra tou, Mujhe bhi bhool betha wo
Namaz-e-ishq tha lekin, Qaza hone se pehle tha
Main kese soch sakta tha, Mujhe wo chorr jaye ga
Bohut hi ba-wafa wo, Be-wafa hone se pehle tha
Har kisi ko dunia mein shohratein nahi milti
Zindagi k lamhon ki qeematein nahi milti
Fatah ki khuwahish mein aamal bhi tou lazim hay
Sirf kuch iradon se qismatein nahi milti
Faislay ye chahat k aasmano pe hote hain
Do dilo k milne se qismatein nahi milti
Deen or dunia ko saath rakhna parhta hay
Masjidon mein rehne se jannatein nahi milti
Mana k is zamanay mein or bhi hein hum jesy
Magar har kisi se hum jesi chahatein nahi milti
Zakhm-e-tanhai me khushbo-e-hina kis ki thi
Sayaa devaar permera tha, sada kis ki thi
Uski raftar se lipti raheen ankhen meri
Usne murr kar bhi na dekha k wafa kis ki thi
Ansuon se hi bhar gaya daman mera
Haath tu main ne uthaye thy dua kis ki thi
Meri Aahoun ki zuban koisamajhta keise
Zindagi itni dukhi mere sivaa kis ki thi
Aag se dosti uski thi, jala ghar mera
Di gai kis ko saza aur khata kis ki thi
Sardiyon ki shaamein bhi kiya ajab shaamein hein
Log yaad atay hain
Aag si lagatay hain
Dil k har ik konay mein
Zindagi k manzer mein
Doob k ubhertay hain
Ik daga jo bichary thay
Roz roz miltay hain
Aur meri aankhon ko
De k kuch naye moti
Phir se laut jate hain
Phir hum akailay mein
Aansoun k railay mein
Sardiyon ki thandak mein
Tanha apne shanay py
Apni shaal sambhalay
Ghar ko laut atay hain
Sardiyon ki shaamein bhi kiya ajab shaamein hain
Apny dil ki halat wo kisi ko dikhata na tha
Usey kya ghum tha wo kisi ko batata na tha
Khizan ka mousam jab se uska naseeb hy thehra
Usey jab se koi aur mousam bhata na tha
Logon ko hansanay k wastay zindagi bita di us ne
Kitna ajeeb tha wo shakhs khud muskurata na tha
Jany kis k intizaar mein betha raha subh-o-sham
Misl-e-morat bana wo palk bhi jhapkata na tha
Aaj reh reh kar yaad aya wo
Jo dua de kar bhi dua batata na tha
Adhori si hay zindagi adhoray hain hum
Bujh rahi hein saansen jal rahay hum
Badaltay mousamon nay sikhaya hay bohut kuch lekin
Panay ki hasrat mein sab kuch khoo rahay hain hum
Na maloom manzilon par qadam ruk say gaye hein
Bheer mein raaston ki taraf barh rahay hain hum
Toot kar bikhray hein khuwaab kuch is tarha
K ik arsa hua hay un ko chun rahay hain hum
Wafa hum nay ki un say ya ki bewafai
Bas us ki saza bhugat rahay hain hum
Bikharti rait per kis naqsh ko aabad rakhey gi,
Wo mujhko yaad rakhey bhi to kitna yaad rakhey gi
Usay buniyad rakhni hay abhi dil mein mohabbat ki,
Magar ye sang seenay per wo meray baad rakhey gi
Palat ker bhi nahi dekhi uski ye be-rukhi hum ne,
Bhula den gey usay aisa k wo bhi yaad rakhey gi
Dunia se mujhy pyar tha sub bhool chuka hon,
1 Shakhs mera yar tha sub bhool chuka hon
Bakhshi hai mujhay pyar ke badle mein bewafai,
Jo bhi tera kirdar tha sub bhool chuka hon
Bus itna mujhay yad hai ik wasal ki shab thi,
Iqrar tha inkar tha sub bhool chuka hon
Haan meri khata thi tujhay toot ke chaha,
Haan main he gunerhgar tha sub bhool chuka hon
Ik shakhs ne pagal sa bana rakha tha "SAHIL"
Main kitna samajh dar tha sub bhool chuka hon.
Zara tum shaam dhalne do
K suraj ko tou jane do
Parindo ko tou urne do
Zara tum shaam dhalne do
Abhi tou aasman ka rang nikhre ga
Abhi khushbo bhi bikhre gi
Abhi mosam bhi badle ga
Abhi tou chaand nikle ga
Abhi manzar badalne mein zara si dair baqi hay
Abhi dil k sambhalne mein zara si dair baqi hay
Chale Jana!
Abhi do chaar pal, do chaar sidiyan saath rehne do
Mujhe kuch aaj kehne do
Bus apne paas rehne do
Mujhe itna tou kehne do
"Mujhe tum se Mohabbat hay"
Badnaam zamane mein muhabbat nahi karte
Dil wale tou dushman se bhi nafrat nahi karte
Ek baar jise chaha sada us k rahe phir
Hum log amaanat mein khayaanat nahi karte
Tanhai mein kar lete hain yaad aansoo baha kar
Zahir kabhi hum apni ibaadat nahi karte
Waqt aane par maloom ye ho jaaega aapko
Hum sirf dikhawe ki muhabbat nahi karte
Likhte hain faqat faqat ek tumhare liye Ghazal
Har shakhs pe hum aise enaayat nahi karte
"TALASH"
Jo na mil sakay wohi bewafa,
Ye barri ajeeb si baat hai!
Jo chala gya mujhey chorr kar,
Wohi aaj tak mere saath hai,
Mera naam tak jo na le saka,
Jo mujhey qaraar ne de saka,
Jisay iktiyar tu tha magar,
Mujhey apna pyar ne de saka,
Wohi dard meri hayat hai,
"WOHI SHAKHS MERI TALASH HAI"
"Yun rah-e-wafa ki saleeb par, Tere 2 qadam uthane ka shukria"
"Bara pur khatar tha ye rasta, Tere laut jane ka shukria"
"Jo udaas hain tere hijr mein, Jinhein bojh lagti hay zindagi"
"Sar-e-bazm yun unko dekh kar, Tere muskurane ka shukria"
"Teri yaad kis kis bhais mein, Mery sher-o-nagme mein dhal gai"
"Ye kamal tha teri yaad ka, Mujhy yaad aaney ka shukria"
"Jo asool tha zamane bhar ka, Wo asool tu ne nibha diya"
"Yahi rasm thehri hay motabr, Mujhy bhool jane ka shukria"
Meri qismat mein bhi koi aisa sajda kar de
Jo merey sarey gunahoon ka madawa kar de
Sari dunia se chura kar mujhe apna kar de
Meri mitti ko khudaya tou ab sona kar de
Main tera chahnay wala hoon magar hain hasrat
Jinko tou chahta hai mujhko bhi waisa kar de
Ek nazar apnay gunahgaar pe kar k maula
Apni rehmat ka sazawaar hamesha kar de
Jis taraf chahonn faqat teray hi jalway dekhon
Shauq-e-Ulfat ko meray hadd se ziyada kar de (Ameen)
Door reh kar kareeb kitnay hein,
Faslay bhi ajeeb kitnay hein
Dard-E-dil ki dawa nahi warna,
Es jahan mein tabeeb kitnay hein
Umer bhar sath jo rahay teray,
Us k achay naseeb kitnay hein
Kyun na aaye tum meray sapno mein,
Meray shikaway bhi ajeeb kitnay hein
Moaziz ban k mehfil mein adakaari nahi karta
Main chehre pe kabhi jhooti ana taari nahi karta
Mera dushman mere dastoor se waaqif nahi shayad
Jise main dost keh doon us se ghadaari nahi karta
Yahan behtar hay apni zaat ka humdard ho jana
Zamana ghum tou de sakta hay ghumkhaari nahi karta
Tanha rehna seekh raha hoon
Mar k jeena seekh raha hoon
Paa k khona seekh raha hoon
Kho k pana seekh raha hoon
Sabr ko apni raah bana kar
Kaanch pe chalna seekh raha hoon
Phirty phirty sehra sehra
Pyaas ko peena seekh raha hoon
Jeeny ko hein ajab taqazy
Zinda rehna seekh raha hoon
,*,PEHLI CHAHAT,*,
Mujh ko tera pyaar teri dosti achi lagi
Teri nisbat se sada ye zindagi achi lagi
Main ne apne RAB se phir manga tujhi ko umar bhar
Teri aankhon ki mujhe dariya dili achil lagi
Bhaa gaee muskan tere honton ki teri kasam
Teri baaton ki Mujhe sanjeedgi achi lagi
Yoon tou ghazlen bhi likhi hain, Geet bhi main ne magar
Jis mein ho bus tum hi tum, wo shayari achi lagi
Matti se bana tha, Matti hi ban jaun ga
Is se aagay na kuch kar paya, na kar paun ga
Rota hua aaya tha, rulata hua jaun ga
Pairon ki dhool hon hawaon mein bikhar jaun ga
Jab dunia teri chor kar yahan se jaun ga
Dekh lena Dost, tum ko bohut yaad aaun ga.
Zakham muskurate hain ab bhi teri aahat par
Dard bhool jaate hain ab bhi teri aahat par
Shabnami sitaron mein phool khilne lagte hain
Chaand muskurata hai ab bhi teri aahat par
Umer kat gayi hai magar bachpana nahi jata
Hum diye jalate hain ab bhi teri aahat par
Ghantiyan si bajti hain raqs hone lagta hai
Dard jagmagaate hain ab bhi teri aahat par
Teri yaad aaye tou neend jaati rehti hai
Khuwab toot jaate hain ab bhi teri aahat par