Moaziz ban k mehfil mein adakaari nahi karta
Main chehre pe kabhi jhooti ana taari nahi karta
Mera dushman mere dastoor se waaqif nahi shayad
Jise main dost keh doon us se ghadaari nahi karta
Yahan behtar hay apni zaat ka humdard ho jana
Zamana ghum tou de sakta hay ghumkhaari nahi karta
Bohat be-chain rehti hay tabiyat aik muddat se
Dil-o-jaan ko nahi mil paai rahat aik muddat se
Mujhe bhi rok rakha hay meri masroofiyat ne or
Nahi ki tum ne bhi milnay ki zehmat aik muddat se
Bohat majboor hoon warna bohat mehssos karta hoon,
Meri jaan tum se milnay ki zarorat aik muddat se
Kisi din aa k mil jao k apnali hay aankhon ne
Tumhari yaad mein ronay ki aadat aik muddat se
Mitt gaya hon mujh ko tou mitta rehne do
Mere jazbaat k sholon ko bujha rehne do
Dard sehne ki hay bachpan hi se aadat mujh ko
Mere riste hoye zakhmon ko hara rehne do
Ab tou tabeer ki hasrat hi nahi hay mujh ko
Meri aankhon mein mera khuwab chupa rehne do
Muskurahat pe mera haq hi nahi hay yaaro
Mere honton se tabasam ko khafa rehne do
Dil jo toota hay tou aankhein na chalak jaen Wasi
Aj aankhon ko in ashkon se bhara rehne do
[Main aur Meri Awargi]
Hum bhi kabhi abad thay
Aisy kahan barbad thay
Be fikr thay azad thay,
Masroor thay dilshad thay
Wo chal aisi chal gya,
Hum bujh gae dil jal gya,
Niklay jala k apna ghar,
"Main aur Meri Awargi"
Ye dil hi tha jo seh gya
Wo bat aisi keh gya
Kehnay ko phir kya reh gya
Ashkon ka darya beh gya
jab keh k wo dilber gya
Tere liye main mar gya
Roty hein us ko raat bhar
"Main aur Meri Awargi".....
Kahin tum apni qismat ka likha tabdeel kar lete
Tau shayad hum bhi apna raasta tabdeer kar lete
Agar hum waqai kam hosla hote mohabbat mein
Marz barhne se pehle hi dawa tabdeer kar lete
Tumhari tarah jeene ka hunar aata tau phir shayad
Makaan apna wohi rakhte pata tabdeel kar lete
Wo Shakhs Kabhi Dasht Se Guzre Tou Usey Kehna,
Ek Pal Mere Ghar Mein Bhi Thehre Usey Kehna,
Kehna Ke Samandar Ke Kinare Pe Na Jaey,
Kuch Log Samandar Se Bhi Hain Gehre Usey Kehna,
Zarkhaiz Zameen Kabhi Banjar Nahi Hoti,
Darya He Badal Lete Hain Rasta Usey Kehna,
Kuch Log Sagar Ke Liye Mozoon Nahi Hote,
Kuch Raste Kat-tay Nahi Tanha Usey Kehna,
Is Shehar Mein Such Keh Ke Gunehgaar Na Hona,
Ke Basti Ke Sabhi Log Hain Behre Usey Kehna.
Mujhy kisi k tasawur mein doob jany do,
Bohat nahin thora sa hi jal jany do
Janta hon mahabbat nahin mujh se usy
Magar main khush hon, mujh ko faraib khany do
Main bhool jaon usy, ye to ho hi nahin sakta
Wo bhoolta hy mujhy to bhool jany do
Meri wafayen kal usy bohat rulayen gi
Meri wafa pe usy aaj muskurany do
Huwa wo kaisy juda yaad kuch nahin aata
Main sochta hoon usy kuch to yaad aany do
,*,PEHLI CHAHAT,*,
Mujh ko tera pyaar teri dosti achi lagi
Teri nisbat se sada ye zindagi achi lagi
Main ne apne RAB se phir manga tujhi ko umar bhar
Teri aankhon ki mujhe dariya dili achil lagi
Bhaa gaee muskan tere honton ki teri kasam
Teri baaton ki Mujhe sanjeedgi achi lagi
Yoon tou ghazlen bhi likhi hain, Geet bhi main ne magar
Jis mein ho bus tum hi tum, wo shayari achi lagi
Kuch is tarha se usay pyar karna parhta hay
K apne pyar se inkaar karna parhta hay
Kabhi kabhi tou wo itna qareeb hota hay
K apne aap ko deewar karna parhta hay
KHUDA ne usko atta ki hay wo maseehai
K khud ko jaan k beemar karna parhta hay
Wafa ki raah mein dushwariyan tou aati hain
Wafa ki raah ko humwaar karna parhta hay
Wo haath rakh k mere dil pe jab pochta hay
Tou mujh ko dard se inkaar karna parhta hay
Chalo tum keh rahe ho to
Main wapis lot jata hon
Tumhain manzil mubarik ho
Naya sathi mubarik ho
Magar aye humdum-e-deirina
Mujh ko itna batla do
Ky wapis kis taraf jaon
Kahan se saath laye thay
Mujhe itna to samjha do
Agar aysa nahe mumkin
To mujh ko is tarha toro
Ky main yaksir bikhar jaon
Bhataknay se to behtar hai
Tumhary paas mar jaon
Kisi Toofan Mein Jaise Kinara Yaad Aata Hai-
Mujhe Tanhai Mein Chehra Tumhara Yaad Aata Hai-
~
Suna Hai Us K Honton Se Tabsum Rooth Jata hai-
Suna Hai us Ko Bhi Piyar Hamara Yaad Aata Hai-
~
Hamaray Roz-o-Shab Ka Ye Tasalsul Kis Tarah Totey-
Usey Jab Bhoolte Hain Wo Dobara Yaad Aata Hai-