Mujh mein doob jao k meri gehraiyon ka pata chale
Mere dard ki shiddat meri tanhaiyon ka pata chale
Aise to har roz wafa k naam par toote hain dil
Mujh ko bhi chaho k meri bewafaiyon ka pata chale
Ye or baat k lafz mere ho kar nahi rehte
Phir bhi pucho koi sawal k meri sachiyon ka pata chale
Jhoom k gaon main sharabi hon
Raqs farmao main sharabi hon
Ek sajda baname khana
Dosto aao main sharabi hon
Log kehte hain raat beet chuki
Mujh ko samjhao main sharabi hon
Aaj in reshmi ghataon ko
Yun na bikhrao main sharabi hon
Haadse roz hote rehte hain
Bhool bhi jao main sharabi hon
Mujh pe zaahir hain ap ka batin
Moun na khulwao main sharabi ho
"Un k andaz-e-karam, Un pe wo ana dil ka"
Haaye wo waqt, wo baatein, wo zamana dil ka
"Na suna usne tawajjo se fasana dil ka"
Umar guzri per dard na jana dil ka
"Dil lagi, dil ki lagi ban k mita deti hay"
Rog dushman ko bhi ya rab na lagana dil ka
"Wo bhi apne na howe dil bhi gaya haathon se"
Aesy aane se tou behtar hay na aana dil ka
"Unki mehfil me Parveen un k tabasum ki adaa"
Hum dekhte reh gaye haath se jana dil ka.
Haqiqat jan kar aisi hamaqat kon karta hai?
Bhala be faiz logonse mohabat kon karta hai?
Btao jis tijarat me khasara hi khasara ho
Bina soche khasare ki tijarat kon karta hai?
Hamen hi ghalat fehmi thi kisi k waste warna!
Zmane k rewajon se baghawat kon karta hai?
Khuda ne sabr karne ki mujhe tufiq bakhshi hai,
Ary g ghar k tarpao! shikayat kon karta hai?
Kisi k dil k zakhmon par marham rakhna zaruri hai!
Magar is daor me "Mohsin" ye zehmat kon karta hai?
Samandar pur-sukoon hay per kinaray shor karte hain,
Meray atraaf bas rangeen nazaray shor karte hain
Aur ab tou chandni taatein mujhe achi nahi lagtein,
Sukoon se so nahi sakta k taaray shor karte hain
Main jab khamosh rehta hoon tou sab khamosh rehte hain,
Agar ik lafz bhi boloon tou saray shor karte hain
Bohat muddat hui jab tum meray koochay se guzre thay,
Per qadmon k nishan ab tak tumhare shor karte hain
Dhalne lagi hai shaam tere intizar mein
Ye subha kese hogi tere intizar mein
Shabnam bhi ro pari meri be-basi par aaj
Askhon se rah sajai tere intizar mein
Mera nahi yaqeen tau sitaron se poch lo
Aankhon mein shab basai hai tere intizar mein
Itna na bhoolna k mar he jaen hum
Aankhein khuli rahain gi tere intizar mein
Usney peshaani pe jo dast-e-shifa rakha hai
Shehr k shehr ne ik hashr utha rakha hai
Dil drakhta hay tou bas terey liye hi warna
Khaak ka dhair hon is khaak mein kiya rakha hai
Torr detey ho merey dil ko kabhi jortey ho
Tum ne tou pyaar ko kheil bana rakha hai
Aandhiyan aesi uthin bujh gaiy suraj lekin
Ek diya hum ne beher torr jala rakha hai
Kon rakhta hai yahan yaad kisi ko ae dost
Achay achon ko zamane ne bhula rakha hai
Meri qismat mein bhi koi aisa sajda kar de
Jo merey sarey gunahoon ka madawa kar de
Sari dunia se chura kar mujhe apna kar de
Meri mitti ko khudaya tou ab sona kar de
Main tera chahnay wala hoon magar hain hasrat
Jinko tou chahta hai mujhko bhi waisa kar de
Ek nazar apnay gunahgaar pe kar k maula
Apni rehmat ka sazawaar hamesha kar de
Jis taraf chahonn faqat teray hi jalway dekhon
Shauq-e-Ulfat ko meray hadd se ziyada kar de (Ameen)
Ho k sharminda gunaahon se, kabhi sar jhuka tou sahi
Wo karega maaf tujhe, do ashk baha tou sahi
Rahegi chandni qabar mein bhi saath tere
Tu uski yaad ko dil se zara laga tou sahi
Na rahega tu mohtaaj kabhi kisi ka
Kiya hay jo Khuda se eahed wo nibha tou sahi
Wo hay Ghafoor Raheem sunta hay dua subki
Arey nadaan apne haath utha k daman phaila tou sahi
Ye barishain bhi tum si hain,
Jo baras gayi tou bahar hai
Jo thehar hayi tou qarar hain
Kabhi aa gayi yunhi bey sabab,
Kabhi chaa gayi yunhi roz-o-shab
Kabhi shor hai, Kabhi chup si hain
Ye barishain bhi tum si hain
Kisi yaad mein kis raat ko ik dabi hui si raakh ko
Kabhi yun hua k bujha dia
Kabhi khud se khud ko jala dia
Kahin boond boond mein gum si hain
Ye barishain bhi tum si hain
Roothon tau sahi gar koi manane wala ho
Karoon intizaar bhi gar koi aanay wala ho
Bari muddat se nai bheegen ye aankhein meri
Koi tau ho aisa jo rolaanay wala ho
Sab hi haal mera pooch k chalay jate hain
Hay koi jo dil mein samaanay wala ho
Khushiyan tau shayad muqaddar mein hi nahi hain
Milay ghum aisa jo galay lagaanay wala ho
Lutnay ki khuwahish mein chalay qaaflon k saath
Rehbar na mila jo qaafla lutaanay wala ho
Ajnabi shehar k ajnabi raaste,
Meri tanhai pe muskurate rahe
Main bohut dair tak yunhi chalta raha,
Zeher milta raha zeher pedaricha khula
Hum bhi goya kisi taar k saaz they,
Choat khate rahe gungunate rahe
Ajnabi shehar k ajnabi raaste,
Meri tanhai pe muskurate rahe.
Teri chahat mein guzarti meri her shaam hai
Mere dil se nikli hui her dua tere naam hai
Ab mujhko ilzaam na do bewafai ka
Mere haathon ki lakeeron mein wafa aam hai
Qadar poucho us se jo karte hein mohabbat ki pooja
Sirf tere shehar mein mohabbat meri badnaam hai
Apni jaan ka nazrana kese karte paish tujhko
Tere ishq mein her saans jo meri neelaam hai
Kese chhor den tanha zindagi k safar mein
Tere bagair tou meri zindagi gumnaam hai
Darta hoon maut se magar marna zarur hay
Larazta hoon kafan se par pehenna zarur hay
Ho jata hoon ghumgeen janaze ko dekh k
Lekin mera janaza bhi uthna zarur hay
Hoti hay bari kapkapi qabron ko dekh kar
Muddaton andheri qabr mein rehna zarur hay
Dunya tau mere dil ko lubhaati hay subho shaam
Par such hay isko chor k jana zarur hay
Meri tashnagi ka khayal kar, Main udaas hoon mere paas aa
Meri bebasi ka malal kar, Main udaas hoon mere paas aa
Ye tere sitam, ye tere karam, Mujhe day gaye zoq-e-juno
Mera jeena youn na mahal kar, Main udaas hoon mere paas aa
Mera zard chehra hay kisliye, Hay ye dil udaas kis liye
Na tu mujh say aisay sawal kar, Main udaas hoon mere paas aa
Aisa Niyaaz-e-Ishq Ne Saada Bana Diya
Hum Uss K Ho Gaye Ussay Apna Bana Diya
Taqdeer Ne, Falak Ne, Mohabbat Ne, Ishq Ne
Jis Ne Bhi Chaaha Mera Tamasha Bana Diya
Veeraaniyan Samait Kar Saray Jahan Ki,
Jab Kuch Na Ban Saka Tou Mera Dil Bana Diya
Ab Tum Mere Bano Na Bano Hai Tum Ko Ikhtiyaar
Taqdeer Ne Tou Mujh Ko Tumhara Bana Diya.
Wohi sochain wohi batein wohi andaz ab bhi hay
Bohut bechain lagtay ho koi to raaz ab bhi hay
Main kaisay us ki yaadon or wadon se nigahe phairoon?
Wo mujh se roothnay wala mera hamraz ab bhi hay
Yeh tum ho is taaluq par preshaan or nadim bhi
Isi belos rishtay par mujhay to naaz ab bhi hay
Badnaam zamane mein muhabbat nahi karte
Dil wale tou dushman se bhi nafrat nahi karte
Ek baar jise chaha sada us k rahe phir
Hum log amaanat mein khayaanat nahi karte
Tanhai mein kar lete hain yaad aansoo baha kar
Zahir kabhi hum apni ibaadat nahi karte
Waqt aane par maloom ye ho jaaega aapko
Hum sirf dikhawe ki muhabbat nahi karte
Likhte hain faqat faqat ek tumhare liye Ghazal
Har shakhs pe hum aise enaayat nahi karte
Sardiyon ki shaamein bhi kiya ajab shaamein hein
Log yaad atay hain
Aag si lagatay hain
Dil k har ik konay mein
Zindagi k manzer mein
Doob k ubhertay hain
Ik daga jo bichary thay
Roz roz miltay hain
Aur meri aankhon ko
De k kuch naye moti
Phir se laut jate hain
Phir hum akailay mein
Aansoun k railay mein
Sardiyon ki thandak mein
Tanha apne shanay py
Apni shaal sambhalay
Ghar ko laut atay hain
Sardiyon ki shaamein bhi kiya ajab shaamein hain
Khuda ik pal usay mera bana de
Itna chahta hun usay koi usko bata de
Bohat naaz hai mujhe apni mahabbat par
Ho jaye wo mera aiasa koi mojza dikha de
Agar wo mera naseeb ban nahi sakta
Uske kadmon ki khak mujhe bana de