Hum ne ulfat ka bharam sub se juda rakha hai
Goya seenay mein tujhy dil ki jagah rakha hai
Dil ye chahe k tu kabhi badnaam na ho
Dekh zikr tera hai magar naam chupa rakha hai
Mere jis haath se kiya tha tu ne musafa
Dhoya hi nahi honton se laga rakha hai
Ab main samjha tere rukhsaar pe til ka matlab
Doulat-e-husn pe darban bitha rakha hai
Juda ho gaye hain tou phir kiya hua Sahil
Teri tasveer ko seenay mein saja rakha hai
Door reh kar kareeb kitnay hein,
Faslay bhi ajeeb kitnay hein
Dard-E-dil ki dawa nahi warna,
Es jahan mein tabeeb kitnay hein
Umer bhar sath jo rahay teray,
Us k achay naseeb kitnay hein
Kyun na aaye tum meray sapno mein,
Meray shikaway bhi ajeeb kitnay hein
Ab teri yaad se wehshat nae hoti mujh ko
Zakham khulte hain aziyat nae hoti mujh ko
Ab koe aye, chala jaye main khush rehta hon
Ab kisi shakhs ki aadat nae hoti mujh ko
Aisay badla hoon tere shehar ki pani pi kar
Jhoot boloon to nidamat nae hoti mujh ko
Hai amaanat me khyanat so kisi ki khatir
Koe marta hai to hayrat nae hoti mujh ko
Itna masroof hoon jeene ki hawas mein "Mohsin"
Sans lene ki b fursat nahi hoti mujh ko
Phir daman-e-umeed wo phoolon se bhar gaya
Jaadu bhari nigah se jaadu sa kar gaya
Bus dekhtay hi dekhtay dunya badal gayi
Kuch sochtay hi sochtay chehra utar gaya
Be-taab be-qarar tha pehlay he dil bohat
Phir aap ka aana aur bhi be-taab kar gaya
Ik be-khudi ka naam mohabbat hay dosto
Chahat mein kis ko hosh hay kya kya guzar gaya
Kuch bhi pata nahi hay mohabbat mein MoHSiN
Kab raat subha ban gayi kab din guzar gaya
Masoom Si Mohabbat Ka Bus Itna Sa Fasana Hai
Kagaz Ki Haweli Hai, Baarish Ka Zamaana Hai
Kya Shart-e-Mohabbat Hai, Kya Shart-e-Zamana Hai
Aawaz Bhi Zakhmi Hai Aur Wo Geet Bhi Gana Hai
Uss Paar Utarne Ki Umeed Boht Kam Hai
Kashti Bhi Puraani Hai, Toofaan Bhi Aana Hai
Samajhe Ya Na Samjhe Wo Andaaz-e-Mohabbat Ka
Ek Shaks Ko Aankhon Se Ek...
Raah-e-wafa mein sazaaon ko kon dekhega,
Safar hay dhoop ka chaaon ko kon dekhega
Hum apni zid pe aaye tou cheen lenge usay,
Us k sheher ki lambi diwaaron ko kon dekhega
Uski bazm k hum wo chiraagh hein jana,
K jab jale tou hawaaoon ko kon dekhega
Bicher tou jayen magar phir khayaal aata hay
Uski in dilkash adaaon ko kon dekhega
Ajnabi shehar k ajnabi raaste,
Meri tanhai pe muskurate rahe
Main bohut dair tak yunhi chalta raha,
Zeher milta raha zeher pedaricha khula
Hum bhi goya kisi taar k saaz they,
Choat khate rahe gungunate rahe
Ajnabi shehar k ajnabi raaste,
Meri tanhai pe muskurate rahe.
Aisa Niyaaz-e-Ishq Ne Saada Bana Diya,
Hum Uss K Ho Gaye Ussay Apna Bana Diya
Taqdeer Ne, Falak Ne, Mohabbat Ne, Ishq Ne,
Jis Ne Bhi Chaha Mera Tamaasha Bana Diya
Veeraaniyan Samait Kar Saaray Jahan Ki,
Jab Kuch Na Ban Saka To Mera Dil Bana Diya
Ab Tum Mere Bano Na Bano Hai Tum Ko Ikhtiyaar,
Taqdeer Ne Tou Mujh Ko Tumhara Bana Diya....!
Pyaar Ke Deep Jalane wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai
Apni Jaan Se Jane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.
Hijar K Gehri Zakham Mile To Mujh Ko Kuch Ehsaas Hua
Pagal Ko Samjhane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai
Jaan Se Pyare Logon Se Bhi Kuch Kuch Perda Lazim Hai
Sari Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.
Khwabon Mein Bi Anmol Milan K Sapne Dekhte Rehte Hai
Neendon Mein Muskrane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.
Iss Johti Nagri Mein Hum Ne Yehi Hamesha Dekha Hai
Sachi Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.
Pyar Jinhein Ho Jaye Un Ko Chain Bhala Kab Mill Pata Hai
Shab Ber Ashk Bahane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.
Apni Zaat Ke Ujrey Gulshan Se Wo Pyaar Kahan Kerte Hai
Auroon Ko Mehkane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.
Us Ke ISHQ Mein Bheeg Ke Hum Ko Yeh Ehsaas Hua
Dil Ki Baat Mein Aane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai
Usney peshaani pe jo dast-e-shifa rakha hai
Shehr k shehr ne ik hashr utha rakha hai
Dil drakhta hay tou bas terey liye hi warna
Khaak ka dhair hon is khaak mein kiya rakha hai
Torr detey ho merey dil ko kabhi jortey ho
Tum ne tou pyaar ko kheil bana rakha hai
Aandhiyan aesi uthin bujh gaiy suraj lekin
Ek diya hum ne beher torr jala rakha hai
Kon rakhta hai yahan yaad kisi ko ae dost
Achay achon ko zamane ne bhula rakha hai
Na me paas usko bula saka~
~Na me dil ki baat bata saka~
~Wo hansi hansi me hi chal diya~
~K me hath tak na mila saka~
~U hi sochta raha door tak~
Magar usko kuch na bata saka~
~Ye maqaam hi tha ajeeb sa~
~K me khud ko b na bcha saka~
~Wo juda hua to kuch is tarah~
~Koi rasam tak na nibha saka~
~Usay jana tha wo chala gaya~
Usay aaj tak na bhula saka.
Mujhy kisi k tasawur mein doob jany do,
Bohat nahin thora sa hi jal jany do
Janta hon mahabbat nahin mujh se usy
Magar main khush hon, mujh ko faraib khany do
Main bhool jaon usy, ye to ho hi nahin sakta
Wo bhoolta hy mujhy to bhool jany do
Meri wafayen kal usy bohat rulayen gi
Meri wafa pe usy aaj muskurany do
Huwa wo kaisy juda yaad kuch nahin aata
Main sochta hoon usy kuch to yaad aany do
Bachpan Ka Zamana Hota Tha
Khushion Ka Khazana Hota Tha
Chahat Chaand Ko Pane Ki
Dil Titli Ka Deewana Hota Tha
Rone Ki Waja Na Hoti Thi
Hansne Ka Bahana Hota Tha
Khabar Na Thi Kuch Subho Ki
Na Shaamon Ka Thikana Hota Tha
Matti Kay Ghar Bnatey They
Aur Un Ko Girana Hota Tha
Gham Ki Zuban Na Hoti Thi
Na Zakhmon Ka Paymana Hota Tha
Barish Mein Kaghaz Ki Kashti
Har Mosam Suhana Hota Tha
Wo Khel Wo Saathi Hote The
Aur Har Rishta Nibhana Hota Tha
Ye guzarish hai faqat muj pe meharbaan raho.....
Tum kisi aour ko dekho tu bura lagta hai.
Meri chahat ka taqaza hai mere saath raho....
Haath jo gair ka thamo tu bura lagta hai.
Ye tamanna hai tere har roop ko har pal dekhoon....
Tum mere paas se uthu tu bura lagta hai.
Roz-o-shab aaj b parwa hai tumhari muj ko.
Reza kanch ki surat mein bikhar jata hun
Main teri yaad mein jab had sy guzar jata hun
Ab gurezan hai wo milnay se jo kehta tha kabhi
Tum se miltay hi main kuch or nikhar jata hun
Roz khata hun tujay yaad na karnay ki qasam
Roz wadon sy main apnay hi mukar jata hun
Muh ko tamasha bana dia hai mohabbat ne teri
Log kastay hain awazien main jidhar jata hun
Har gham pe khaya hai mohabbat ka dhoka
Ab koi pyar se bulata hai to dar jata hun
Khizan ki rut ka sazawar bhi nahi hota
Ye nakhl jaan k samr bar bhi nahi nahi hota
Kahan se dhoond k laatey hein zindagi ka jawaz
Woh jin ko ishq ka azaar bhi nahi hota
Warq warq woh meri daastaan hoti hai
Magar kaheen mera kirdar bhi nahi hota
Humein aziz bohut hein ye jaan-o-dil lekin
Tumhare saamne inkar bhi nahi hota
Nahi hay hasrat tameer bhi koi Tariq
Magar ye khuwab tou masmaar bhi nahi hota
Aisa Niyaaz-e-Ishq Ne Saada Bana Diya
Hum Uss K Ho Gaye Ussay Apna Bana Diya
Taqdeer Ne, Falak Ne, Mohabbat Ne, Ishq Ne
Jis Ne Bhi Chaaha Mera Tamasha Bana Diya
Veeraaniyan Samait Kar Saray Jahan Ki,
Jab Kuch Na Ban Saka Tou Mera Dil Bana Diya
Ab Tum Mere Bano Na Bano Hai Tum Ko Ikhtiyaar
Taqdeer Ne Tou Mujh Ko Tumhara Bana Diya.
Wafa ki Aarzoo karna!
Safar ki justujoo karna!
Jo tum mayoos ho jaao!
Tou mujh se guftugoo karna!
Ye aksar ho bhi jaata hay!
K koi kho bhi jaata hay!
Muqaddar ko sataao gay!
Tou phir ye so bhi jata hay!
Agar tum hosla rakho!
Wafa ka silsila rakho!
Jisey tum apna kehtay ho!
Tou us se raabta rakho!
Main ye daavy se kehta hon!
Kabhi naakam na hogy!
Mohabhat ko samajh jaao!
Kabhi badnaam na hogay
Kitni majboriyaan hum palkon pe saja lete hein
Hum kahan rote hein halaat rula dete hein
Yaad rakhte hein bure waqt k saathi ki ko?
Subha hote hi shama bhuja dete hein
Saath hote hein tou lagta hay sadion ka saath hay
Door hote hein tou faqat do din mein bhula dete hein
Baylos muhabbat ka sila you na diya kar
Apno ko tou nazdeek se pehchaan liya kar
Har lamha na apni taraf dekh k khush ho
Auron ki bhi takleef ka ehsaas kiya kar
Ujray huway logon se gureza na huwa kar
Halaat ki qabro k ye kutbay bhi parha kar
Har waqt ka hansna tujhe barbaad na karde
Tanhai k lamhon mein kabhi lo bhi liya kar
Apnay hi shabo roz mein abad raha kar
Hum log buray log hain hum se na mila kar
A dil tujhe dushman ki bhi pehchaan kahan hay
Tu halqa-e-yara mein bhi mohtaat raha kar
Wo aaj bhi sadyon ki musafat pe khara hay
Dhonda tha jisay waqt ki diwaar gira kar