Tumhari anjuman se uth k diwanay kahan jaty
Jo wabasta huway tum se wo afsanay kahan jaty
Nikal k dair-o-kaba se agar milta na maekhana
To thukraey huway insaan khuda jany kahan jaty
Tumhari be-rukhi ne laaj rakh li badakhano ki
Tum aankhon se pila dety tou pemany kahan jaty
Chalo acha huwa kaam agai deewangi apni
Wagarna hum zamany bhar ko samhany kahan jaty
Qateel apna muqqadar ghum se begana agar hota
Tou phir apne praey hum se pehchany kahan jaty
Jab udas ho to gunguna lena mujhko,
Jab tumhara koi na bane to apna bana lena mujhko
Kabhi agar socho k tum se ziyada tumhen kon chahta hai,
To apne naam k sath phir se dohra lena mujhko
Hansne k liye to mil jayen ge hazaron tum ko,
Jab rone k liye na mile koi kandha to bula lena mujhko.
Teri chahat mein guzarti meri her shaam hai
Mere dil se nikli hui her dua tere naam hai
Ab mujhko ilzaam na do bewafai ka
Mere haathon ki lakeeron mein wafa aam hai
Qadar poucho us se jo karte hein mohabbat ki pooja
Sirf tere shehar mein mohabbat meri badnaam hai
Apni jaan ka nazrana kese karte paish tujhko
Tere ishq mein her saans jo meri neelaam hai
Kese chhor den tanha zindagi k safar mein
Tere bagair tou meri zindagi gumnaam hai
Khuda ik pal usay mera bana de
Itna chahta hun usay koi usko bata de
Bohat naaz hai mujhe apni mahabbat par
Ho jaye wo mera aiasa koi mojza dikha de
Agar wo mera naseeb ban nahi sakta
Uske kadmon ki khak mujhe bana de
Humnasheen kaise bataon jazba-e-ulfat kiya hay
Khud batayi gi mohabbat mohabbat kiya hay
Ishq ko log kyun maseeha samajh bethay hain
Agar nahi ishq haqiqat tou haqiqat kiya hay
Aaya parwana gira shama par jal jal k mara
Tou ab bhi soch raha hay mohabbat kiya hay
Ishq ko bhool k jabbat ki hay dunya ko talaash
Ishq ki aag agar dozakh hay tou jannat kiya hay
Meri badli huyi rangat meri halat tou dekho
Ab tou samajh lo k mohabbat kiya hay
Be-basi Be-kali Be-khudi de gaya
Kuch naye tajurbay, ajnabi de gaya
Sochne k liye pal ki muhlat na di
Jagnay k liye ik sadi de gaya
Lay gaya jaan-o-dil, jism se kainch kar
Haan magar, rooh ki tazgi de gaya
Uss k aanay se har ik kami mitt gai
Jaate jaate woh apni kami de gaya
Uss ki sodagari Mein be-insaaf tha
Zindagi de gaya, Zindagi le gaya
Koi umeed jo hoti tere laut aane ki
Phir na hoti aisi halat dil deewane ki
Main to har haal mein khush rehne ki justju mein raha
Na gai teri aadat wo staane ki
Zindagi jabar-e-musalsal ki tarha kaat raha hoon
Nahi deta koi dua bhi mar jane ki
Ab tou aksar yehi sochta rehta hoon
Tujh ko maangon ya maangon dua apnay mar jane ki
Yaad-e-maazi mein jo aankhon ko saza di jaye
Is se behtar hay k har baat bhula di jaye
Jis se thori si bhi umeed ziada ho kabhi
Aisi har shama sar-e-shaam jala di jaye
Main ne apnon k rawayoun se ye mehsoos kiya
Dil k aangan mein bhi diwaar utha di jaye
Main ne yaron k bicherne se ye seekha Sehar
Apny dushman ko bhi jeene ki dua di jaye
Mitt gaya hon mujh ko tou mitta rehne do
Mere jazbaat k sholon ko bujha rehne do
Dard sehne ki hay bachpan hi se aadat mujh ko
Mere riste hoye zakhmon ko hara rehne do
Ab tou tabeer ki hasrat hi nahi hay mujh ko
Meri aankhon mein mera khuwab chupa rehne do
Muskurahat pe mera haq hi nahi hay yaaro
Mere honton se tabasam ko khafa rehne do
Dil jo toota hay tou aankhein na chalak jaen Wasi
Aj aankhon ko in ashkon se bhara rehne do
*Naseebon Ki Baat*
Kisi ko mil jae wafa naseebon ki baat hai
Koi rota rahe sada naseebon ki baat hai
Kisi ko chahna khud se barh kar
Na ban sake wo apna naseebon ki baat hai
Koi kisi ki yaad me roya kare bohut
Koi kare na parwa naseebon ki baat hai
Apni jan b war deta hai kisi par koi
Phir b rahe koi khafa baseebon ki baat hai
Kisi ko mil jaen khushian hazar
Koi dhundta rahe muskan naseebon ki baat hai
Koi mil jae kisi ko bin mange hi
Koi umar bhar karta rahe tlash naseebon ki baat hai
Darta hoon maut se magar marna zarur hay
Larazta hoon kafan se par pehenna zarur hay
Ho jata hoon ghumgeen janaze ko dekh k
Lekin mera janaza bhi uthna zarur hay
Hoti hay bari kapkapi qabron ko dekh kar
Muddaton andheri qabr mein rehna zarur hay
Dunya tau mere dil ko lubhaati hay subho shaam
Par such hay isko chor k jana zarur hay
"Apny Dil Ko Sanbhalo Or So Jao,"
"Aansou Aankhon Mein Chupa Lo Or So Jao"
"Kuch Nahi Milta Ishq Mein Siwaye Is Kay,"
"Ghum Ki Barish Mein Naha Lo Or So Jao"
"Chor Do Ye Ratoon Ko Dair Tak Jagna,"
"Us Ki Yaad Dil Sy Mita Lo Or So Jao"
"Ishq Mein Hamesha Bewafai He Hoti Hay,"
"Ye Baat Zehn Mein Bitha Lo Or So Jao"
Tum jo hotay to mujhay kitna sahara hota
Main nay gheron ko na dukh mein pukara hota
Jitni shidat say wabasta tha mein tuj say
Kis tarha mera tere bagair guzara hota
Mujh ko yeh soch he kafi hay "Jalane k Liye"
Main na hota to koi or tumhara hota
Or hum baith k khamoshi say roye jatay Saqi
Shaam hoti sharab hoti or kisi darya ka kinara hota
Chalo ik nazm likhte hain,
Kisi k naam karte hain,
Magar ye sochna hai ab,
K us mein zikr kis ka ho,
K us mein baat kis ki ho,
K us mein zaat kis ki ho,
Aur ye bhi farz karte hain,
K jis pe nazm likhte hain,
Humain us se mohabbat hai,
Humare sare jazboon ko,
Bas us ki hi zarorat hai,
Chalo ik kam karte hain,
K hum jo nazm likhte hain,
Tumhare nam karte hain,
Tum hi unwan ho is ka,
Tumhara zikr hei is mein,
Tumhari baat hei is mein,
Tumhari zaat hei is mein,
Saath chalne main jo maza hota
Woh humain bhi kabhi mila hota
Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
Saath apne koi chala hota
Hum bhatakte rahe the raahon mein
Koi rasta pata chala hota
Thaam leta humain bhi barh ke koi
Haath hum ko koi mila hota
Hum ulajhte nahi zamane se
Ek jo Humsafar mera hota
Hum na thakte safar mein gar
Saath apne koi chala hota
Laho se dil k kaghaz par, koi tehreer hoti hay
Tou ahl-e-dil samajhtay hain, yehi taqdeer hoti hay
Tujhe khuwaabon mein aksar log mujh se cheen lete hain
Suna hay saare khuwaboon ki ulat tabeer hoti hay
Yehi chaahat kisi ko taaj ki surat nazar aaye
Yehi chaahat kisi k paon ki zanjeer hoti hay
Wafa ki jang talwaron se jeeti ja nahi sakti
K sachai or mohabbat se wafa ki jeet hoti hay
Suno ghazlyn be-sabab likhi nahi jaati
K shair k tasavur mein koi tasveer hoti hay
Na ghamoon k geet suna karo
Na kisi ki yaad mein jala karo
Ab chor do ye udasian
Hamesha khush raha karo
Na Khuda kare kisi ko juda
Haath uthao tou ye dua karo
Nahi bhata tera udaas chehra
Na kabhi preshaan hua karo
Suna hay k mantey ho hamari baat
Hamari khaatir hi hanstay raha karo
-Aa Bant len Saray dard-o-Alam kuch tum rakh lo kuch hum rakh len-
-Ab Ponch lo apnay ashk Sanam, Kuch tum rakh lo kuch hum rakh len-
-Hum sath rahen aur sath chalen hub sath jiyen aur sath maren-
-Is raah-e-wafa pe qadam, kuch tum rakh lo kuch hum rakh len-
-Mana k dukhon se tum ho bhare or hum bhi khali hath nahi-
-Ye zulm-o-sitam tumhen meri qasam, kuch tum rakh lo kuch hum rakh len-
-Bedard zamane wale jo kuch kehte hain kehne do-
-Beloas tamanaon ka bharam, kuch tum rakh lo kuch hum rakh len-
Matti se bana tha, Matti hi ban jaun ga
Is se aagay na kuch kar paya, na kar paun ga
Rota hua aaya tha, rulata hua jaun ga
Pairon ki dhool hon hawaon mein bikhar jaun ga
Jab dunia teri chor kar yahan se jaun ga
Dekh lena Dost, tum ko bohut yaad aaun ga.
Us se milne ko kabhi hum jo machal jate hain,
Tou khayalon mein bohut door nikal jate hain,
Gar wafaon mein sadaqat bhi ho hidayat bhi,
Phir tou ehsas se pathar bhi pighal jate hain,
Uski ankhon k nashy mein hoon jab se dooba,
Lar-kharaty hain qadam or sanbhal jate hain,
Bewafai ka mujhe jab bhi khayal ata hy,
Ashk rukhsar py aankhon se phisal jate hain,
Piyar mein ek hi mosam hai baharon ka "Faraz"
Log mosam ki tarah kese badal jate hain,