"Apny Dil Ko Sanbhalo Or So Jao,"
"Aansou Aankhon Mein Chupa Lo Or So Jao"
"Kuch Nahi Milta Ishq Mein Siwaye Is Kay,"
"Ghum Ki Barish Mein Naha Lo Or So Jao"
"Chor Do Ye Ratoon Ko Dair Tak Jagna,"
"Us Ki Yaad Dil Sy Mita Lo Or So Jao"
"Ishq Mein Hamesha Bewafai He Hoti Hay,"
"Ye Baat Zehn Mein Bitha Lo Or So Jao"
Ab waqt-e-judai hay, Mujhe ab al-vida keh do
Ab phir wo tanhai hay, Mujhe ab al-vida keh do
Main laakh bura tehra hon apno ki nazar mein
Dil ro tou raha hay magar, Ab al-vida keh do
Mery aansou tou mery hain, meri khushiyan tumhari hain
Mubbarak tum ko ye khushiyan, Mujhe ab al-vida keh do
Mere jany pe na rona, Mujhe tum yaad na karna
Main tanha tha main tanha hon, Mujhe ab al-vida keh do
Mujhe afsoos tou youn sab se door jany ka
Meri yaadon mein tum sab ho, Mujhe ab al-vida keh do
Kisi k dard ki wajah, kisi k dukh ka main sabab
Banonga ab kabhi na main, Mujhe ab al-vida keh do
Apni baaton mein merey naam k hawaley rakhna
Mujh sy bichrey ho tou khud ko sabmbhaley rakhna
Log pochein gay kyun preshan ho tum
Kuch nigahon se kehna zubaan pe taaley rakhna
Na khoney dena merey beetay lamhon ko
Meri yaadon ko baray payar sy sambhaley rakhna
Main loat aaonga itna yaqeen hay mujh ko
Tum meri yaad ki shama jalaye rakhna
Zindagi bewafa kyun hoti hay?
Wafa karne ki saza kyun hoti hay?
*
Choti si baat pe baha dete hain khon
Insaan mein itni anna kyun hoti hay?
*
Karta hun mein jis se baar baar tauba
Elaahi mujh se wohi khata kyun hoti hay?
*
banate to hain hum apne haathon se masjid
Namaz apni hi phir qaza kyun hoti hay?
Na ghamoon k geet suna karo
Na kisi ki yaad mein jala karo
Ab chor do ye udasian
Hamesha khush raha karo
Na Khuda kare kisi ko juda
Haath uthao tou ye dua karo
Nahi bhata tera udaas chehra
Na kabhi preshaan hua karo
Suna hay k mantey ho hamari baat
Hamari khaatir hi hanstay raha karo
Sach to ye hey jo mujhe jhoot ki aadat hoti
Mujh ko tumse na tumhein mujh se shikayat hoti
Apne maazi k fasanay jo sunata tum ko
Kese zinda hun ab tak tumhein hairat hoti
Kuch nahi kehta to kehtay hein k maghroor hu main
Aur kuch kehta to kuch aur shikayat hoti
Khud parasti jo na insaan ki firtrat hoti
Sari dunya mein mohabbat hi mohabbat hoti
Tum ne acha kia mujh ko na dia wafa ka badla
Tum bhi mujh se jo wafa kertay to tijarat hoti
Roothon tau sahi gar koi manane wala ho
Karoon intizaar bhi gar koi aanay wala ho
Bari muddat se nai bheegen ye aankhein meri
Koi tau ho aisa jo rolaanay wala ho
Sab hi haal mera pooch k chalay jate hain
Hay koi jo dil mein samaanay wala ho
Khushiyan tau shayad muqaddar mein hi nahi hain
Milay ghum aisa jo galay lagaanay wala ho
Lutnay ki khuwahish mein chalay qaaflon k saath
Rehbar na mila jo qaafla lutaanay wala ho
-Ek Ehsaas
-Ek Pyaas,
Or
-Bas Tum
-Ek Sawaal
-Ek Majaal
-Tumhara Khayaal
Or
-Bas Tum
-Ek Baat
-Ek Raat
Or
-Bas Tum
-Ek Dua
-Ek Faryaad
-Tumhari Yaad
Or
-Bas Tum
-Mera Junoon
-Mera Sukoon
-Bas Tum
Or
-Bas Tum
Kisi ki rah me ankhen bicha kr kuch nhi milta.
Ye Dunya Bewafa Hai Dil Laga Kr kuch nhi milta.
Koi Bhi Lot kr Ata Nhi Aanso Bahany Sy
Kisi ki yaad me dil ko rula kr Kr kuch nhi milta.
Kisi k dil pay kya guzry kisi ko kya khabar is ki
Kisi ko Apna Hal-e-dil suna k kuch nhi milta.
Main nahi hon apny wajood mein, Mujhy janay kis ne chura liya
Mere saath rehta hay ek shakhs, Koi jaadu us ne chala diya
Meri rooh mein woh sama gaya, Mujhe ishq karna sikha diya
Meri zindagi wo ban gaya, Mujhe jeena us ne sikha diya
Main tou khud se bhi tha na aashna, Mujhe mujh se us ne mila diya
Meri zindagi ko badal diya, Mujhe khush naseeb bana diya
Ye barishain bhi tum si hain,
Jo baras gayi tou bahar hai
Jo thehar hayi tou qarar hain
Kabhi aa gayi yunhi bey sabab,
Kabhi chaa gayi yunhi roz-o-shab
Kabhi shor hai, Kabhi chup si hain
Ye barishain bhi tum si hain
Kisi yaad mein kis raat ko ik dabi hui si raakh ko
Kabhi yun hua k bujha dia
Kabhi khud se khud ko jala dia
Kahin boond boond mein gum si hain
Ye barishain bhi tum si hain
Hum par nafraton k teer barsate kyun ho
Saath raqibon k mil satate kyun ho
Do qadam saath chal k tanha chor dene walo
Phir saath jeene marne ki qasmein khate kyun ho
Jin ko sirf tumhare husn se gharz hoti hay
Un k naz nakhre phir tum uthate kyun ho
Mohabbat ki aar mein badnam karte hain jo tumhein
Un ki dobti naao ko kinare lagate kyun ho
Khud dobna hay tou auron ko bhi le dobo
Tan tanha apni zindagi kadiya bujhate kyun ho
Wahshion k des mein wafa kab milti hay
Apni qismat ko har bar aazmate kyun ho
Jin ko izzat ki zindagi raas nahi yaaro
Un ki khatir tum apni hasti ko mitate kyun ho
Hum ne ulfat ka bharam sub se juda rakha hai
Goya seenay mein tujhy dil ki jagah rakha hai
Dil ye chahe k tu kabhi badnaam na ho
Dekh zikr tera hai magar naam chupa rakha hai
Mere jis haath se kiya tha tu ne musafa
Dhoya hi nahi honton se laga rakha hai
Ab main samjha tere rukhsaar pe til ka matlab
Doulat-e-husn pe darban bitha rakha hai
Juda ho gaye hain tou phir kiya hua Sahil
Teri tasveer ko seenay mein saja rakha hai
HAQIQAT
Agar ye jaanna chaho
Koi kese bikharta hai..?
Bikhar kar kese jeeta hai..?
Chamman mein tum chale jana,
Khiza k sard mousam mein,
Wahan paton ko dekho tum,
Ya phir ek aainaa le lo,
Usay pathar pe de maaro,
Agar mushkil ho ye bhi to,
Ek phool le lena,
Hawa k dosh pe rakhnaa,
Tou phir tum jaan jao gay k,
Koi kese bikharta hai..
Agar ye bhi na ho tum se,
To mere paas aa jana,
Mera deedar kar lena,
Khabar ye ho hi jaey gi,
Koi kese bikharta hai.
"Un k andaz-e-karam, Un pe wo ana dil ka"
Haaye wo waqt, wo baatein, wo zamana dil ka
"Na suna usne tawajjo se fasana dil ka"
Umar guzri per dard na jana dil ka
"Dil lagi, dil ki lagi ban k mita deti hay"
Rog dushman ko bhi ya rab na lagana dil ka
"Wo bhi apne na howe dil bhi gaya haathon se"
Aesy aane se tou behtar hay na aana dil ka
"Unki mehfil me Parveen un k tabasum ki adaa"
Hum dekhte reh gaye haath se jana dil ka.
PATA NAHI KYUN?
Khuwab bikhar jate hain dhere dhere,
Saray log bichar jate hain dhere dhere,
Zabt karo to behtar hay warna,
Aanso zor pakar jate hain dhere dhere,
Sab irada kar ke sath chalte hain phir,
Raste badal jatay hain dhere dhere,
Jitnay paas hum kisi ke hote hain,
Utne fasle barh jate hain dhere dhere,
MAGAR
PATA NAHI KYUN?
Log badal jate hain dhere dhere.
"SOCH LENA" Soch samajh lena qadam uthanay se pehle
Kahin gir na jao manzil aanay se pehle
Ye aandhian bari berehm huwa karti hain
Ye soch lena koi diya jalanay se pehle
Apne aangan ko pholoon se sajaye rakhna
Phool sarey chun lena khizan aanay se pehle
Tumhare seeny mein bhi ik dil dharakta hai
Ye soch lena kisi ka dil dukhanay se pehle
Umar bhar kon kisi k liye rota hai Saqi
Log aansou bahatay hain dafnanay se pehle
Apne labon ko dushman-e-izhar mat bana
Sachey hein jo unhein gunahgaar mata bana
Jitney bhi lafz hein wo mehktey gulaab hein
Lehjay k farq se unhein talwaar mat bana
Ilzaam kuch tou gardish-e-ayam ko bhi de
Apne har ek ghum ko ghum-e-yaar mat bana
Har ek k liye khula mat rakh isey Qateel
Yeh dil ek ghar hay isey bazar mat bana
Ajab kurb ka aalam hay meri basti par
Ghata bhi chaai hay barsat bhi nahi hoti
Bohut kuch kehna hay tum se aaj magar
Silay hein hont koi baat bhi nahi hoti
Ajeeb rang badalta hay asar ka soraj
K shaam khafa hay or raat bhi nahi hoti
Main uski zaat ka hisa bhi ban nahi sakti
Juda us se meri zaat bhi nahi hoti
Tum jo hotay to mujhay kitna sahara hota
Main nay gheron ko na dukh mein pukara hota
Jitni shidat say wabasta tha mein tuj say
Kis tarha mera tere bagair guzara hota
Mujh ko yeh soch he kafi hay "Jalane k Liye"
Main na hota to koi or tumhara hota
Or hum baith k khamoshi say roye jatay Saqi
Shaam hoti sharab hoti or kisi darya ka kinara hota