Wo ojhal meri nigahon se kahan rehta hay
Wo ashk ban kar aankhon se rawan rehta hay
Kisi lamhay tanha honay nahi deti uski yaadein
Mere aangan mein melay ka samaan rehta hay
Har ghari dil ka daricha khula rakhtay hain
Har ghari us k aaney ka gumaan rehta hay
Log kehtay hain zakham bhar jatey hain aakhir
Zakham bhar jatey hain lekin nishaan rehta hay
Wo miley tou itna bata dena usko
Tujh bin tera ik shakhs preshaan rehta hay
Usy kehna tumhari yaad ka mosam nahi badla
Teri chahat k phoolo ki abhi tak khushbo nahi bikhri
Mery ander tumhari zat ka ehsas baqi hai
Tumhari dam se meri zindagi ki sans baqi hai
Usy kehna mosam to badlty rehte hain
Kabhi mosam bdalny se ye aankhain nam nahi hoti Mohabbat kam nahi hoti
Usy kehna mohabbat kam nahi hoti
Gulab rut mein haseen chehro humein btao udaas kyon ho
Dilon pe beeti kahaniyan sub humein sunao udaas kyon ho
Jo ranjishen dil mein pal rahi hain munafiqat mein jo dhal rahi hain
Bhula k shikway mitta k doori galay lagao udaas kyon ho
Kitab-e-dil k tamam safon py hum ne likha hay lifz mohabbat
Humein hamari wafa k aagay saza sunao udaas kyon ho
Fareb khana bhi mashgala hay fareb dena bhi mashgala hay
Tou dil k lutnay py kisa E maatam khushi manao udaas kyon ho
Kiya ajab, ahtisab apna tha
Jaan apni, azaab apna tha
Kuch mile log bhi zamana saaz
Kuch muqaddar kharab apne tha
Ye k mukhlis they hum mohabbat mein
Jurm bas ye janab apna tha
Ab kia karna us shakhs se gila kar k
Wo bhi tou intikhab apna tha
Masoom Si Mohabbat Ka Bus Itna Sa Fasana Hai
Kagaz Ki Haweli Hai, Baarish Ka Zamaana Hai
Kya Shart-e-Mohabbat Hai, Kya Shart-e-Zamana Hai
Aawaz Bhi Zakhmi Hai Aur Wo Geet Bhi Gana Hai
Uss Paar Utarne Ki Umeed Boht Kam Hai
Kashti Bhi Puraani Hai, Toofaan Bhi Aana Hai
Samajhe Ya Na Samjhe Wo Andaaz-e-Mohabbat Ka
Ek Shaks Ko Aankhon Se Ek
Apni baaton mein merey naam k hawaley rakhna
Mujh sy bichrey ho tou khud ko sabmbhaley rakhna
Log pochein gay kyun preshan ho tum
Kuch nigahon se kehna zubaan pe taaley rakhna
Na khoney dena merey beetay lamhon ko
Meri yaadon ko baray payar sy sambhaley rakhna
Main loat aaonga itna yaqeen hay mujh ko
Tum meri yaad ki shama jalaye rakhna
Phir daman-e-umeed wo phoolon se bhar gaya
Jaadu bhari nigah se jaadu sa kar gaya
Bus dekhtay hi dekhtay dunya badal gayi
Kuch sochtay hi sochtay chehra utar gaya
Be-taab be-qarar tha pehlay he dil bohat
Phir aap ka aana aur bhi be-taab kar gaya
Ik be-khudi ka naam mohabbat hay dosto
Chahat mein kis ko hosh hay kya kya guzar gaya
Kuch bhi pata nahi hay mohabbat mein MoHSiN
Kab raat subha ban gayi kab din guzar gaya
"Un k andaz-e-karam, Un pe wo ana dil ka"
Haaye wo waqt, wo baatein, wo zamana dil ka
"Na suna usne tawajjo se fasana dil ka"
Umar guzri per dard na jana dil ka
"Dil lagi, dil ki lagi ban k mita deti hay"
Rog dushman ko bhi ya rab na lagana dil ka
"Wo bhi apne na howe dil bhi gaya haathon se"
Aesy aane se tou behtar hay na aana dil ka
"Unki mehfil me Parveen un k tabasum ki adaa"
Hum dekhte reh gaye haath se jana dil ka.
Apni yaadein, apni baatein le kar jana bhool gaya
Jaane wala jaldi mein tha, mill kar jana bhool gaya
Mur mur kar dekha tha usne jaate raste mein
Jese usne kehna tha kuch, jo wo kehna bhool gaya
Waqt-e-rukhsat meri aankhein ponch raha tha aanchal se
usko ghum tha itna ziyada, khud wo rona bhool gaya
Tum kyun banay ho dil ka sahara jawab do
Ab kahan hay wo pyaar tumhara jawab do
Kis ko tha naaz apni adaaon pe her gari
Kis ne kiya wafa se kinara jawab do
Hum tou seh na sakenge judai ka ghum
Ye qoul tha mera k tumhara jawab do
Aik taraf zindagi, aik taraf mout hay
Ab kis taraf karoge ishara jawab do
Kisi ki aas ban kar phir usko tanha nahi kartay
Bhala kitni bhi mushkil ho magar aesa nahi kartay
Mohabbat mein shikayat ka kahan dastoor hota hay
Gila kar k mohabbat ko kabhi ruswa nahi kartay
Wafayen dar-haqiqat bari anmol hoti hain
Kabhi apni wafaon ka sila manga nahi kartay
Kuch is tarha se usay pyar karna parhta hay
K apne pyar se inkaar karna parhta hay
Kabhi kabhi tou wo itna qareeb hota hay
K apne aap ko deewar karna parhta hay
KHUDA ne usko atta ki hay wo maseehai
K khud ko jaan k beemar karna parhta hay
Wafa ki raah mein dushwariyan tou aati hain
Wafa ki raah ko humwaar karna parhta hay
Wo haath rakh k mere dil pe jab pochta hay
Tou mujh ko dard se inkaar karna parhta hay
Juda hone ka andesha, Juda hone se pehle tha
Wo mujh intehai khush, Khafa hone se pehle tha
Junoon ka daur guzra tou, Mujhe bhi bhool betha wo
Namaz-e-ishq tha lekin, Qaza hone se pehle tha
Main kese soch sakta tha, Mujhe wo chorr jaye ga
Bohut hi ba-wafa wo, Be-wafa hone se pehle tha
Bohat be-chain rehti hay tabiyat aik muddat se
Dil-o-jaan ko nahi mil paai rahat aik muddat se
Mujhe bhi rok rakha hay meri masroofiyat ne or
Nahi ki tum ne bhi milnay ki zehmat aik muddat se
Bohat majboor hoon warna bohat mehssos karta hoon,
Meri jaan tum se milnay ki zarorat aik muddat se
Kisi din aa k mil jao k apnali hay aankhon ne
Tumhari yaad mein ronay ki aadat aik muddat se
Bhulanay se jo bhuley na wo kahani chor jaongi
Zamanay mein teri aankhon mein paani chor jaonga
Lipat kar dair tak dar-o-dewaar se log royenge
Main aisi sog mein lipti jawani chor jaongi
Mitao ge kahan tak tum meri yaadein meri baatein
Main har ek mor par apni nishani chor jaongi
Mery ye lafz mar k bhi mujhy merne nahi denge
Main chup ho k bhi lehjy ki rawani chor jaongi
Kuch is tarha se niklon gi teri duya ko thukra kar
Main dushman k bhi chehray par herani chor jaongi
Ye barishain bhi tum si hain,
Jo baras gayi tou bahar hai
Jo thehar hayi tou qarar hain
Kabhi aa gayi yunhi bey sabab,
Kabhi chaa gayi yunhi roz-o-shab
Kabhi shor hai, Kabhi chup si hain
Ye barishain bhi tum si hain
Kisi yaad mein kis raat ko ik dabi hui si raakh ko
Kabhi yun hua k bujha dia
Kabhi khud se khud ko jala dia
Kahin boond boond mein gum si hain
Ye barishain bhi tum si hain
Zindagi ka sochta hoon na zamane ka sochta hoon
Main tou bas usse apna banane ka sochta hoon
Uss k rooth jane k andaz ki qasam
Woh rooth jaey tou manane ka sochta hoon
Uss ne na ki wafa tou koi gila nahi
Main uss se wafain nibhane ka sochta hoon
Wo mujh ko rulaaye tou koi baat nahi Faraz
Main ro kar bhi usse hansaane ka sochta hoon
Is karri Dhoop men jaltay Huay Paon ki Tarah
Tu kisi Aur k Aangan men Hay chaon ki Tarah
Tu to Waqif hy mere Jazbon ki Sachayi se
Phir Q khamosh hy pathar k Khudaon ki Tarah
Men to Khushboo ki Tarah saath Raha hon Tere
Tu bhatakta Raha bechain Hawaon ki Tarah
Wo jo Barbad huye Thy wohi Badnam Huye hain
Tum to Masoom rahe Apni Adaon ki Tarah
Gham to Ye hy k Humen koi khushi Raas nahi "Mohsin"
Zindagi kaat Rahay hain hum Sazaon ki tarah
Bikhri hay kuch is tarah mohabbat usay kehna
Aankhon mein utar ayi hay wehshat usay kehna
Kehna k tere baad se g lagta nahi hay
Be-chain si rehti hay tabiyat usay kehna
Aansoun se wazon kar k ye khamosh aankhein
Karti hein roz teri ibadat usay kehna
Ye soch k badnaam na ho jaon kisi din
Kar li tere shehar se hijrat usay kehna
Mehki hay phir mere aangan mein raat ki raani
Jaagi hay tere qurb ki hasrat usay kehna
Thumari yaad k manzar kabhi khonay nahi dete
Thumari yaad k saaye humein sonay nahi dete
Ye badal, phool aur khushbo bohut betaab karti hain
Agar rona bhi chahein hum kabhi ronay nahi dete
Hum apni saans de kar rok lete janay walon ko
Hamara bas agar hota, juda hone nahi dete
Nazar mein deed ki hasrat liye chup chaap bethay hain
Woh hum se door reh kar bhi humein jeenay nahi dete