Bol hawa, uss par zamanay kesaiy hain?
Ujray shehar mein yaar puranay kesaiy hain?
Chaand uterta hain ab kis kis aangan mein,
Kirnon se mehroom gharanay kesaiy hain?
Lab basta darwazon par kya beet gayi,
Galiyoon se mansoob afsaanay kesaiy hain?
Jin k jhurmat mein shaamain dam torr gaeen,
Wo pyaaray,pagal parwaanay kesaiy hain?
Mohsin hum tou khair khabar se dar guzray,
Apnay roothay yaar na janay kesaiy hain
Apni dharkanon sekuch aise mera naam lo,
Ye waqt ruk jaye is lamhay ko thaam lo
Teri aankhon mein jhalak hay aisi mere piyaar ki
Saahil pe jese dhalti haseen shaam ho
Lafzon se hota nahi izhaar humse piyaar ka
Bus meri aankhon mein dekh kar khud ko pehcchaan lo
Jese tarasta hay sehra shabnam k choonay ko Wasi
Kabhi wese rab se tum bhi mujhe maang lo
Hum par nafraton k teer barsate kyun ho
Saath raqibon k mil satate kyun ho
Do qadam saath chal k tanha chor dene walo
Phir saath jeene marne ki qasmein khate kyun ho
Jin ko sirf tumhare husn se gharz hoti hay
Un k naz nakhre phir tum uthate kyun ho
Mohabbat ki aar mein badnam karte hain jo tumhein
Un ki dobti naao ko kinare lagate kyun ho
Khud dobna hay tou auron ko bhi le dobo
Tan tanha apni zindagi kadiya bujhate kyun ho
Wahshion k des mein wafa kab milti hay
Apni qismat ko har bar aazmate kyun ho
Jin ko izzat ki zindagi raas nahi yaaro
Un ki khatir tum apni hasti ko mitate kyun ho
Bohut heran hota hon, kisi se jab ye sunta hon...
K tu raaton ko tanha dair tak taron ki chaon mein...
Ab aksar apne ghar ki chhat pe betha, khuwab bunta hai...
Main aksa sochta hon, Tu mile to tujh se ye pochon...
Andheron se tumhari dosti kasy hoi hamdam?
Tumhe to shaam ki purchairon se khof aata tha.
Gham-e-jana gham-e-doran say juda rakhtay thay
Hum mohabbat k fasano pay hansa kartay thay
Khudsari itni k khud ko hi samajhtay thay sab kuch
Bay-hissi aisi k dil torr diya kartay thay
Hum jo ruktay thay tu ruk jatay thay manzar saray
Hum jo chaltay thay tu mausam bhi chala kartay thay
Jab say dekha hai tujhay thaam k dil baithay hein
Ban gaye mom kabhi shola huwa kartay thay
Apny dil ki halat wo kisi ko dikhata na tha
Usey kya ghum tha wo kisi ko batata na tha
Khizan ka mousam jab se uska naseeb hy thehra
Usey jab se koi aur mousam bhata na tha
Logon ko hansanay k wastay zindagi bita di us ne
Kitna ajeeb tha wo shakhs khud muskurata na tha
Jany kis k intizaar mein betha raha subh-o-sham
Misl-e-morat bana wo palk bhi jhapkata na tha
Aaj reh reh kar yaad aya wo
Jo dua de kar bhi dua batata na tha
Jo hum se mansub ho chuki hon, Wo daastane sambhal rakhna
Meri amanat samaj kar, Beety dino ki yaaden sambal rakhna
In dino k liye jab me taweel Hijrat se lot aon
Udas shaamo mein sath dengi meri ghazlein sambhal rakhna
Siwaye teri talab k is dil mein koi b Aarzu nahi hai
Har ek jazba har ek dharkan har ek hasrat sambhal rakhna
Is dil ki hai bus yahi tamana tumhi se milna tumhi ko paana
Agar zara si ho dil mein chahat, meri wafain sambhal rakhna
Mohabbaton Ne Kaisa Kamaal Kar Dala
Humain Tou Udaasiyon Ki Misaal Kar Dala
Kabhi Milein Tou Pouchain Gay Ik Doojay Se
K Kis Ko Kis K Ghum Ne Nidhaal Kar Dala
Tu Bata Us Se Kya Kahon Gi Main
Meri Udaasi Pe Jo Kisi Ne Sawal Kar Dala
Suna Tha Zindagi Ka Safar Bohut Mushkil Hay
Aur Hum Ne Kar K Mohabbat Isay Or Bhi Muhaal Kar Dala
Kuch Hum Bhi Maum K Thay Or Kuch Tum Ne Bhi
Zindagi Ko Shoulon Ki Shaal Kar Dala
Mujhe or kahin le chalo
Jahan raat kabhi soi na ho
Jahan subha kisi pe roi na ho
Jahan hijr ne wehshat boi na ho
Jahan koi cheez kisi ki koi na ho
Jahan log hon sare begane
Jahan sab k sab hon deewane
Jahan koi jhoot ho na afsane
Jahan koi hum ko na pehchaane
Mujhe aur kahin le chalo
Jahan nafrat dil mein bas na sake
Jahan koi kisi ko dass na sake
Jahan koi kisi pe hans na sake
Mujhe aru kahin le chalo
Kiya ajab, ahtisab apna tha
Jaan apni, azaab apna tha
Kuch mile log bhi zamana saaz
Kuch muqaddar kharab apne tha
Ye k mukhlis they hum mohabbat mein
Jurm bas ye janab apna tha
Ab kia karna us shakhs se gila kar k
Wo bhi tou intikhab apna tha
Wohi sochain wohi batein wohi andaz ab bhi hay
Bohut bechain lagtay ho koi to raaz ab bhi hay
Main kaisay us ki yaadon or wadon se nigahe phairoon?
Wo mujh se roothnay wala mera hamraz ab bhi hay
Yeh tum ho is taaluq par preshaan or nadim bhi
Isi belos rishtay par mujhay to naaz ab bhi hay
Mujhy kisi k tasawur mein doob jany do,
Bohat nahin thora sa hi jal jany do
Janta hon mahabbat nahin mujh se usy
Magar main khush hon, mujh ko faraib khany do
Main bhool jaon usy, ye to ho hi nahin sakta
Wo bhoolta hy mujhy to bhool jany do
Meri wafayen kal usy bohat rulayen gi
Meri wafa pe usy aaj muskurany do
Huwa wo kaisy juda yaad kuch nahin aata
Main sochta hoon usy kuch to yaad aany do
Chalo aaj mohabat ki nai buniyad rakhte hen,
Khud paban rehte hen, unhein azad rekhte hen,
Humare khoon men rab ne yehi taseer rakhi hai,
Jafayen bhool jate hen, Wafaen yaad rakhte hen,
Ye soch kar k gustaakhi na ho jaye mohabat men,
Apna har qadam uske qadam k baad rakhte hen
Mujhko takdeer k hathon sy mila kuch bhi nahi
Or takdeer ny mujhko diya kuch bhi nahi
Hath thamo tou sitaron ko jhuka saktey hain
Warna hathon mein lakeeron k siwa kuch bhi nahi
Iska matlab hai k majboor bohat hai wo bhi
Khaali kaghaz mujhy aaya hai likha kuch bhi nahi
Apnay har ashk mein tum mujhko munakas kar k
Ye samajhtay ho k dunya ko pata kuch bhi nahi
Teri yaadon k sahary hain zinda warna
Jivan mein or is dil mein bacha kuch bhi nahi
Raah-e-wafa mein sazaaon ko kon dekhega,
Safar hay dhoop ka chaaon ko kon dekhega
Hum apni zid pe aaye tou cheen lenge usay,
Us k sheher ki lambi diwaaron ko kon dekhega
Uski bazm k hum wo chiraagh hein jana,
K jab jale tou hawaaoon ko kon dekhega
Bicher tou jayen magar phir khayaal aata hay
Uski in dilkash adaaon ko kon dekhega
Yaadon ka ik jhonka aya hum se milne barson baad
Pehley itna roye nahi thay jitna roye barson baad
Lamha lamha gher ujra hay tou hum ko ehsaas hua
Pathar aye barson pehlay sheshay tootay barson baad
Aaj humari khak pe dunya ronay dhonay bethi hay
Phool huay hain itnay sastay janay kitnay barson baad
Dastak ki umeed lagaye kab tak jeetay hum
Kal ka wada karney waley milnay aye barson baad
*Mujhe ab bhi mohabbat hai*
Tere qadmon ki aahat se,
Teri har muskurahat se,
Tere baaton ki khushbu se,
Teri aankhon k jaadu se,
Teri dilkash adaaon se,
Teri qaatil jafaon se,
*Mujhe ab bhi mohabbat hai*
Teri raahon mein ruknay se,
Teri palkon ke jhukny se,
Sehr-o-shaam haathon pe,
Tera hi naam likhny se,
Tere tesh-o-adawat se,
Teri be-jaa shikayat se,
Yahan tak ke sanam mery
Teri har ik aadat se,
*Mujhe ab bhi mohabbat hai*
Juda hone ka andesha, Juda hone se pehle tha
Wo mujh intehai khush, Khafa hone se pehle tha
Junoon ka daur guzra tou, Mujhe bhi bhool betha wo
Namaz-e-ishq tha lekin, Qaza hone se pehle tha
Main kese soch sakta tha, Mujhe wo chorr jaye ga
Bohut hi ba-wafa wo, Be-wafa hone se pehle tha
Tujhe ruswai ka darr hai, na aaya kar
Bicher jana hi behtar hai, na aaya kar
Kisi shaadaab kooche mein basa khud ko
Ye dil ujra hua ghar hai, na aaya kar
Guzar ja aayine jaisa badan le kar
Yahan har aankh pathar hai, na aaya kar
Mera dukh tum ko bhi ik din dabo de ga
Bohat gehra samandar hai, na aaya kar
[Main aur Meri Awargi]
Hum bhi kabhi abad thay
Aisy kahan barbad thay
Be fikr thay azad thay,
Masroor thay dilshad thay
Wo chal aisi chal gya,
Hum bujh gae dil jal gya,
Niklay jala k apna ghar,
"Main aur Meri Awargi"
Ye dil hi tha jo seh gya
Wo bat aisi keh gya
Kehnay ko phir kya reh gya
Ashkon ka darya beh gya
jab keh k wo dilber gya
Tere liye main mar gya
Roty hein us ko raat bhar
"Main aur Meri Awargi".....