Agar kaho tou haal dil sunaaon tumko
Tamaam umar saamne bithaaon tumko
Mere zakhmon ka haal poocho ager jaan-e-jaan
Tou ek ek zakhm ki tafseel sunaaon tumko
Mout ki neen se bhi gehri ek neend hoti hai
Tere baazoun ka ho takya tou dikhaaon tumko
Yehi dua hai k wo waqt aaye ek baar phir
Tum jo rootho tou haath jor kar manaaon tumko
Har shakhs mein mujhe ek raqeeb nazar aata hai
Bol ae mere hum nawa kis kis ki nazar se bachaaon tumko
"Meri taqdeer se pooch Meri qismat ka faisla"
"Meri muskurahat pe na ja Mere dard ko talaash kar"
"Meri aankhon se pooch Mere intezaar ki inteha"
"Mere itminaan pe na ja Mere sabar ko talaash kar"
"Mere pyaar se pooch Mere pyaar ka aalam"
"Meri soorat pe na ja Meri seeratko talaash kar"
Tum or kitna mujhey ishq mein barbad karo ge
Kareeb hay waqt judai phir mujhe yaad karo ge
Abhi tou har baat zamane ki maante ho tum
Kabhi dil ki suno ge tou mujhe yaad karo ge
Kis tarha pyaar se chehre ko dekhta hun tere
Khud ko aaine mein jo dekho ge tou mujhe yaad karo ge
Aaj jin raahon pe tera muntazir bana betha hon
Inhi raaston se guzro ge tou mujhe yaad karo ge
Kitne masoom ho kehte ho tumhein bhool jaon ga
Kuch waqt bhoolne se pehlay tou mujhe yaad karo ge
Usy kehna tumhari yaad ka mosam nahi badla
Teri chahat k phoolo ki abhi tak khushbo nahi bikhri
Mery ander tumhari zat ka ehsas baqi hai
Tumhari dam se meri zindagi ki sans baqi hai
Usy kehna mosam to badlty rehte hain
Kabhi mosam bdalny se ye aankhain nam nahi hoti Mohabbat kam nahi hoti
Usy kehna mohabbat kam nahi hoti
Kiya ajab, ahtisab apna tha
Jaan apni, azaab apna tha
Kuch mile log bhi zamana saaz
Kuch muqaddar kharab apne tha
Ye k mukhlis they hum mohabbat mein
Jurm bas ye janab apna tha
Ab kia karna us shakhs se gila kar k
Wo bhi tou intikhab apna tha
Tujhe ruswai ka darr hai, na aaya kar
Bicher jana hi behtar hai, na aaya kar
Kisi shaadaab kooche mein basa khud ko
Ye dil ujra hua ghar hai, na aaya kar
Guzar ja aayine jaisa badan le kar
Yahan har aankh pathar hai, na aaya kar
Mera dukh tum ko bhi ik din dabo de ga
Bohat gehra samandar hai, na aaya kar
Hum ne ulfat ka bharam sub se juda rakha hai
Goya seenay mein tujhy dil ki jagah rakha hai
Dil ye chahe k tu kabhi badnaam na ho
Dekh zikr tera hai magar naam chupa rakha hai
Mere jis haath se kiya tha tu ne musafa
Dhoya hi nahi honton se laga rakha hai
Ab main samjha tere rukhsaar pe til ka matlab
Doulat-e-husn pe darban bitha rakha hai
Juda ho gaye hain tou phir kiya hua Sahil
Teri tasveer ko seenay mein saja rakha hai
"Apny Dil Ko Sanbhalo Or So Jao,"
"Aansou Aankhon Mein Chupa Lo Or So Jao"
"Kuch Nahi Milta Ishq Mein Siwaye Is Kay,"
"Ghum Ki Barish Mein Naha Lo Or So Jao"
"Chor Do Ye Ratoon Ko Dair Tak Jagna,"
"Us Ki Yaad Dil Sy Mita Lo Or So Jao"
"Ishq Mein Hamesha Bewafai He Hoti Hay,"
"Ye Baat Zehn Mein Bitha Lo Or So Jao"
Sari raat ki jagi hui ankhein
College mein kia parhti hungi
Khul na jaey kahein raz-e-dil
Har Waqt es sy darti hungi
Janay kasay,Kidhar sy aey ga
Unkay Khaboon ka shezada
Chupkay chupkay jis k baray wo sochti hungi
Ansuon k sath janay kia un mein Chupa hey
Jis k khonay k dar sy hamisha wo hansti hungi
WAASI jab sy dikhi hein Sharmeeli si wo ankhein main ny
Tab sy soch raha hoon wo ankhein kis ko doondhti hungi
Main roney se darta hon
Juda honey se darta hon
Meri ankhain batati hein
K
Main soney se darta hon
Meri ungly pakar laina
Mujhey tanha nahein karna
Ye dunya aik maila hai
Is liay
Tumhein khoney se darta hon,
Jab hansta ho to
Q
Palkon k goshay bheeg jatay hein,
Tumhein maloom hai
Main is tarha roney se darta hon,
Ye jab se khuwab daikha hai,
Mujhe tum chor jao ge
Main darta hon khuwabon se,
Main ab sone se darta hon,
"Yun rah-e-wafa ki saleeb par, Tere 2 qadam uthane ka shukria"
"Bara pur khatar tha ye rasta, Tere laut jane ka shukria"
"Jo udaas hain tere hijr mein, Jinhein bojh lagti hay zindagi"
"Sar-e-bazm yun unko dekh kar, Tere muskurane ka shukria"
"Teri yaad kis kis bhais mein, Mery sher-o-nagme mein dhal gai"
"Ye kamal tha teri yaad ka, Mujhy yaad aaney ka shukria"
"Jo asool tha zamane bhar ka, Wo asool tu ne nibha diya"
"Yahi rasm thehri hay motabr, Mujhy bhool jane ka shukria"
Mera maqsad bithana tha use jane ki jaldi thi
Mujhe dukhrra sunana tha use jane ki jaldi thi
Nahi tha waqt pas us k sunta dastaan meri
Bara lamba fasana tha use jane ki jaldi thi
Bari mudat ki khuwahish thi magar piasi rahi yaro
Galay usko lagana tha use jane ki jaldi thi
Nahi thehra wo ik lamha, jo raatein thehr jata tha
Tauq to purana tha use jane ki jaldi thi
Main Wasi rokta kese k rukna tha kahan us ne
Usey har haal jana tha, Usey jane ki jaldi thi
Dil k lut jane ka izhar zrori to nahi
Ye tamasha sar-e-bazar zrori to nahi
Muje tha ishq teri roh se or ab b hai
Jism se koi srokar zrori to nahi
Main tujhe toot k chahon tu meri fitrat hai
To b ho mera talabgar zrori to nahi
Ay sitam kash zara jhank meri ankhon mein
Zuban se pyar ka izhar zrori to nahi
=>Wo kehta hai usay barish se mohabbat hai,
=>Magar jab barish hoti hai to chat k neechay aa jata hai
=>Wo kehta hai usay phool se mohabbat hai,
=>Magar jab phool khilta hai to usay torr leta hai
=>Wo kehta hai usay hawa se mohabbat hai,
=>Magar jab hawa chalti hai to khirkiyan band ker deta hai
=>Mujhe to tab tab darr lagta hai,
=>Jab wo mujh say kehta hai k mujhe tum se mohabbat hai
Tum apni ankhon ki kaali shaam mere naam kardo
Phir chahay jo ilzam mere naam kardo
Ik umer se tumhari chahat basi hai dil mein
Tum bhi apni har tamana mujhe daan kardo
Mein khuley asmaan taley khara hon
Tum apni mohabbat ki rida mujh par dhaal kardo
Mohabbat to hai iqrar ki muhtaaj
Tum apna har lafz har shair mere naam kardo
Na me paas usko bula saka~
~Na me dil ki baat bata saka~
~Wo hansi hansi me hi chal diya~
~K me hath tak na mila saka~
~U hi sochta raha door tak~
Magar usko kuch na bata saka~
~Ye maqaam hi tha ajeeb sa~
~K me khud ko b na bcha saka~
~Wo juda hua to kuch is tarah~
~Koi rasam tak na nibha saka~
~Usay jana tha wo chala gaya~
Usay aaj tak na bhula saka.
Aaj bhi tere liye dil mein chahatein baqi hain
Tujh se jo karni thi wo batein baqi hain
Kesay soch liya tum ne humain teri talab nahi
Dil mein utar k dekh ab bhi teri aarzoain baqi hain
Kabhi fursat milay tou aa kar dekh meray makan mein
Aaj bhi teri khushboo,
teri parchaiyan,
teri ranaiyan,
teri sargoshian,
teri chahatein,
teri aahatein baqi hain
Dekh mera zarf k main toot kar bhi bikhra nahi
Aankh mein aansu hein magar lab par muskurahatein baqi hain
Teri be-parda nigahonka nishana ban k
Khudse jhagra hoon bohat tera deewana ban k
Mujhe is tarah se na dekh teri zulfon ki qasam
Phir na reh paaunga main tujhse begana ban k
Neend Aankhon k dreeche se to hai door magar
Khawab Aate hain phir sone ka bahana ban k
Ye tlatum teri ulfat ka mere dil mein to hai
Khatam ho jaye na ye qissa fasana ban k
Is qadar chahna usko na raas aaya `Fazi`
Wo mere pas se guzra hai begana ban k
Chalo tum keh rahe ho to
Main wapis lot jata hon
Tumhain manzil mubarik ho
Naya sathi mubarik ho
Magar aye humdum-e-deirina
Mujh ko itna batla do
Ky wapis kis taraf jaon
Kahan se saath laye thay
Mujhe itna to samjha do
Agar aysa nahe mumkin
To mujh ko is tarha toro
Ky main yaksir bikhar jaon
Bhataknay se to behtar hai
Tumhary paas mar jaon
Aisa Niyaaz-e-Ishq Ne Saada Bana Diya
Hum Uss K Ho Gaye Ussay Apna Bana Diya
Taqdeer Ne, Falak Ne, Mohabbat Ne, Ishq Ne
Jis Ne Bhi Chaaha Mera Tamasha Bana Diya
Veeraaniyan Samait Kar Saray Jahan Ki,
Jab Kuch Na Ban Saka Tou Mera Dil Bana Diya
Ab Tum Mere Bano Na Bano Hai Tum Ko Ikhtiyaar
Taqdeer Ne Tou Mujh Ko Tumhara Bana Diya.