Phir daman-e-umeed wo phoolon se bhar gaya
Jaadu bhari nigah se jaadu sa kar gaya
Bus dekhtay hi dekhtay dunya badal gayi
Kuch sochtay hi sochtay chehra utar gaya
Be-taab be-qarar tha pehlay he dil bohat
Phir aap ka aana aur bhi be-taab kar gaya
Ik be-khudi ka naam mohabbat hay dosto
Chahat mein kis ko hosh hay kya kya guzar gaya
Kuch bhi pata nahi hay mohabbat mein MoHSiN
Kab raat subha ban gayi kab din guzar gaya
Yaad-e-maazi mein jo aankhon ko saza di jaye
Is se behtar hay k har baat bhula di jaye
Jis se thori si bhi umeed ziada ho kabhi
Aisi har shama sar-e-shaam jala di jaye
Main ne apnon k rawayoun se ye mehsoos kiya
Dil k aangan mein bhi diwaar utha di jaye
Main ne yaron k bicherne se ye seekha Sehar
Apny dushman ko bhi jeene ki dua di jaye
Shareek-e-ghum huwa jo meray chhot khanay k baad
Kho diya main ne us panay k baad
Mujhy naaz raha raqat us amal par sada
Usnay mujhy apna mana aazmanay k baad
Suna hay tarap raha hay wo meri wafa k liye
Shayad pachta raha hay mujhy thukranay k baad
Aaj youn hi sar-e-raah us sy nazar ja mili
Wo ro diya mujh se nazar milanay k baad
Kis kis ko doun ilzaam bewafai ka
Har koi chor gaya mujh ko apnanay k baad
Jab udas ho to gunguna lena mujhko,
Jab tumhara koi na bane to apna bana lena mujhko
Kabhi agar socho k tum se ziyada tumhen kon chahta hai,
To apne naam k sath phir se dohra lena mujhko
Hansne k liye to mil jayen ge hazaron tum ko,
Jab rone k liye na mile koi kandha to bula lena mujhko.
Is shehar k logo ki ya aadat purani lagti hay
Kisi k jazbaton se khelna in ko nadani lagti hay
Jidhar dekho ek gham ka aalam milta hay
Har diwaane ki dastan kuch apni kahani lagti hay
Wo kya jane mohabbat ek nemat hay yaro
Jinko logon ki sirf surat hi suhani lagti hay
Hain tutey kuch jazbaat k mehel aisey
Gulshan ko bhi dekho tou verani lagti hay
karta hay shayad yaad wo ab bhi humein yaro
Ye dil ka dharakna is baat ki nishani lagti hay
HAQIQAT
Agar ye jaanna chaho
Koi kese bikharta hai..?
Bikhar kar kese jeeta hai..?
Chamman mein tum chale jana,
Khiza k sard mousam mein,
Wahan paton ko dekho tum,
Ya phir ek aainaa le lo,
Usay pathar pe de maaro,
Agar mushkil ho ye bhi to,
Ek phool le lena,
Hawa k dosh pe rakhnaa,
Tou phir tum jaan jao gay k,
Koi kese bikharta hai..
Agar ye bhi na ho tum se,
To mere paas aa jana,
Mera deedar kar lena,
Khabar ye ho hi jaey gi,
Koi kese bikharta hai.
Wo ik shakhs jo hamain zindagi sy peyara hay
Baghair us k viraan ye jahan sara hay
Wo nahi janta k us ki zaat kiya hay
Wohi tou hay jo muhabbat ka ik sitara hay
Nahi milta tou dil ki halat ajeeb hoti hay
K is mein mera nahi dil ka kasoor sara hay
Wo apni sub baton ko chup chup k beyan karta hay
Yehi tou ada hay jis ny hamain mara hay
Wo kya tha, kya hay, kya hoga, kya khabar?
Yehi pata hay k wo jesa bhi hay bus hamara hay
Teri chahat mein guzarti meri her shaam hai
Mere dil se nikli hui her dua tere naam hai
Ab mujhko ilzaam na do bewafai ka
Mere haathon ki lakeeron mein wafa aam hai
Qadar poucho us se jo karte hein mohabbat ki pooja
Sirf tere shehar mein mohabbat meri badnaam hai
Apni jaan ka nazrana kese karte paish tujhko
Tere ishq mein her saans jo meri neelaam hai
Kese chhor den tanha zindagi k safar mein
Tere bagair tou meri zindagi gumnaam hai
Apne labon ko dushman-e-izhar mat bana
Sachey hein jo unhein gunahgaar mata bana
Jitney bhi lafz hein wo mehktey gulaab hein
Lehjay k farq se unhein talwaar mat bana
Ilzaam kuch tou gardish-e-ayam ko bhi de
Apne har ek ghum ko ghum-e-yaar mat bana
Har ek k liye khula mat rakh isey Qateel
Yeh dil ek ghar hay isey bazar mat bana
Mera maqsad bithana tha use jane ki jaldi thi
Mujhe dukhrra sunana tha use jane ki jaldi thi
Nahi tha waqt pas us k sunta dastaan meri
Bara lamba fasana tha use jane ki jaldi thi
Bari mudat ki khuwahish thi magar piasi rahi yaro
Galay usko lagana tha use jane ki jaldi thi
Nahi thehra wo ik lamha, jo raatein thehr jata tha
Tauq to purana tha use jane ki jaldi thi
Main Wasi rokta kese k rukna tha kahan us ne
Usey har haal jana tha, Usey jane ki jaldi thi
Na me paas usko bula saka~
~Na me dil ki baat bata saka~
~Wo hansi hansi me hi chal diya~
~K me hath tak na mila saka~
~U hi sochta raha door tak~
Magar usko kuch na bata saka~
~Ye maqaam hi tha ajeeb sa~
~K me khud ko b na bcha saka~
~Wo juda hua to kuch is tarah~
~Koi rasam tak na nibha saka~
~Usay jana tha wo chala gaya~
Usay aaj tak na bhula saka.
Bohut heran hota hon, kisi se jab ye sunta hon...
K tu raaton ko tanha dair tak taron ki chaon mein...
Ab aksar apne ghar ki chhat pe betha, khuwab bunta hai...
Main aksa sochta hon, Tu mile to tujh se ye pochon...
Andheron se tumhari dosti kasy hoi hamdam?
Tumhe to shaam ki purchairon se khof aata tha.
"Ghum-o-dukh k ye isharay tm na samjo gay"
"Jo din hmne tmharay bin guzaray tm na samjo gay"
"Tmhen kesay batayen tm hmaray wastay kya ho"
"Samandr ki kahani mein kinaray tm na samjo gay"
"Bus itna jan lo ek shakhs say hmne mohobbat ki"
"Hmaray tootnay ka khel pyaray tm na samjo gay"
"Hazaron mushkilon say khel kr b jeetnay walay"
"Ye aakhir kis jaga pr aa k haaray tm na samjo gay"
Mujh mein doob jao k meri gehraiyon ka pata chale
Mere dard ki shiddat meri tanhaiyon ka pata chale
Aise to har roz wafa k naam par toote hain dil
Mujh ko bhi chaho k meri bewafaiyon ka pata chale
Ye or baat k lafz mere ho kar nahi rehte
Phir bhi pucho koi sawal k meri sachiyon ka pata chale
Chalo aaj mohabat ki nai buniyad rakhte hen,
Khud paban rehte hen, unhein azad rekhte hen,
Humare khoon men rab ne yehi taseer rakhi hai,
Jafayen bhool jate hen, Wafaen yaad rakhte hen,
Ye soch kar k gustaakhi na ho jaye mohabat men,
Apna har qadam uske qadam k baad rakhte hen
Beqarar Mosum Mein
Yaad K Jharokon Se
Phir Tumhi Se Milne Ki
Dil Mein Kitni Khowahish Hay
Jo Udas Rakhti Hay
Aaj Kal january Ki
Phir Udas Shamein Hn
In Ujaarr Aankhon Mein
Zard Zard Raatein Hain
Barishon K Mosum Mein
Toot Phoot Jate Hain
Jab Bhi Yaad Aatey Ho
Khud Ko Bhool Jate Hain.!
Thokar lagi tou, Apne muqadar pe ja gira
Phir yun huwa k, Aaina pathar pe ja gira
Ehsaas-e-Farz jab bhi huwa, Neend aa gayi
Chalna tha pul-saraat pe, Bister pe ja gira
Baazi mohabbaton ki jahaalat ne jeet li
Wo ban gaya khateeb, Jo mimber pe ja gira
Khushbu qasoor-waar nahi, is ko chor do
Main phool torte huwe kantoon pe ja gira
Sahraaon mein liye phirta raha paani ki justaju
Jab piyas mar gayi to, Samudar pe ja gira
Hone lagi nafraten muhabaton k shehar mein
Hum huey bohat ruswa mohabaton k shehar mein
Kal raat ek darvesh bhoka hi so gaya
Kese rehtay hen log mohabaton k shehar mein
Kisi ne piyar diya na kisi ne ehsaas kiya
Aik majnu mar gaya mohabaton k shehar mein
Gulab hont shagofta chehray gaye kahan
Kyun band pare hein ye makaan mohabaton k shehar mein
Tum ne kyun likh di hay mohabaton pe ghazal
Jise parhta nahi koi mohabaton k shehar mein
Nahi mumkin andheron mein chiraghon ka bhuja dena,
Bohat mushkil hay meri jaan tumhein dil sy bhula dena
Tumhein ik din sataen gay meri chahat k sub jazbe,
Meri ghazlein meri nazmein mere khat bhi jala dena
Kabhi jo yaad aaon mein tumhein fursat k lamhon mein
Haseen hathon sy kaghez par mujhe likhna, mita dena
Mujhe ehsas-e-ulfat tum enayat kyun nahi karty,
Meri izzat to karty ho muhabbat kyun nahi karty
Ye sary log kehty hain k tum chachal tabiyat ho,
Magar tum saamny meray shrarat kyun nahi karty
Jo apni guftugu mein phool tum takseem karty ho,
Kabhi in phoolon ko mujh par nichawar kyun nahi karty