Door reh kar kareeb kitnay hein,
Faslay bhi ajeeb kitnay hein
Dard-E-dil ki dawa nahi warna,
Es jahan mein tabeeb kitnay hein
Umer bhar sath jo rahay teray,
Us k achay naseeb kitnay hein
Kyun na aaye tum meray sapno mein,
Meray shikaway bhi ajeeb kitnay hein
Bikharti rait per kis naqsh ko aabad rakhey gi,
Wo mujhko yaad rakhey bhi to kitna yaad rakhey gi
Usay buniyad rakhni hay abhi dil mein mohabbat ki,
Magar ye sang seenay per wo meray baad rakhey gi
Palat ker bhi nahi dekhi uski ye be-rukhi hum ne,
Bhula den gey usay aisa k wo bhi yaad rakhey gi
Chalo ik nazm likhte hain,
Kisi k naam karte hain,
Magar ye sochna hai ab,
K us mein zikr kis ka ho,
K us mein baat kis ki ho,
K us mein zaat kis ki ho,
Aur ye bhi farz karte hain,
K jis pe nazm likhte hain,
Humain us se mohabbat hai,
Humare sare jazboon ko,
Bas us ki hi zarorat hai,
Chalo ik kam karte hain,
K hum jo nazm likhte hain,
Tumhare nam karte hain,
Tum hi unwan ho is ka,
Tumhara zikr hei is mein,
Tumhari baat hei is mein,
Tumhari zaat hei is mein,
Tu jahan rahey, mer duaon ki chaon ho
Wo koi shehar ho ya gaon ho
Tere ankh mein nami na ho
Kisi shay ki tujhko kami na ho
Tujhe jo lage wo nazar na ho
Kis dukh ko teri khabar na ho
Teri rah mein qos-e-qazah rahey
RAzi tujh se rab ki raza rahey
Khushi tere paon ki dhool ho
Dua meri ya qabool ho (Ameen)
Teri be-parda nigahonka nishana ban k
Khudse jhagra hoon bohat tera deewana ban k
Mujhe is tarah se na dekh teri zulfon ki qasam
Phir na reh paaunga main tujhse begana ban k
Neend Aankhon k dreeche se to hai door magar
Khawab Aate hain phir sone ka bahana ban k
Ye tlatum teri ulfat ka mere dil mein to hai
Khatam ho jaye na ye qissa fasana ban k
Is qadar chahna usko na raas aaya `Fazi`
Wo mere pas se guzra hai begana ban k
Tum ne tou keh dia mohabbat nahi mili
Mujh ko tou ye bhi kehnay ki mohlat nahi mili
Neendon k dys jaty koi khuwaab dekhay
Lekin diya jalanay se fursat nahi mili
Tujh ko khair shehar k logon ka khauf tha
Or mujh ko apne ghar se ijazat nahi mili
Phir ikhtilaaf-e-raye ki sorat nikal pari
Apni yahan kisi se bhi aadat nahi mili
Bezaar youn huway k tere ehad mein humain
Sub kuch mila sakoon ki daulat nahi mili
Hum Se Daikhi Nahi Jati Yeh Veerani Dil Ki
Koi Samjha Hai Na Samjhay Ga Kahani Dil Ki
Tamana Ishq Ki Barbaad Kar Gayi Hum Ko
Hum Jisay Aab Bhi Kehte Hain Nadani Dil Ki
Jab Bhi Daikha Usan Dharkan Na Phir Sambhal Payi
Ab Bhi Mansoob Ussi Se Hai Rawani Dil Ki
Hum Na Badlay Magar Dunya Badal Gayi
Wohi Dil Hai Wohi Aadat Hai Purani Dil Ki
In tamam haseen ruton ko tumhary naam kar doon
Tumhary payar mein ye umar apni tamam kar doon
Jalta hay jo suraj mahboob ki tallash mein
Us ki tapish ko tumhary liye gulay aam kar doon
Zindagi bhar khoya rahon tery shehar mein
Jee chahta hay in raaton ko gumnaam kar doon
Daikho jo aik dafa payar sy meri taraf
Tumhari chahat mein paish apni jaan kar doon
Aik dafa daikho tum meri chahat ko
In sahraon ko tery liye gulistaan kar doon
Kahin tum apni qismat ka likha tabdeel kar lete
Tau shayad hum bhi apna raasta tabdeer kar lete
Agar hum waqai kam hosla hote mohabbat mein
Marz barhne se pehle hi dawa tabdeer kar lete
Tumhari tarah jeene ka hunar aata tau phir shayad
Makaan apna wohi rakhte pata tabdeel kar lete
Nahi mumkin andheron mein chiraghon ka bhuja dena,
Bohat mushkil hay meri jaan tumhein dil sy bhula dena
Tumhein ik din sataen gay meri chahat k sub jazbe,
Meri ghazlein meri nazmein mere khat bhi jala dena
Kabhi jo yaad aaon mein tumhein fursat k lamhon mein
Haseen hathon sy kaghez par mujhe likhna, mita dena
Apni khushian luta kar us pe qurban ho jaon...
Kash kuch din us shehar mein mehman ho jaon,
Wo apna nayab dil mujh ko de de aur phir mange,
Main mukar jaon aur be-imaan ho jaon,
Wo mujh pe sitam kare har kisi ki tarha,
Main is ada par bhi meharban ho jaon,
Wo mere paon k neeche se zameen khainch le,
Aur phir main us ka aasman ho jaon,
Ab tou mujhe itni muhabat ho gai hai us se k,
Khuda koi mojzaa kare aur main us k naam ho jaon.
Mily Jahan se kisi ko kanTay kisi k Hissy GuLaB ThehrY,
Jise wo Chahy NawazTa hai Ye mere Rab k HisaB thehrY,
Bara rahim-o-karim hai wo jise De dey us ki marZi,
Kisi k Hissay Sawab Likh dy kisi Hissy AzaB ThehrY,
ye ApNi TaQDir se miLa hai kis ko DariYa kisi ko SehRa,
Koi TaRasTa hai BoonD-BhaR ko kisi k HissY SairaB ThehrY,
Koi Din mei SapNaY DaikhY kisi se Neendain bhi Door,
Kisi k HissY Raat JaGaY to kisi k Hissy mei khuwaB ThehrY,
Tujhe ruswai ka darr hai, na aaya kar
Bicher jana hi behtar hai, na aaya kar
Kisi shaadaab kooche mein basa khud ko
Ye dil ujra hua ghar hai, na aaya kar
Guzar ja aayine jaisa badan le kar
Yahan har aankh pathar hai, na aaya kar
Mera dukh tum ko bhi ik din dabo de ga
Bohat gehra samandar hai, na aaya kar
Hum par nafraton k teer barsate kyun ho
Saath raqibon k mil satate kyun ho
Do qadam saath chal k tanha chor dene walo
Phir saath jeene marne ki qasmein khate kyun ho
Jin ko sirf tumhare husn se gharz hoti hay
Un k naz nakhre phir tum uthate kyun ho
Mohabbat ki aar mein badnam karte hain jo tumhein
Un ki dobti naao ko kinare lagate kyun ho
Khud dobna hay tou auron ko bhi le dobo
Tan tanha apni zindagi kadiya bujhate kyun ho
Wahshion k des mein wafa kab milti hay
Apni qismat ko har bar aazmate kyun ho
Jin ko izzat ki zindagi raas nahi yaaro
Un ki khatir tum apni hasti ko mitate kyun ho
Main nahi hon apny wajood mein, Mujhy janay kis ne chura liya
Mere saath rehta hay ek shakhs, Koi jaadu us ne chala diya
Meri rooh mein woh sama gaya, Mujhe ishq karna sikha diya
Meri zindagi wo ban gaya, Mujhe jeena us ne sikha diya
Main tou khud se bhi tha na aashna, Mujhe mujh se us ne mila diya
Meri zindagi ko badal diya, Mujhe khush naseeb bana diya
Tanha rehna seekh raha hoon
Mar k jeena seekh raha hoon
Paa k khona seekh raha hoon
Kho k pana seekh raha hoon
Sabr ko apni raah bana kar
Kaanch pe chalna seekh raha hoon
Phirty phirty sehra sehra
Pyaas ko peena seekh raha hoon
Jeeny ko hein ajab taqazy
Zinda rehna seekh raha hoon
Mohabbat jis se ho jaye, Ussey takleef mat dena
Wo chaahe dukh hazaron de, Ussey takleef mat dena
Kabhi tum chaand se kehna, Kabhi taaron se apna ghum
Agar wo sun nahi paaye, Ussey takleef mat dena
Tumhein us shakhs ki galiyon chaahe maut aa jaye
Wo milne se jo katraye, Ussey takleef mat dena
Reza kanch ki surat mein bikhar jata hun
Main teri yaad mein jab had sy guzar jata hun
Ab gurezan hai wo milnay se jo kehta tha kabhi
Tum se miltay hi main kuch or nikhar jata hun
Roz khata hun tujay yaad na karnay ki qasam
Roz wadon sy main apnay hi mukar jata hun
Muh ko tamasha bana dia hai mohabbat ne teri
Log kastay hain awazien main jidhar jata hun
Har gham pe khaya hai mohabbat ka dhoka
Ab koi pyar se bulata hai to dar jata hun
Udas Mosam mein muskrana
Na Tere Bas Mein
Na Mere Bas Mein
Judai k rog ko chupana
Na Tere Bas Mein
Na Mere Bas Mein
Wo fasl-e-gul to ab dhal chuki hy
Chita Mohabbat ki jal chuki hy
Wafa ki maiyt ko ab uthana
Na Tere Bas Mein
Na Mere Bas Mein
Wo pyar k pal Wo chan raten
Wo dil nashen phool jesi baten
Haseen yaadon ko bhool jana
Na Tere Bas Mein
Na Mere Bas Mein
Aaj bhi tere liye dil mein chahatein baaqi hein
Tujh se jo karni thi wo baatein baaqi hein
Kesy soch liya tum ne humein teri talab nahi
Dil mein utar k dekh ab bhi teri aarzoen baaqi hein
Kabhi fursat miley to aa kar dekh mery kakaan mein
Aaj bhi teri khushboo, teri parchaiyan, teri ranaiyan, teri sargoshian, teri chahatein, teri aahatein baaqi hein
Dekh mera zarf k main toot kar bhi bikhra nahi
Aankh mein aansoo hein magar lab par muskurahatein baaqi hein