Jo Ho Ik Baar Voh Har Baar Ho Aisa Nahi Hota
Hamesha Ek Hi Se Pyar Ho Aisa Nahi Hota
Har Ek Kashti Ka Apna Tajurba Hota Hai Dariya Mein
Safar Mein Roz Hi Manjhdhar Ho Aisa Nahi Hota
Sikha Deti Hain Chalna Thokrein Bhi Raahgiro Ko
Koi Rasta Sada Dushwar Ho Aisa Nahi Hota
Kahi To Koi Hoga Jiski Apni Bhi Zaroorat
Har Ik Baazi Mein Dil Ki Haar Ho Aisa Nahi Hota
Hum Jaise Musafiron Ka Safar Intezaar Hai
Sabhi Khidkiyon Ke Saamne Lambi Katar Hai,
Vhamkili Sabj Aankhe Bahut Door Ja Chuki
Kin Ghantiyon Ka Raston Ko Intezar Hai,
Aawaj Fadfada Ke Wahin Dafan Ho Gayi
Seene Mein Shayad Koi Bijli Ka Taar Hai,
Suraj Kalam Sar Hai Jamin Ke Sahid Ka
Yeh Dhoop Uske Jard Badan Ki Bahar Hai,
Aayi Ninda Woh Udte Sitare Udhar Mude
In Baadliyon Ke Pichhe Koi Pahad Hai…
Ab Dil Hai Mukam Bewkasi Ka,
Yun Ghar Na Tabah Ho Kisi Ka,
Rona Hai Ab Us Hansi Khusi Ka,
Maatam Hai Bahare Zindagi Ka,
Fir Dekhte Aisoaaram Aadmi Ka,
Banta Jo Falak Meri Zindagi Ka,
Jeete Hain Kis Ki Aas Par Ham,
Ahsaan Hai Aisi Zindagi Ka,
Ghera Hai Hazume Gham Ne Itna,
Armaan Hai Mujhko Bakasi Ka,
Aagaaj Ko Kounpuchhta Hai,
Anjaaam Achha Ho Aadmi Ka…
Apne College Mein Bahut Magroor Jo Mashoor Hai,
Dil Mera Kahta Hai Us Ladki Mein Hai Chahat Bahut,
Unke Chehre Chand Taaron Ki Tarah Roshan Huye,
Jin Garibon Ke Yahan Husn E Kifayat Hai Bahut,
Hum Se Ho Sakti Nahin Duniya Ki Duniya Dariyan,
Ishq Ki Deewar Ke Shaaye Mein Rahat Hai Bahut,
Dhoop Ki Chadar Mere Suraj Se Kahna Bhej De,
Gurbaton Ka Dour Hai Jaadon Ki Musibat Hai Bahut,
Un Andheron Mein Jahan Sahmi Huyi Thi Yeh Jamin,
Raat Se Tanha Lada Jugnu Mein Himmat Hai Bahut…
Woh Keh Ke Chal Diye Ki Itni Mulaqaat Bahut Hai,
Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bahut Hai,
Aansu Mere Tham Jayein To Phir Shoq Se Jana,
Aise Main Kaun Mujhe Sambhalega Barsaat Bahut Hai,
Wo Kehne Lage Jana Mera Bahut Zaroori Hai,
Nahi Chahta Dil Todun Tera Par Majboori Hai,
Gar Huyi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena,
Maine Kaha Ho Jao Chup Itni Kahi Baat Bahut Hai,
Samajh Gaya Hun Sab Aur Kuch Kehna Zaroori Nahi,
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jaun,
Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai,
Phir Kabhi Na Aaunga Tumhari Zindagi Mein,
Lout Ke,
Saari Zindagi Ki Tanhai Ke Liye, Aaj Ki Raat
Bahut Hai…
Safar Mein Dhoop Toh Hogi Jo Chal Sako Toh Chalo,
Sabhi Hain Bheed Mein Tum Nikal Sako Toh Chalo,
Yahan Kisi Ko Koi Rasta Nahin Deta,
Mujhe Gira Ke Tum Sambhal Sako Toh Chalo,
Har Ek Safar Ko Hai Mahfooj Raasto Ki Talash,
Hifajato Ki Ravayaj Badal Sako Toh Chalo,
Yahi Hai Zindagi Kuchh Khwab Chand Ummiden,
Inhi Khilono Se Tum Bhi Bahal Sako Toh Chalo,
Kisi Ke Waste Rahein Kahan Badlati Hain,
Tum Apne Aapko Khud Hi Badal Sako Toh Chalo…
Mohabbat Se, Inayat Se, Wafa Se, Chot Lagti Hai
Bikhrata Phool Hun Mujhko Hawa Se Chot Lagti Hai,
Meri Aankho Mein Aansu Ki Tarah Ek Raat Aa Jao
Taklluf Se Banavat Se Ada Se Chot Lagti Hai,
Main Sabnam Ki Jubaa Se Sabnam Ki Aawaj Sunta Hu
Ajab Ahsas Hai Apna Sada Se Chot Lagti Hai
Tujhe Khud Apni Majboori Ka Andaja Nahin Shayad
Na Kar Ahad E Wafa, Ahad E Wafa Se Chot Lagti Hai…
Chup Ho Gaya Hu Aapki Soorat Ko Dekhkar,
Karni Thi Aapse Mujhe Kitni Sikayate,
Naaj Yeh Ke Bada Sabr Mohabbat Main Kiya,
Puchhiye Sabr Na Karte Toh Bhala Kya Karte,
Chalo Achha Huaa Kaam Aa Gayi Deevanagi Apni,
Varna Jamane Bhar Ko Samjhane Kahan Jaate,
Kasoor Aankho Ka Tha Chhuri Dil Par Chal Gayi,
Dekhkar Tere Husn Ko Tabiyat Machal Gayi….
Koi Jata Hai Yahan Se Na Koi Aata Hai
Yeh Diya Apne Andhere Mein Ghut Jata Hai,
Sab Samjhte Hain Wohi Raat Ki Kismat Hoga
Jo Sitara Ki Bulandi Par Najar Aata Hai,
Main Isi Khoj Mein Badta Hi Chala Jata Hu
Kiska Anchal Hai Jo Parbaton Par Lahrata Hai,
Meri Aankhon Mein Ek Badal Ka Tukda Shayad
Koi Mousam Ho Sahr E Sham Baras Jata Hai,
De Tasalli Koi Toh Aankh Chhalak Udhti Hai
Koi Samjhaye To Dil Aur Bhi Bhar Jata Hai…
Woh Keh Ke Chal Diye Ki Itni Mulaqaat Bahut Hai,
Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bahut Hai,
Aansu Mere Tham Jayein To Phir Shoq Se Jana,
Aise Main Kaun Mujhe Sambhalega Barsaat Bahut Hai,
Wo Kehne Lage Jana Mera Bahut Zaroori Hai,
Nahi Chahta Dil Todun Tera Par Majboori Hai,
Gar Huyi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena,
Maine Kaha Ho Jao Chup Itni Kahi Baat Bahut Hai,
Samajh Gaya Hun Sab Aur Kuch Kehna Zaroori Nahi,
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jaun,
Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai,
Kuch Ajab Shaan Se Logon Mein Raha Karte The,
Hum Khafa Reh Ke Bhi Aapas Mein Mila Karte The,
Itni Tehzeib Rah-O-Rasm To Baaki Thi Ke Wo,
Laakh Ranjish Sahi Wada To Wafa Karte The,
Usne Poocha Tha Kai Baar Magar Kiya Kahiye,
Hum Mizajann Hi Pareshaan Raha Karte The,
Khatam Tha Hum Pe Mohabbat Ka Tamasha Gaya,
Rooh Or Jism Ko Har Roz Juda Karte The,
Mohabbat Ho Gayi Jinse ,
Unse Sikayat Kya Hogi,
Jubaan Tak Baat Jo Aayi ,
Yakinan Woh Dua Hogi,
Agar Woh Rooth Gaye Mujhse,
Koi Meri Hi Khata Hogi,
Ki Thi Suruaat Ek Chhote Se Majak Se,
Majak Dard Ban Jaayega, Maalum Na Tha,
Samajhte The Jise Hum Apna Yaar,
Woh Ek Din Pyar Ban Jaayega, Maalum Na Tha…
Uska Koi Imaan Nahi, Mere Zakhmo.N Ka Koi Darmaan Nahi
Mohabbat To Thi Usse, Magar Shayad Isme Wo Parwaan Nahi
Har Lamha Jiski Yaad Me Guzra, Banke Shama Qatra-Qatra Pighla
Baya.N Karu.N To Kaise Uski Bewafayi, Uske Liye Mere Paas Zubaan Nahi
Agar Wo Bhi Chahti Thi Mujhko, Agar Usko Bhi Mujhse Mohabbat Thi
To Kyu.N Uske Naam Ke Sath, Koi Leta Mera Naam Nahi?
Dil Ko Mere Tukdo.N Me Badal Diya, Armaano Ko Patjhad Bana Diya
Par Jaan Le Tu Bhi Ek Baat, Mujhse Bewafayi Me Teri Koi Shaan Nahi
Dil Pe Tooti Tasveer Ko Saja Diya, Rango Ki Kami Thi Laga Diya
Par Bhool Gaya Wo Tasveer Teri Thi, Usne Bhi Kaha Ye Koi Ehsaan Nahi
Parinde Bhi Yun Bewafa Nahi Hote, Jis Shaakh Pe Baithen Use Nahi Todte
Toone Jitne Zakhm Diye Mujhko, Unhe Dekhkar Dil Kahta Hai Tu Insaan Nahi
Kaise Bhula Du.N Har Lamha, Kaise Bujha Du.N Wo Sulagta Dhuaa.N
Kaise Karlu.N Yaado.N Ko Dafan, Ye Dil Hai Mera Koi Qabristaan Nahi
Bahar Banke Mili Thi Mujhse, Patjhad Bana Kar Chali Gayi
Savan Ke Tha Intezaar Me, Par Wo Bhi Bola Ab Teri Koi Pahichaan Nahi
Meri Chahat Thi Bas Tu, Mere Sapno Me Thi Bas Tu
Sare Sapne Toot Gaye, Dil Kehta Hai Ab Koi Armaan Nahi
Subah Se Shaam Guzaar Deta Hun, Raato.N Ko Ashqo.N Se Sanwaar Deta Hun
Log Mujhe Laash Kahte Hai To Kya Galat, Jab Mere Paas Meri Jaan Nahi
Zakhmo Pe Marham Kiska Lagau.N, Ek Se Bewafayi Mili Ab Kisse Paau.N
Yaaro Mohabbat Karne Ki Baat Na Karo, Is Khel Se Main Anjaan Nahi
SAHIL Ko Tu Azad Kar De, Khud Se Door Zindagi Abad Kar De
Jaanta Hun Meri Ruh Hai Tu, Aur Ruh Bin Jeena Koi Aasan Nahi
Mom, You’re A Wonderful Mother,
So Gentle, Yet So Strong.
The Many Ways You Show You Care
Always Make Me Feel I Belong.
You Are Patient When I’m Foolish;
You Give Guidence When I Ask;
It Seems You Can Do Most Anything;
You’re The Master Of Every Task.
You’re A Dependable Source Of Comfort,
You’re My Cushion When I Fall.
You Help In Times Of Trouble,
You Support Me Whenever I Call.
I Love You More Than You Know,
You Have My Totl Respect.
If I Had My Choice Of Mothers,
You’d Be The One I’d Select!…
Ab Nahi Dil Ko Koi Darkar Hai,
Shyah Aur Safed Sab Bekar Hai,
Rone Hansane Wale Kisse Sab Bekar,
Bandhne Ko Riste Hain Ghar Bar Hai,
Nahin Badlenge Jamane Ke Niyam Yeh,
Aadami Bhi Chalan Ke Anusar Hai,
Bhav Unche Hain Bahut Insaniyat Ke,
Yahin Par Toh Aadami Laachar Hai,
Mohabbat Ki Kahani Ke Penchokham Yeh,
Do Dilo Ki Dastaa Vayapar Hai…
Aaj Maine Apne Fir Souda Kiya,
Aur Fir Main Door Se Dekha Kiya,
Zindagi Bhar Mere Kaam Aaye Usul,
Ek Ek Karke Unhe Becha Kiya,
Bandh Gayi Thi Dil Mein Kuchh Umeed Si,
Khair Tumne Jo Kiya Achha Kiya,
Kuchh Kami Apni Wafaon Mein Bhi Thi,
Tumse Kya Kahte Ki Tumne Kya Kiya,
Kya Batau Kon Tha Jisne Mujhe,
Is Bhri Duniya Mein Hai Tanha Kiya…
Aaina kyun na dun ke tamasha kahen jise
aisa kahan se laun ke tujhasa kahen jise
hasarat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein
guladasta-e-nigah suveda kahen jise
phunka hai kisane goshe muhabbat mein ae khuda
afasun-e-intazar tamanna kahen jise
sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye
wo ek musht-e-khak ke sahara kahen jise
hai chashm-e-tar mein hasarat-e-didar se nihan
shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise
Apna Gham Lekar Na Kahin Aur Jaya Jaaye,
Gahr Mein Bikhari Huyi Cheejo Ko Sajaya Jaaye,
Jin Chiragon Ko Hawaon Ka Khouf Nahin,
Un Chirago Ko Hawaon Se Bachaya Jaaye,
Baag Mein Jaane Ke Aadab Hua Karte Hain,
Kisi Titali Ko Na Phoolo Se Udaya Jaaye,
Khud Khusi Karne Ki Himmat Nahi Hoti Sab Mein,
Aur Kuchh Din Abhi Auron Ko Sataya Jaaye,
Ghar Se Masjid Hai Bahut Door Chalo Yun Hi,
Kisi Rote Huye Bachhe Ko Hansaya Jaaye…