Tanhayian, Roosvayian, Thokrein Aur Udaasian,
Itni Aaftein Lekar Meri Doonia Mein Pyar Aaya,
Mujhe Gham Nahi Ki Tum Juda Ho Gaye,
Magar Teri Bebasi Per Rona Bar Bar Aaya.
Hume Pata Hai Ke Apni Manzil Se Door Hai Hum
Dil Se Nikaalne Mein Use Majboor Hain Hum
Saza Mili Hai Lekin Bekasoor Hain Hum
Aur Thokron Ki Zarurat Nahi Pehle Hi Chaknachoor Hain Hum.
Yaad Mein Unki Aaj Jal Rahe Hai,
Door Reh Ke Vo Mujhse Ae Dost Kya Kar Rahe Hai,
Jaagi To Kai Khwahishe Aaj Mannmein Meri,
Unhi Khwahisho Ko Zehar Banaake Mar Rahe Hai,
Ye Yaad Hai Tumhari Ya Yaado Me Tum Ho,
Ye Yaad Hai Tumhari Ya Khwabo Me Tum Ho,
Hum Kuch Nahi Jante Hume Bas Itna Bata Do,
Hum Jaan Hai Tumhare Ya Hamari Jaan Ho Tum.
Ulat Ke Reh Gayi Sab Tadbeerein Zamane Ki,
Koshish Jab Bhi Humne Ki Kabhi Muskurane Ki.
Aaj Voh Hi Dekhkar, Katrakar Gujar Jaati Hai,
Kasam Jisne Khayi Thi, Umar Bhar Saath Nibhane Ki.
Aap Bewafa Honge Socha Hi Nahi Tha,
Tum Bhi Kabhi Khafa Honge Socha Hi Nahi Tha.
Jo Geet Likhe The Kabhi Pyar Par Tere,
Vahi Geet Rusva Honge Socha Hi Nahi Tha.
Tanhai ka ehsaas mujhe aaj ho raha hain,
Zindagi sitam kr rhi h or muje pyar ho rha h,
Labo pe unka nam or dil me ekraar ho rha h
Aap kya jaano mere dil ka haal,
Mujhe pyar ho rha hai, muje pyar ho rha hai
Maine Teri Mohabbat Mein Sabse Nata Tod Liya,
Aur Fir Tune Hi Mujhse Moonh Mod Liya,
Ab Kaya Teri Vafaon Ka Jikar Karoon Main,
Maine Toh Ab Gham Se Rista Jod Liya.
Ae Zindagi Tu Kayon Meri Tamannayi Hai,
Yahan To Bas Dard Hai, Ashk Hain, Tanhayi Hai.
Pehli Si Mohabbat Mere Se Na Maang,
Mere Paas Bas Ab Zakham aur Roosvai Hai.
Muddat Se Tere Husan Ka Hai Dil Deewana,
Ae Jaane Gazal Tune Aaj Tak Na Pehchana,
Mere Labon Per Har Dum Hai Naam Tera,
Namumkin Hai Jaanam Tere Pyar Ko Bhulana.
A Zindegi Tu Unse Daga Na Kar,
Wo Sada Muskurate Rahe Tu Bas Ye Dua Hi Kar,
Koi Dekhta Hai Unhe To Mujhe Hoti Hai Jalan,
A Hawa Tu Bhi Unhe Chhua Na Kar.
Saans lene se bhi teri yaad aati hai,
Har saans mein teri khushboo bas jati hai,
Kese kahoon ki saans se main zinda hoon,
Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai.